Aik shaitoot ka darakht, jis par main aur meri behan charh kar, shaitoot torhtay thay aur un shaitooton ki chutni bana kar khaya kartay thay…Won aam ka pairh, jis par har saal kairiaan nikal theen, aur hum us par sai kairiaan torh torh kar namak aur pissi hui lal mirchi kai saath khaya kartay thai…Woh kitabein do do rupay ki, jis ko arson jama kar kay hum nai aik mohallay main library banai, aur aath aanay main mohallay kai bachon ko kiraay par diya kartay thay…Woh cyclain, jo do rupay ghantay say lai kar hum puray mohallay main dorhaya kartay thai…Woh dadi, jo do do rupay bun kabab ke liye de kar humain bighaarhti theen…Woh poora kumba, jis main MashAllah 11 afraad baitth kar aik jaga khana khaya kartay thay…Woh parhosi, jo humari khabar rakhtay thay aur humari fikar kartay thay…Woh barhay mian, jo humain shor machaanain par daantTay thay…Woh ghar kai qareeb paharh, jis par hum charh kay pooray Karachi ko dekhtay thay…Woh larhkay, jin kay saath pakrham pakrhai aur chhuppan chhupai khela kartay thay…
Aur na jaanay kitni beshumar cheezain jis nai humaray bachpanay ko bachpan banaya…
Woh shaitoot ka darakht, kat gaya, woh aam kay pairh kar gaye, us behan ki shaadi hui, woh kitabein ghayab ho gayeen, woh cycle ki dukaan band ho gayee, woh dadi guzar gayeen, woh kumba alag alag ho gaya, woh barhay main bhi Allah ko piyaray huay, woh parhosi chalay gaye, un doston ko ab adaab aa gaye aur woh paharh jis pur charh kar hum saari Karachi say upar hua kartay thay, us kay neechay gharon nai aik deewar bana di jisay hum taap nahin saktay…
Sab chalay gaye…Saath main woh bachpana bhi lay gaye jis say un ki yadein wabasta hain…Aisa bachpana ab kis ko milay ga?
But on a serious note, I know what u mean when u say, Sab chaley gaye, cos one moment all is near u, embracing u, the next moment it slips away before u even realize it's gone. :(**
I remember back when I was 5/6 yrs old, used to go to mosque with my older bro to learn to read Quran. I was for some reason was pain in a neck of my teacher. I don’t know why, but I was never interested in learning anything by just sitting at one place. No, I didn’t have ADHD!
So, what I would do was look at my teacher with crossed eyes She complained to my parents…shamat ayee thee barri baad may:grumpy: LOL