Reply with shair

Re: Reply with shair

wo ashq ban kar meri chashm-e-tar main rehta hay
ajeeb shakhs hay, pani kay ghar main rehta hay

Re: Reply with shair

Woh kaun thaa jo gaya hai udaas kerkay mujhey
Woh kaun hai jo mujh mein udaas rehta hai

Re: Reply with shair

*Woh Teray Naseeb Ki Barishain Kisi Aur Chaat Par Baras Gayen,
Dil-e-bekhabar Meri Baat Sun Usey Bhool Jaa Usey Bhool Jaa.
*

Re: Reply with shair

Raat her chand keh hai Ssazish ki terha gehri
subha honay ka magar dil mein yaqeen rakhna hai

Re: Reply with shair

Yeh sangdiloo ki dunyia hai, yahan sambhal ker chal'na
Yahan palkoo per bithaya jata hai, nazroo se girane ke liye ... !!

Re: Reply with shair

Is tarah loot liya sheer-e-tamanna ne hume,
Zindagi bhi chheen li, or jaan se maara bhi nahi.!!

Re: Reply with shair

**Suno .. !! koi kharidaar hai nazar main

muflasi ke din hain, wafa baichani hai .. *
*

Re: Reply with shair

Woh chashm-e-mast kitni khabardaar thi Adam,
Khud hosh main rahi humain badnaam kar diya..

Re: Reply with shair

woh qatal bhi kertay hain to chercha nahi hota

hum aah bhi kertay hain to ho jatay hain badnaam

Re: Reply with shair

youn to aye bazm-e-jahaan dilkash thay hangamay teraye
ik zara afsurdagi teray tamshaiyon mein thee....

Re: Reply with shair

mujhay apnay zabt pey naaz tha ,sar-e-bazm e raat yeh kia hoa

mere aankh kaisai chalak gaye ,mujhay ranj hay yeh bura hoa

Re: Reply with shair

hay showq aur zabt-e-showq main din raat kashmakash
dil mujh ko, main hun dil ko pareshaan kiye huway

Re: Reply with shair

kash yeh dil sheshy ka bna hota,
lagty chot to beshak fana hota,

Re: Reply with shair

naram lafzoon say bhi lag jaateen hain aksar chotain

dostee ik nazuk sa hunar hote hai

Re: Reply with shair

dost ban kar bhi nahi saath nibhane wala
vohi andaaz hai zaalim kaa zamaane wala
tum taqaluf ko bhi iKhalas samajhate ho ‘Faraz’
dost hota nahi har hath milane wala

Re: Reply with shair

bichernay k khiaal say jo kaanp uthta tha

chor gaya woh zamanay k khof say

Re: Reply with shair

Kuch waqt ki rawani nai hamai youn badal diya,
Wafa par ab bhi qayim hai, magar Mohobat chord di hum nai

Re: Reply with shair

mukhtasar lafzon main ab ye hay mezaaj-e-dosti Mohsin
raabta sub say hay laikin, waasta kisi say nahi

Re: Reply with shair

is qaainat-e-muhabat main hum misl e shams o qamar k hain

ik raabita musalsal hai ik fasila musalsal hai

Re: Reply with shair

waqt-e-wisaal ki bhi ik aarzu adhori hay
ik aas si hamesha hay,ik khawaab sa musalsal hay