Re: Raaton mein gar na ashk bahauun to kyaa karun
**
aapke zauq o shauq e shaa’iri se lagaa k maiN yeh sawaal aap se karuuN gar ijaazat ho:
aapne yaqeenan 'allaamah Iqbaal kaa “saaqii naamah” paRhaa hogaa…yeh sin e suKhan ab naa-bood o naa-paid ho chukii hai. merii nazar se sirf ek aur saaqii naamah guzraa hai…kia aapne bhii koi aur saaqii naamah kisi aur shaa’ir kaa dekhaa?**