Reply with shair

Re: Reply with shair

hota hay chalta hay, koi bat nahi : p

time to sleep wave

Re: Reply with shair


yehii vo jagah hai, yehii vo fazaayeN
yahiiN par kabhii aap ham se mile the

Re: Reply with shair

Raaz khol dete hain nazuk se ishaare aksar,
Kitni khamosh mohabbat ki zubaan hoti hai..

Re: Reply with shair

khulta kisi pay kyun meray dil ka maamla
she'roon kay intekhaab nay ruswa kiya mujhay

Re: Reply with shair

Kaha Us Nay Tumhari Chahat Tumhain Ruswaiyaaan Day Gi
Kaha Mein Nay Shohrat Say Ghabraya Nahi Kartay

Re: Reply with shair

Mere ishq se mili hai tere husn ko yeh shohrat,
Tera zikr hi kahan tha meri dastaan se pehle

Re: Reply with shair

Marg-e-Ishq ka yeh silsila raha
Har kio majh se meri dastan-e-hasrat pouchta raha

Re: Reply with shair

meri dastan-e-hasrat wo suna suna kay roye
meray aazmanay walay mujhay aazma kay roye

Re: Reply with shair

tum say mansob howay tu yah hasrat he rehi,
hum bhi kabi apne hawaly say pokare jate...!

Re: Reply with shair

Mansob thay jo log meri zindagi k sath
Akser woh milay bari bayrukhi k sath

Fursat milay tou apna graiban bhi daikh lay
Aey dost youn na khail meri bay basi k sath

Re: Reply with shair

Be-Rukhi Aise Bhe Kiya Kay Rabtay Bhe Na Hoo'n...
Ranjishen Apni Jaga, Shart-e-Wafa Apni Jaga...!!!

Re: Reply with shair

Jo Ranjishein Thiin Jo Dil Mein Gubaar Tha Na Gaya
K Ab Ki Baar Gale Mil K Bhi Gila Na Gaya

Re: Reply with shair

kuch tum kaho tum ny kahan, kaisy guzary roz o shab
apny bicharny ka sabab to gardash e halaat thy

Re: Reply with shair

tum ne to thak k dasht may khymay laga leye...
tanha katay kisi ka safar tum ko iss se kya

Re: Reply with shair

kaly kamron mein kati sari jawani uski
jis ny e subah E mohabbat, tera rasta dekha

Re: Reply with shair

ahl-e-qafas ki subh-e-chaman main khulay gi aankh
baad-e-saba say wada-o-paymaaN huway to hain

Re: Reply with shair

mery liye to wo khanjar bhi phool ban k utha
zuban sakht thi, lehja kabhi karakht na tha

Re: Reply with shair

wo anaa parast sahi us ki baton main iqrar bhi tha
us k chubhtay huway lehjay main chupa pyar bhi tha

Re: Reply with shair

socha tha piyar ka main sajaounga Gulsitaan
har phool jal gaya mera, bankar kali ke baad

Re: Reply with shair

fasaany aam sahi meri chashm e heraan k
tamashy banty rahy hain yahan tamashayi