Friends today I am sharing all of my poetry in single thread. Hope you ll like it …
**1.
**Ek Mukhtasar Mulaqat
Sadeon Say Lambi Bat
Phir Hamaisha Ka Firaq
Kia Tumhain Yaad Hay!
4.
Hazar Meel
Lambi Musafatain
Woh Tamam Shub
Key Batain
Woh Hamari Sitaroon
Main Mulaqatain
Hameesha Yaad Rakhoon Ga
Woh Meray Mazi Key
Har Talkh Yaad Ko Mita Daian
Mujhay Zindagi Key
Janab Bula Laina
Tera Mujh Ko Sameet Laina
Hameesha Yaad Rakhoon Ga
Main Chand Ka Tamanai
Bananana Naheen Chahta
Main Khawab Ko Haqeeqat
Bananan Naheen Chahta
Keon Kah Chand Aur Khawab Ko
Hum Sirf Daikh Saktay Hain
Paa Naheen Saktay
Leekan Aay Meray Maseeha
Main Tujh Ko Aur Teri Maseehai Ko!!!
Hameesha Yaad Rakhoon Ga
5. Naheen Bhool Paoon Ga
Woh Shaam
Jub Meri Har Faryad
Bikharti Rahi
Sisakti Rahi
Naheen Bhool Paoon Ga
Aab bus Ek
Khawahish Hay Kah
Kaash To Bhi Kabhi
Faryaadi Banay
**
8.
Main Tujhay Kahan Dhondoon
Ghazal key Khubsurat Aankhoon Main
Pholoon Key KhwabNaak Khushboon Main
Barish Main Ghaigtay Jangloon Main
Zeesat Key Udaas Rahoon Main
Main Tujhay Kahan Dhondoon
Subah Key Malaim Roshni Main
Dopahar Key Pur Sakoot Garmi Main
Shaam Key Ghamzada Lali Main
Raat Key HoulNaak Andheer Nagri Main
Main Tujhay Kahan Dhondoon
Sumandar Key Shoraida Tofanoon Main
Bulbul-E-Zaar Key Aah-O-Naloon Main
Falak Boos Kuhsaroon Kay Wairanoon Main
Jhomti Gati Dil Nasheen Vadeon Main
Main Tujhay Kahan Dhondoon
Sarma Kay Thithartay Hoye Jhonkoon Main
Khizaan Main Ujartay Hoye Patoon Main
Bahar Main Jhomtay Hoye Ghunchoon Main
Garma Main Sulgatay Hoye Badaloon Main
Main Tujhay Kahan Dhondoon
thanks Teray Naam for your appreciation … can you see the images or not ??? Long time ago i requested SID to attach image but i think now he is MOD and I"m thinking to taking him out from my friends list