raindance..welcome back ...

Re: raindance..welcome back …

Salam James Bhaand bhaiya - All is well shell :hula:

Mai bani hai haseeno ko badnaam kernay kay leye
Bootle bani hai sharab choopanay kay leye

App keun munh chuppaye phirtay hain
Yeh seeriyan hum sab he to chartay hain

Ayein mil ker khoob shore kerain
Aj na qisa kerain aur na khooyani :dhimpak:

#%&hick*&^

Re: raindance..welcome back ...

lol...

Re: raindance..welcome back …

Welcome shelcome Raino bro… :hug:

Re: raindance..welcome back …

na haram mein, na sukoon milta hai but’khane mein
chain milta hai to saqi tere maikhane mein
:mudhosh:

WAHHHHHHHHHHHHHH!!!.. WAHHHHHHHHHHHH

hicck! and sorry for the peti/beti debate..abhi poori tarah say suna hay to kuch AUR hee scene dikha hay :mudhosh:

na haram mein, na sukoon milta hai but’khane mein
chain milta hai to saqi tere maikhane mein

aaj angoor ki beti se mohabbat ker lay
shaikh sahab ki nasihat se baghawat ker lay
iski beti nay utha rakhi hai sar par dunya
yeh to acha hua angoor ko beta na hua

kam se kam surat e saqi ka nazara kar lay
aa ke may khaanay main jeenay ka sahara kar lay
aankh miltay hee jawani ka maza aaye gaa
kuch to angoor ke pani ka maza aaye gaa

her nazar apni basad shouq gulabi kar day
itni pee li ke zamaanay ko sharabi kar day
jaam jab samnay aaye to mukarnaa kaisaa
baat jab peene ki aa jaye to darna kaisaa

iska peetay hee tabyat main rawaani aaye
isko burha bhi jo pee la to jawaani aaye
peene wale tujhe aa jaye ga peenay ka mazaa
iskay her ghoont mein poshida hay peenay ka mazaa

baat to jab hay tu mai ka parastar banay
tu nazar dal de jis per wohi maikhuwar banay
mausam e gul main to peenay ka maza aata hay
peena walo ko jeenay ka maza aata hay

jo bhi aata hay yahan pee ke machal jataa hay
jab nazar saqi ki parti hai sambhal jata hay
aayi idhar jhoom ke saqi ka leke naam uthaa
daikh wo abr utha tu bhi zara jaam uthaa

is qadar pe lay ke rug rug main suroor aa jaye
kasrat e mai se chahray pe noor aa jaye
iskay har qatray main nazan hai nihan darya-dili
iskay peenay say ataa hoti hay ik zinda dili

WAHHHHHHHHHHHHHH!!!.. bhaee WAHHHHH!!!

Naza’a Sholapuri nay WO waar kiyay hain ke PAAR lagi hay kaat! :dhimpak:

Re: raindance..welcome back …

welcome back Bhai :hug:

Re: raindance..welcome back ...

Wel Kum back

Re: raindance..welcome back …

lainu tataaaaa..:wave: tussi aa gaye..! :slight_smile:

Re: raindance..welcome back …

:wave: wellcome shelcome back

Re: raindance..welcome back …

ashaa ashha ! ab sab chuup ho jao aur , yeh sher per zara dhiyaan marna , hic&k

***Na peena haram naa peelana haraam ***
Bas hai pee ker hoshh mai aana haram :dhimpak: