**safar tamaam huaa aour zahaan baaqii hai
ruko nahiiN ki abhii aasmaan baaqii hai **
**chalo miTaa diye saare nishaan-e-paa toone
bayaaz-e-dil pe ye kaisaa nishaan baaqii hai **
**karam kare na kare aour sadaa sune na sune
yaqiin khatm huaa ab gumaan baaqii hai **
**pahaaRh, abr, sitaara, kali, hawaa, Khushboo
hai kaun jiskaa ye tarz-e-bayaan baaqii hai **
**mire badan meN makiiN hai abhii terii Khushboo
makaaN ke saath abhii laamakaan baaqii hai **
**suKhan ke TooT chuke uss’se silsile saare
bas ek raNjish-e-lab, darmiyaan baaqii hai **
**na chhat rahii na chhatnaar, fir bhii kahte ho
falak ka sar pe abhii saaybaan baaqii hai **
**abhii se jaane lage ho zaraa Thahar jaao
abhii pahaaRh si ye daastaan baaqii hai **
**takaan naam isii kaifiyat ka hai shaayad
lahoo badan meN nahiiN aour jaan baaqii hai **
vazeer aagha