Raaton mein gar na ashk bahauun to kyaa karun

**raaton mein gar na ashk bahauun to kyaa karun
eik pal bhee us ko bhul na paun to kyaa karun

main ne sunaa hai un ko andhere nahin pasand
raahon mein ab main dil na jalaun to kyaa karun

tumhin kaho ki chhod de jab zindagi bhee saath
phir maut ko gale na lagaaun to kyaa karun

socha toh tha ki chhod duun us kee gali Murad
lekin kahin qaraar na paaun to kya karun
**

Re: Raaton mein gar na ashk bahauun to kyaa karun

:lajawab: EB! :slight_smile:

Re: Raaton mein gar na ashk bahauun to kyaa karun

wah…wah…wah… :lajawab: ehsan bhai aap to aa gaey aur cha gaey. Bohat khoobsoorat ghazal hey. Maza hi aagaya bas :slight_smile:

Re: Raaton mein gar na ashk bahauun to kyaa karun

Thanks

Re: Raaton mein gar na ashk bahauun to kyaa karun

lovely and true :lajawab:

Re: Raaton mein gar na ashk bahauun to kyaa karun

**ek umda Ghazal marHamat farmaane kaa nihaayat shukria. Ghazal ka har she'r pasand aayaa bil_Khushoos mundarja zel she'r:

maiN ne sunaa hai un ko andhere nahiiN pasand
raahoN meN ab maiN dil na jalaauuN to kia karuuN?

matl'a ke misr'a-e-saanii kaa lafz-e-awwaliiN IK [alif zer kaaf] hai, na k EIK [alif, ye, kaaf]. roman urdu kuchh raqam karnaa kaar-e-mushkil hotaa hai is liye aisii qabaaHateN namoo_daar ho jaatii haiN. Khair. bahot Khoob kalaam hai Murad saaHib kaa :)**

Re: Raaton mein gar na ashk bahauun to kyaa karun

Bhai meray IK yah EIK koi farak nahin parta jub aap angrezi alphabet mein likh rahein hain toh maqsad kalam pahunchaana hota hai, grammer kee class nahin. :)

Re: Raaton mein gar na ashk bahauun to kyaa karun


**
nahiiN janaab, meraa maqsad vo nahiiN thaa...meraa kahnaa thaa k paRhne waale ko aisaa lagtaa hai k misr'a bahr meN nahiiN hai...jab Ghaur se paRhaa tab pataa chalaa farq...mujhe Ghazal pasand aayii to dabi aawaaz men use gungunaayaa to uskii tarz bigaR gaii is liye apnii baat aap tak pahoNchaaii...IK = 1 rukn jab k eik = 2 rukn is liye ravaanii meN Khalal paRtaa hai...Khair...vazaaHat ke liye aapkaa mamnoon o mutashakkir huN...:)**

Re: Raaton mein gar na ashk bahauun to kyaa karun

Bhut Khoob :lajawab:

Re: Raaton mein gar na ashk bahauun to kyaa karun

Simply wonderful.

"main ne sunaa hai un ko andhere nahin pasand
raahon mein ab main dil na jalaun to kyaa karun"

brilliant!

Did not understand Murad and qaraar. Hence last para sar key upar sey chala gaya. Phir bhi, bahot khoob

Re: Raaton mein gar na ashk bahauun to kyaa karun

murad is the name of poet, what they call takhaluss. qaraar = chen .

Re: Raaton mein gar na ashk bahauun to kyaa karun


**
"Muraad" shaa'ir kaa taKhallus [pen-name" hai aur yeh 'umooman maqt'a [last she'r] men use hotaa hai...kabhii kabhaar matl'a [first she'r of the Ghazal] men bhii use ho jaataa hai...jaise AsGhar GonDvii kaa yeh she'r:
**
Khudaa jaane kahaN hai "AsGhar-e-diivaana barsoN se
k usko DhuunDhte haiN Ka'ba o but_Khaana barsoN se
**.

qaraar means tranquility [suloon]**

Re: Raaton mein gar na ashk bahauun to kyaa karun

mokararrr mokaraarr

**tumhin kaho ki chhod de jab zindagi bhee saath
phir maut ko gale na lagaaun to kyaa karun

**
explain this please

Re: Raaton mein gar na ashk bahauun to kyaa karun

Good one ehsan bhai … :k:

Re: Raaton mein gar na ashk bahauun to kyaa karun

awsome Ehsan.

Re: Raaton mein gar na ashk bahauun to kyaa karun

Thanks!

Re: Raaton mein gar na ashk bahauun to kyaa karun

Shukriya. Bohuth badhiya explanation -

Re: Raaton mein gar na ashk bahauun to kyaa karun

welcome janaab :)

Re: Raaton mein gar na ashk bahauun to kyaa karun

ehsan bhai deikh rahey heiN, aap ka thread to superhit ho gaya hey :)

Re: Raaton mein gar na ashk bahauun to kyaa karun

Jee yeh mera nahin shyar ka kamal hai. :D