Re: Reply with shair
bat choti si bhi fasana banadeti hai "tum kitabon per mera name likha nahi karoRe: Reply with shair
Kuch Dour Humaray Sath Chaloo
Hum Dil Kee Kahani Kah Dain Gay
Tum Sumjhay Na Jissay Ankhoun Say
Woh Baat Zubani Kah Dain Gay
Re: Reply with shair
nigah uthi to zmany k samny tera roop
palak jhuki to dil k roboroo tera gham
Re: Reply with shair
Hum Nay Tumhay Khoob Dekha Hai Barang-e-aaena
Samnay Kuch Aur Ho, Peet Peechay Kuch Aur
Re: Reply with shair
har muqaam say aagay muqaam hay tera
hayaat zaoq-e-safar ky siwa kuch aur nahi
Re: Reply with shair
munzil pey pohanch ker kho dain gay usay hum
yeh tay hay to phir shooq-e-safar kion nahi jata
Re: Reply with shair
mujhay manzilon say aziz hain teri reh-guzar ki musaftain
kay likhhi hain meray naseeb main abhi umr bhar ki musaftain
Re: Reply with shair
itne karee musaaftooN k baad yeh khula
hum jis teraf rawaaN thay udher raasta na tha
Re: Reply with shair
zakhmi hain bohat paon, aur musafat bhi bohat hay
manzil say magar hum ko aqeedat bhi bohat hay
Re: Reply with shair
munzil ki justaju main kion khoya hoa hai raahe
itna azeem ho ja k khud munzil tujhay pukaray
Re: Reply with shair
nahin nigah main manzil to justaju hi sahi
nahin visal muyassar to aarazu hi sahi
Re: Reply with shair
tumhare bat lambi hai daleelain hain bahanay hain
mere baat itnee hai mere arzoo tum ho
Re: Reply with shair
kitaboon say dalail doon ya khud ko saamnay rakhdoon
wo mujh say pooch beTha hay, muhabbat kisko kehtay hain
Re: Reply with shair
main pooch pooch ker thak gya mujhay chor k kahan jaao gay
woh jawaab tak na day saka,woh to khud sirapa sawal tha
Re: Reply with shair
safar akelay he kaat lo gay? main ne poocha to ro diya wo
sawaal kitna ajeeb sa tha, jawaab kitna ajeeb sa tha
Re: Reply with shair
ik sawaal maiN karuuN, ik sawaal tum karo
har sawaal kaa jawaanb hii sawaal ho!
![]()
Re: Reply with shair
^
jahan sawal k badlay sawal hota hay
wahin mohabbaton ka zawal hota hay
Re: Reply with shair
**jawab jinka nahin woh sawal hote hain
jo dekhny main nahi kuch kamal hote hain
**
Re: Reply with shair
jantay bhi ho k ik hi diya hay meray ghar main
phir bhi hawa detay ho, kamal kartay ho
Re: Reply with shair
mere khuda mujhay itna to moataber ker day
jus makaan main rehta hoon usay gher ker day