Sab chalay gaye...

Re: Sab chalay gaye…

Hmmm…To shuroo sai yeh aalam hai…hehe

Re: Sab chalay gaye…

aur tou aur…when we used to walk back home afterwards…we would play with our frens…heheh i would never play with my frens..had a tendency to play with my brother’s frens :smiley:

So, we would play who can throw the stones the farthest. I happened to play the game “who throw the stones the highest” :smack: So as I threw it up high, it landed on my brother’s fren foot :rotfl:

Next Thing I remember running back home…chased by my bro and his fren. Ghar jaatay ho shamat aa gayee..PHIR!! :blush:

Re: Sab chalay gaye…

This is a gift from Anwaar to me…:snooty:

But you guys can enjoy…:slight_smile:

*PalkoN kay chilman maiN Maazi kee yaadaiN
AaNkhoN maiN mooti, thaNdi woh raataiN

YaadoN kay dar par behan kaa woh chehraa
laRakpaN kaY safar maiN Mohabbat kee shaamaiN

MohallaY maiN shehtoot kaa ik darakht puraana
ChaRhna darakht pe, woh chilchilaati dau-paheraiN

Woh shehtoot kee mil kar chuTnee banaanaa
Aam kaY peR par woh har saal bahaaraiN

kairiaaN tor kar namak mirch woh lagaanaa
Woh mazaY lay kar khaana, bay fik’ar saa’ataiN

Dau dau rupaY kee woh dhairooN kitaabaiN
jin maiN un-ginat sabaq aamoz baataiN

jamaa jin ko kiyaa thaa din raat hum naY
Mohallay maiN library banaai phir hum naY

AaTh aanaY maiN jin ko kiraYe par uThaanaa
MohallaY maiN pooraY cyclaiN woh dauRanaa

Dau rupaY ghanTaY par unn ko thaa laanaa
Ajab din thaY, woh zamaanaa suhaanaa

Woh daadi kaa sub kay nakhraY uThaanaa
dau rupaY unn saY laY kar bun kabaab khaanaa

KuNmbaY kaY logoN kaa mil kar woh khaanaa
Woh giyaaraH logoN kee pur zoq baataiN

Woh paRosiyoN kee mohallaY maiN piyaari see baataiN
Woh mohabbat kaY par-tau, sub kee woh jaanaiN

Mohallay ko hur dum thaa sar par uThaanaa
Sehnaa woh iss par, Buzurg kee woh daaNTaiN

Woh ghar kay qareeb, pahaaRi par ChaRhnaa
Dekhnaa wahaaN saY Karachi kee SaRkaiN

Woh doston kaY saath Oodham machaanaa
woh pakaRam pakRaai, chupnaa chupaanaa

YaadaiN aur kitni buchpunn kee haiN aateeN
Gardish-e-Aiyaam maiN haiN hum ko sataateeN

Woh din challaY gaYe, lauT gayeeN woh raataiN
Barg-e-Shehtoot kuT gayaa, aam kaa darakht gir gayaa

Behan piyaa ghar sudhaari, kho gayeeN woh kitaabaiN
Lug gayaa taalaa cycloN kee dukaaN maiN

Daadi bhee guzreeN, Buzurg huaY Allah ko piyaaraY
RishtoN kay bandhan, paReeN KuNmbaY maiN daraaRaiN

Rukhsat PaRosi ho gaYe, dost bhee rooTh gaYe
Woh pahaaR kee dehleez par gharoN kee Oonchi deewaaraiN

Naa jaanaY kiss jahaaN maiN sub chalaY gaYe haiN
Saath apnaY hamaaraa buchpanna bhee laY gaYe haiN

YaadoN kay dareechaY maiN gulaab-O-saman haiN
Saath unn kaY kaaNtoN kaY per-hun haiN*

Anwaar Qureshi - 9:57 PM 2/13/2006

Re: Sab chalay gaye…

zabardast AQ :k: :frowning:

Re: Sab chalay gaye…

woww… aq. :k:

Re: Sab chalay gaye…

Lajjo :hug: