A little long, but worth the read, I hope everyone will like it.. ![]()
SIR MOHAMMED IQBAl
SADAA-E-DARD
Nahi minnut-kashe taab-e-shaneeden daasta-n meri
Khamoshi guftagoo hai,be-zabaani hai zabaa-n meri
Yeh dastoor-e-zabaa-n bandi hai kaisa teri mehfil may
Yaha-n to baat kernay ko terasti hai zabaa-n meri
Uthaye kuch waraq laalay nay,kuch nergis nay,kuch gul nay
Chaman may her taruf bikhri huwi hai dastaa-n meri
Udaai qumriyo-n nay,tootiyo-n nay andaleebo-n nay
Chaman waalo nay mil ker loot li turz-e-foogaa-n meri
Tapak ai shamma aansoo bun kay perwaanay ki nazro-n say
Saraapa dard hoo-n, hasrat bhri hai dastaa-n meri
Illahi! phir mazaa kiya hai yaha-n duniya may jeenay ka
Hayaat-e-jaawidaa-n meri, na murg-e-na-gahaa-n meri
Mera rona nahi, rona hai yeh saare gulistaa-n ka
Woh gul hoo-n mai, khizaa-n her gul ki hai goya khizaa-n meri
Riyaz-e-dehr may na aashnaa-e-bazm-e-ishrut hoo-n
Khooshi roti hai jis ko, mai woh mehroom-e-musarrut hoo-n
Meri bigdi huwi taqdeer ko roti hai goyaa-i
Mai harf-e-zayr-e-lub, sharmindaa-e-goshay samaa-at hoo-n
Pareesha-n hoo-n mai moosht-e-khaak, lekin kuch nahi khultaa
Sikander hoon kay aaina hoon ya gard-e-kadoorut hoon
Ye sub kuch hai mager hasti meri maqsad hai qudrat ka
Saraapa noor ho jis ki haqeeqat, mai woh zulmat hoon
Khazeena hoo-n, chupaaya mujh ko moosht-e-khaak-e-sayhraa nay
Kisi ko kiya khaber hai mai kaha-n hoo-n, kis ki daulat hoon?
Nazer meri nahi mamnoon-e-sair-e-arsaa-e-hasti
mai woh choti si duniya hoo-n kay aap apni vilaayet hoo-n
Na sahbaa hoon, na saaqi hoon, na masti hoon, na paimaana
Mai is mai-khaana-e-hasti may her shai ki haqeeqat hoon
Mujhay raaz-e-do aalam dil ka aaina dikhaata hai
Wohi kahtaa hoon jo kuch saamnay aankhon kay aata hai
Ataa aisa bayaa-n mujh ko huwa, rangee-n bayaano may
Ke baam-e-arsh ke taair hai meray hum-zabaano may
Aser yeh bhi hai ek meray junoon-e-fitnaa saamaa-n ka
Mera aaina-e-dil hai, qazaa kay raaz-daano may
Roolataa hai tera nazzaraa aai Hindoosta-n mujh ko
Ke ibrut khaiz hai tera fasaana sub fasaano-n may
Diya rona mujhay aaisa kay sub kuch day diya goyaa
Likha kalk-e-azal nay mujh ko teray nauhaa-khwaano-n may
Nishaan-e-burg-e-gul tak bhi na chod is baagh may gulchee-n!
Teri qismat say razm aaraaiyaa-n hai baagh baano-n may
Chupa ker aastee-n may bijliyaa-n bher di hai gurdoo-n nay
Anaadil baagh kay gaafil na baithay aashiyaano-n may
Soon ai gaafil sadaa meri! yeh aisi cheez hai jis ko
Wazeefa jaan ker padhtay hai taair bostaano-n may
Watan ki fiker ker naadaa-n! moosibut aanay wali hai
Teri berbaadiyo-n kay mashwaray hai aasmaano-n may
Zara dekh oos ko jo kuch ho raha hai, honay waala hai
Dharaa kiya hai bhalaa ahd-e-shiken ki daastaano-n may
Ye khamoshi kaha-n tak? lazzate-friyaad paidaa ker!
Zamee-n per too ho, aur teri sadaa ho aasmaano-n may
Na samjho gay to mit jaao gay ai Hindoostaa-n waalo!
Tumhaari daastaan tak bhi na hogi daastaano-n may
Yehi aain-e-qudrat hai,yehi asloob-e-fitrat hai
Jo hai raah-e-amal may gaamzen,mahboob-e-fitrat hai
Ho-yedaa aaj apnay zakhm pinhaa-n ker kay chodoo-n ga
Lahoo ro ro kay mehfil ko gulistaa-n ker kay chodoo-n ga
Jalaana hai mujhay her shamma-e-dil soz-e-pinhaa-n say
Teri weeraan raato-n may chiraagaa-n ker kay chodoo-n ga
Mager gooncho-n ki soorat hoo dil-e-dard aashnaa paidaa
Chaman may mooshte-khaak apni pareeshaa-n ker kay chodoo-n ga
Pironaa ek hi tasbeeh may in bikhray daano ko
Jo mooshkil hai, to is mooshkil ko aasaa-n ker kay chodoo-n ga
Mujhay ai hum-nashee-n, rehnay day shoogl-e-seena kaawi may
Ke mai daag-e-mohabbat ko noomaayaa-n ker kay chodoo-n ga
Dikha doo-n ga jahaa-n ko jo meri aankhon nay dekha hai
Tujhay bhi soorat-e-aaina hairaa-n ker kay chodoo-n ga
Jo hai perdo-n may pinhaa-n, chasm-e-beena dekh layti hai
Zamaanay ki tabiyat ka taqaaza dekh layti hai
Kiya rafat ki lazzat say na dil ko aashnaa too nay
Gujaari oomr pasti may misaal-e-naqsh-e-paa too nay
Raha dil bustaa-e-mehfil, mager apni nigaaho-n ko
Kiya bairoon-e-mehfil say na hairut aashnaa too nay
Fida kertaa raha dil ko haseeno-n ki adaao-n per
Mager dekhi na is aainay may apni adaa too nay
**Taas-soob chod nadaa-n! deher kay aaina khaanay may **
Ye tasweeray hai teri jin ko samjha hai bura too nay
Saraapa naala-e-bedaad-e-soz-e-zindagi ho jaa!
Sipund aa saagraah may baandh rukkhi hai sadaa too nay
Safaa-e-dil ko kiya aaraaish-e-rung-e-taal-luq say
kaf-e-aaina per baandhi hai o naadaa-n! heena too nay
Zamee-n kiya aasmaa-n bhi teri kuj beeni pay rota hai
Gazab hai satr-e-quran ko chleepaa ker diya too nay
Zabaa-n say ger kiya tawheed ka dawaa to kiya haasil!
Banaaya hai boot-e-pandaar ko apna khuda too nay
Kooway-n may too nay Yusuf ko jo dekha bhi to kiya dekha
A-ray gaafil! jo mootlaq tha mooqaiyed ker diya too nay
Hawas baalaa-e-minber hai tujhay rung-e- bayaani ki
Naseehat bhi teri soorut hai ek afsaana khwaani ki
Dikha woh hosn-e-aalam soz apni chashm-e- poornum ko
Jo tadpaata hai perwaanay ko, roolwaata hai shabnam ko
Niraa naz-zaara hi ai bool-hawas! maqsad nahi is ka
Banaaya hai kisi nay kuch samajh ker chasm-e-Adam ko
Ager dekha bhi oos nay saarey aalam ko to kiya dekha
Nazer aai na kuch apni haqeeqat jaam say jum ko
Shajer hai firqaa aaraai,Taas-soob hai samer is ka
Yeh woh phal hai ke jannat say nikalwaataa hai Adam ko
Na ooth-thaa jazbaa-e- khoorsheed say ek burg-e-gul tak bhi
Yeh raf-at ki tamanna hai ke lay oodti hai shabnam ko
Phiraa kertay nahi majrooh-e-oolfat fikr-e-darmaa-n may
Yeh zakhmi aap ker laytay hai paidaa apnay merhum ko
Mohabbat kay sharer say dil saraapaa noor hota hai
zaraa say beej say paidaa riyaaz-e- toor hota hai
Dawaa her dookh ki hai majrooh-e-tayq-e-aarzoo rehnaa
Ilaaj-e-zakhm hai azaad-e-ahsaa-n-e-rafoo rehnaa
Sharaab-e-bay-khoodi say taa falak perwaaz hai meri
Shikasht-e-rung say seekhaa hai mai nay bun kay boo rehnaa
Thamay kiya deeda-e-giryaa-n watan ki nawhaa khwaani may
Ibaadat chashm-e-shaair ki hai her dum baa wazoo rehnaa
Banaaye kiya samajh ker shaakh-e-gul per aashiyaa-n apna
Chaman may aah! kiya rehnaa jo ho bay-aabroo rehnaa
Jo too samjhay to azaadi hai posheedaa mohabbat may
Gulaami hai aseer-e-imtiyaaz-e-maad too rehnaa
Ye istugnaa hai paani may nagoo-n rakhtaa hai saagar ko
Tujhay bhi chahiye misle-habaab-e-aab-joo rehnaa
Na reh apno say bay perwaa isee may khair hai teri
Ager manzoor hai duniya may o, baygaanaa khoo! rehnaa
Shraab-e-rooh perwer hai mohabbat nauw-e-insaa-n ki
Sikhaaya is nay mujh ko mast bay jaam-o-sooboo rehnaa
Mohabbat hi say paayi hai shifaa beemaar qaumo-n nay
Kiyaa hai apnay bakht-e-khooftaa ko bay-daar qaumo-n nay
Bayaa-baan-e-mohabbat dusht goorbut bhi, watan bhi hai
Ye weeraana qafas bhi, aashiyaana bhi, chaman bhi hai
Mohabbat hi woh manzil hai ke manzil bhi hai sayhra bhi
Jarus bhi, karwaa-n bhi,raahber bhi, raahzen bhi hai
Meruz kayhtay hai sub is ko, yeh hai lekin meruz aisaa
Choopa jis may illaj-e-gardish-e-churkh-e-kohen bhi hai
Jalaana dil ka hai goya saraapa noor ho jaana
Ye perwaana jo soozaa-n ho to shamm-e-anjuman bhi hai
Wohi ek husen hai, lekin nazer aata hai her shaai may
Ye Sheeri-n bhi hai goya,bay-satoo-n bhi,Koh-ken bhi hai
Oojaada hai tameez-e-millat-o-aai-n nay qaumo-n ko
Mera ahlay watan kay dil may kuch fikr-e- watan bhi hai?
Sookoot aamoz tool-e-dastaan-e-dard hai, wer na
Zabaa-n bhi hai humaaray moonh may aur taab-e-sookhen bhi hai
"Nameeger deed kota rishtaa-e-maani rahaa kerdum
Hiqaayet bood bay-paaya-n, baa-khaamoshi adaa kerdum"