raindance..welcome back ...

paish kartay hain…:mudhosh:

maykhaanay say, sharaab say, saqi say, jaam say,
APNI TO SHUROO HOTI HAY, ZINDAGI SHAAM SAY

rakhtay hain paak dil ko, aur niyat nigaah ko,
PEETAY HAIN HAMM SHARAAB, BOHAT EHTIRAAM SAY

maykash ki har khushi to, hoti hay sharaab say,
MILTI HAY ZINDAGI USAY, HAR EK JAAM SAY

aa mera haath thaam, bohat ho gaya nasha,
YAARO NAY MEI PILA DI, TAIRAY NAAM SAY!

maykhaanay say, sharaab say, saqi say, jaam say,
APNI TO SHUROO HOTI HAY, ZINDAGI SHAAM SAY

aur arz paish kiya hay…

ab apni shaam hay aur shughal-e-sharab-o-saaghar,
ab apni raat hay, aur gosha-e-maykhana hay,
peetay peetay hee soorat kuch aur karni hay,
aur jeetay jeetay isi andaaz say mar jana hay

welcome back yara kiya kashan mangal?

Re: raindance..welcome back …

yeh huwi naa baat, abb sahee mazah aya parhnay ka!! :clap:

Re: raindance..welcome back …

Lagta hai zakham nasoor hai bana
teri batoun say aye sada bolay bina :rotato:

Nacheez kuch to yeh samjhta hai
bina peeye hee dard keun jata hai :frowning:

Ab choro mai’khana veraan hoya jata hai
Shaam dhaltay he ziker zuban per ata hai :crying:

Reasoning! My dear Watson. Reasoning ! :french: :mudhosh:

Re: raindance..welcome back …

reason ki aesi ki tesi… evil+raindance:

nawazish..:aadaaaab:

AUR PAISH kiya hay…

aa angoor ki peti say mohabbat kar lay,
sharaafat ki harr ek hadd aaj paar kar lay,
ankh jhapaktay hee jawani ke maza, aayega,
usay angoor ke paani main thora gharq kar lay:dhimpak:
aur rakh kay nazar, shoq purana, BAQI kar lay
thori si zindagi hay, usko sharaabi kar lay…:mudhosh:

Re: raindance..welcome back …

:rotfl: ^ ^ Wah - baaa-kamaaal wahh :hula: Thandi hawainnnnn :whistling:

Re: raindance..welcome back ...

haye haye!

Re: raindance..welcome back …

  • subhaan allah * :rotfl: Muqarar ho bhaiya raaaay -
    aj bina sheesha he kaam acha :smiley:

Re: raindance..welcome back ...

Rainooooooooooooooooo bhaiiiiiiiiiiiiiiiii !! long timeeee !!
where have u been???
and wah wah kya kamal ki shayri hai Faizi bhai nd raino baji :D

Re: raindance..welcome back …

LOL.. was that intentional typo?

cause I know of it as angoor kee beTi… beTi refering to liquor (sharaab) :smiley:

Re: raindance..welcome back …

:expressionless:

------------------cvabn--------------

Akhain hai yaan hazaar balayain
khoob jana per Keun ? aap batain

Zakhmi dil to aisay he batain kerta hai
App sunain app ka dil kiya kehta hai :blush:

Marham rakhain gain yaan angaray kuch aur
Aaj guzernay dain es tofaan mai aur kia rkha hai :stuck_out_tongue:

Adab Nazi83 , How r u ?

Re: raindance..welcome back ...

yar....'peti' means chota baksa, usually used for transporting fruits.. aamon ki peti, angoor ki peti..

BETI would just mean purely as product of angoor (liquor)

Re: raindance..welcome back …

-----------------cvabn----------------

CRACKING SH*&T :rotfl:

Re: raindance..welcome back …

:rotfl:

peetay hain hamm sharaab… BOHAT aihtiraam sayyyy…:wave:

Re: raindance..welcome back …

peti can not be translated fully in anyother way… it can only be translated as peti:D

I normally used to grab 3-4 Peti(s) of SindhRi aam during summer from Meer pur Khas :bummer:

Re: raindance..welcome back …

aur phir baraf ki baltiyon main rakh ke jo garam lambi shaamain guzarti theen.. :love:

HAAYEEEE!!!

Re: raindance..welcome back …

------------------cvabn---------------

STOP IT ! :rotfl: *aihtraaam * and Faizy ! andaza karo :rotfl:

AQ bhai aj kal ghutlion ka kiya bhao hai ? :blush: Peti hai yaan bori :elmo:

Re: raindance..welcome back …

Khokha :smokin:

Re: raindance..welcome back ...

peti boolay tu poora aik laakh

anyway welcome back RD bhai jaan

:)

Re: raindance..welcome back …

----------cvabn------------

Dil dhonta hai, phir woh he fursat kay raat aur din
hijr tak hooti theen hazar batain tum kehtein aur main sunta rahta :silly:

Re: raindance..welcome back …

ab to aap log bambaiyyaon par charh gaye hain pakistani jhanday lay karr…

raindance: isay peenay say tabyat main rawaani aaye,
isay UTAAROON to buddhon main bhee jawwaani aaye.. :dhimpak: