In this game you have to reply to the post(sher) above with another sher.
It shud be related & in reply form.
Ill start:D
Baat Ik Shakhs Ki Nahi Logon
Uth Gai Hain Wafaein Duniya Se
In this game you have to reply to the post(sher) above with another sher.
It shud be related & in reply form.
Ill start:D
Baat Ik Shakhs Ki Nahi Logon
Uth Gai Hain Wafaein Duniya Se
Re: Reply with a sher game
mujhse too poochne aaya hai wafa ke maani
ye teri sadaa-dili maar na daale mujhko
Re: Reply with a sher game
*wafaa kee bhes mein koi raqiib-e-shahar bhii hai
hazar! kee shahar ke qaatil tabiib-e-shahar bhii hai
*
Re: Reply with a sher game
Na zindagi mili na wafa mili,
Na jaane kyu har khushi
Humse khafa rehti hai,
Jhuthi muskaan ke pichhe
Hum gum ko chhupate rahe,
Khush rahne ki bhi kya khoob saza mili
Re: Reply with a sher game
**Khushii ne mujh ko Thukaraya hai ranj-o-Ghum ne paala hai
gulon ne berukhi kee hai to kaanton ne sambhaalaa hai
muhabbat mein Khayaal-e-saahil-o-manzil hai nadani
joh inn raahon mein lut jaaye vahii taqadiir vaalaa hai **
Re: Reply with a sher game
**Khushii ne mujh ko Thukaraya hai ranj-o-Ghum ne paala hai gulon ne berukhi kee hai to kaanton ne sambhaalaa hai
muhabbat mein Khayaal-e-saahil-o-manzil hai nadani joh inn raahon mein lut jaaye vahii taqadiir vaalaa hai **
Ab bhi ojhal hai nigahon se nishan e manzil
Zindagi tu hi bata kitna safar baqi hai
Re: Reply with a sher game
Ab bhi ojhal hai nigahon se nishan e manzil Zindagi tu hi bata kitna safar baqi hai
Dilon mein tum apni
Betaabiyan leke chal rahe ho
Toh zinda ho tum
Nazar mein khwabon ki
Bijliyan leke chal rahe ho
Toh zinda ho tum
Hawa ke jhokon ke jaise
Aazad rehno sikho
Tum ek dariya ke jaise
Lehron mein behna sikho
Har ek lamhe se tum milo
Khole apni bhaayein
Har ek pal ek naya samha
Dekhen yeh nigahaein
Jo apni aankhon mein
Hairaniyan leke chal rahe ho
Toh zinda ho tum
Re: Reply with a sher game
Dilon mein tum apni Betaabiyan leke chal rahe ho Toh zinda ho tum Nazar mein khwabon ki Bijliyan leke chal rahe ho Toh zinda ho tum Hawa ke jhokon ke jaise Aazad rehno sikho Tum ek dariya ke jaise Lehron mein behna sikho Har ek lamhe se tum milo Khole apni bhaayein Har ek pal ek naya samha Dekhen yeh nigahaein Jo apni aankhon mein Hairaniyan leke chal rahe ho Toh zinda ho tum
Welcome to poetry forum. Nice choice of poetry.
Re: Reply with a sher game
Nice one KC :k: Welcome to Poetry forums.
Re: Reply with a sher game
Dilon mein tum apni Betaabiyan leke chal rahe ho Toh zinda ho tum Nazar mein khwabon ki Bijliyan leke chal rahe ho Toh zinda ho tum Hawa ke jhokon ke jaise Aazad rehno sikho Tum ek dariya ke jaise Lehron mein behna sikho Har ek lamhe se tum milo Khole apni bhaayein Har ek pal ek naya samha Dekhen yeh nigahaein Jo apni aankhon mein Hairaniyan leke chal rahe ho Toh zinda ho tum
Bikhar rahen hain meri zindagi ke tamam warq
Na jane kab koi aandhi uda ke le jae
Main kab tak doosron ke dukh sanbhal ke rakhoon Faraz
Jis jis ke hain wo nishani bata ke le jae
Re: Reply with a sher game
Kia kahain kitnay marasam thay hamaray iss say
woh jo Ek Shakhs hay Munh pahir kar janay walla
Re: Reply with a sher game
Kia kahain kitnay marasam thay hamaray iss say woh jo Ek Shakhs hay Munh pahir kar janay walla
Ankhon Ka Rang Baat Ka Lehja Badal Gaya
Wo Shakhs Ek Sham Mein Kitna Badal Gaya
Kuch Din To Mera Aks Raha Aiena Pe Naqsh
Phir Yoon Hova Ke Khod Mera Chehra Badal Gaya
Jab Apne Apne Hal Pe Hum Tum Na Reh Sake
To Kia Hova Jo Hum Se Zamana Badal Gaya
Qadmon Tale Jo Reet Bechi Thi Wo Chal Pari
Os Ne Churaya Hath To Sehra Badal Gaya
Koi Bhi Cheez Apni Jagh Per Nahi Rahi
Jate Hi Ek Shakhs Ke Kia Kia Badal Gaya
Herat Se Sare Lafz Ose Dekhte Rahe
Batoon Mein Apni Baat Ko Kaise Badal Gaya
Shaid Wafa Ke Kheel Se Ukta Gia Tha Wo
Manzil Ke Paas Aa Ke Jo Rasta Badal Gaya
Ankhon Mein Jitne Ashk The Jugno Se Ban Gaye
Wo Muskarya Aur Meri Dunia Badal Gaya
Re: Reply with a sher game
Murr kar jiss shakhas nay daikha naheen mujhko
uss shakhas kay hathoon par maira naam likha tha yaroon
Re: Reply with a sher game
Mernay kay baad bhe uss ne chora na dil jalana Faraz
Roz phaink jata hai phool sath wali kabar per
Re: Reply with a sher game
![]()
ana na meri qabar per yun hamraahe raqiban
kay musalman murdon ko jalaya nahin kartay
![]()
Re: Reply with a sher game
woh phir se mere dil ko jalane aya,
naye qissey naye afsanay sunanay aya,
main kyun aitabar karon us harjaika,
jo meri wafon ko phir se azmany aya,
Re: Reply with a sher game
Parakhna Mat-Parakhne Mein Koyii Aapna Nahiin Rehta
Kissi Bhii Aaeene Mein Der Tak Chehra Nahiin Rehta
Bade Logon Se Milne Mein Hamesha Faasla Rakhna
Jahaa Dariya Samandar Se Mila-Dariya Nahiin Rehta
Re: Reply with a sher game
Wo Aur Hoon Gay Jin ko Dabo diya Tum ne
Kabhi Meri Rah mein Aana Bhanwar ban ker ...
Re: Reply with a sher game
Wo Aur Hoon Gay Jin ko Dabo diya Tum ne Kabhi Meri Rah mein Aana Bhanwar ban ker ...
Kaun Kahataa Hai Ke Maut Aai To Mar Jaunga
Main To Dariya Hun Samandar Mein Utar Jaungaa
Re: Reply with a sher game
Kaun Kahataa Hai Ke Maut Aai To Mar Jaunga
Main To Dariya Hun Samandar Mein Utar Jaungaa
Hum Cheen lain gaiy tum say yah Shan-e-bay niazi
Tum mangtay phiro gaiy apna gharoor hum say