Mujhay subah sey sms aarahay hain kah.. “enjoy the rain” par meri taraf tou koi baarish nahi ho rahi… sarri hoi dhoop nikli hoi thee aur humidity bhi bohat thee.. uskay baad shaaam ko bhi yehi msg aaya.. lekin meri taraf tou koi baarish tou kya ek boond bhi nahi pari ![]()
kahin mujhay baywakoof tou nahi banaya jaa raha tha? ![]()
Re: Raining?
may be!!! ![]()
Re: Raining?
Choro Danai kithnee barish hoi thee
Re: Raining?
lagta hei dania call karne wale yehi honge:cb:
Re: Raining?
*its raining here since morning
*
Re: Raining?
Hoga na honge ......... a school boy
Re: Raining?
nahi na..mujhay bhi baarish main nahana hai ![]()
Re: Raining?
Jub barish hogee tho nuhavo ngee na........... main tho maheena pehley barish kee baath kr ruha tha
Re: Raining?
hamari taraf drizzling hui thee.. subah k waqt aur na mausam bara acha hogaya tha :@:
Re: Raining?
entisar bhai.. aap mujhay rulanay wali baat na karain :(
romantic mausam?
![]()
Re: Raining?
lol
kisi kisi areas mein barish hui hogi but hamare yahan to nahi hui ![]()
Re: Raining?
***Kabhi baarish barasti hai tau mujh ko yaad aata hai
Woh aksar mujhse kehta thaa
Muhabbat aik baarish hai
Sabhi pe jo barsati hai
Magar phir bhi nahe hoti sabhi ke wastay yaksaan
Kisi ke waastay rehmat
Kisi ke waastay zehmat
Mein aksar sochta hoon ab
Woh mujhse theek kehta thaa
Muhabbat aik baarish hai
Sabhi pe jo barasti hai
Kabhi mujh pe bhi barsi thee
Magar mere leye baarish
Kabhi na ban saki raahat
Yeh raahat kyon nahe banti
Kabhi mein khud se poochun tau
Yeh dil deta duhai hai
Kabhi kachay makanoo ko bhi baarish raas aae hai ...
Re: Raining?
nice one :k:
Re: Raining?
Thanks, although it wasnt' the rite place for the poetry, but I felt baarish ka zikar hai tau ... :)
***Kabhi baarish barasti hai tau mujh ko yaad aata hai Woh aksar mujhse kehta thaa Muhabbat aik baarish hai Sabhi pe jo barsati hai Magar phir bhi nahe hoti sabhi ke wastay yaksaan Kisi ke waastay rehmat Kisi ke waastay zehmat Mein aksar sochta hoon ab Woh mujhse theek kehta thaa Muhabbat aik baarish hai Sabhi pe jo barasti hai Kabhi mujh pe bhi barsi thee Magar mere leye baarish Kabhi na ban saki raahat Yeh raahat kyon nahe banti Kabhi mein khud se poochun tau Yeh dil deta duhai hai Kabhi kachay makanoo ko bhi baarish raas aae hai ...
**
An alternate version
Kabhi baarish barasti hai tau mujh ko yaad aata hai
Woh aksar mujhse kehta thaa
Karachi ki jo baarish hai
Sabhi pe jo barsati hai
Magar phir bhi nahe hoti sabhi ke wastay yaksaan
Kisi ke waastay rehmat
Kisi ke waastay zehmat
Mein aksar sochta hoon ab
Woh mujhse theek kehta thaa
Karachi ki jo baarish hai
Sabhi pe jo barasti hai
Kabhi mujh pe bhi barsi thee
Magar mere leye baarish
Kabhi na ban saki raahat
Yeh raahat kyon nahe banti
Kabhi mein khud se poochun tau
Yeh dil deta duhai hai
Abay ranchoreline mey ghoomey ga tou gutter mey hi girey ga**
Re: Raining?
Karachi ki baarish sab pe nahe barasti ... :D
Re: Raining?
phir kis main barasti hai?
Re: Raining?
good weather
Re: Raining?
Baarishon ke mausam mein
Tum ko yaad karnay ki
Aadattain puraani hain
Ab ki baar socha ke
Aadattain badal daalain
Lekin phir khayal aaya
Aadattain badalne se
Baarishain nahe ruktee ...