Re: Poetic Lines from Filmi Songs
1)
Nimmi nimmi thand aur aag main
Haule haule maarwa ke raag main
"Mir" ki baat ho
Chupke se, chupke se, raat ki chaadar talay
Chaand ke bhi aahat na ho, baadal ke peechay chalen
Movie: Saathiya
2)
Gul-posh kabhi itraaye kahin
Mehkay tu nazar aa jaaye kahin
Taaweez bana ke pehno usay
Aayat ki tarah mil jaaye kahin
Yaar misaal-e-ous chale, paon ke talay firdous chalay
Kabhi daal daal kabhi paat paat
Main hawa pe dhundo uske nishaan
Saare ishq ki chaaon, chal chaiyya chaiyya
Paon jannat chalen, chal chaiyya chaiyya
Movie: Dil Se
3)
In lamhon ke daaman main, pakeeza se rishtay hain
Koi qalma mohabbat ka, duhraatay farishtay hain
Mile dekho aise hain hum, ke do sur hon jaise madham
Koi ziada na koi kam, kisi raag main, ke prem aag main
Jalte dono hi...
Mere khaabon ke is gulistan main
Tumse hi tu bahaar chaayi hai
Phoolon main rung mere thay lekin
Inn main khushboo tumhi se aayi hai
Movie: Jodha Akbar
4)
Meri nigaah ne yeh kaisa khaab dekha hai
Zameen pe chalta hua mahtaab dekha hai
Meri aankhon ne chuna hai tujhko duniya dekh kar
Kiska chehra ab main dekhon, tera chehra dekh kar?
Movie: Tarkeeb
Singer: Jagjit Singh
5)
Jab se mili nazar maathe pe ban gaye
Bindiya nai'an tere dekhon sajna
Dhar len jo pyaar se meri kalaaiyan
Piya teri ungliyan ban gayi kangna
Kya jaano sajan hoti hai kya gham ki shaam
Jal uthay so diye jab liya tera naam
Movie: Dil Vil Pyar Vyar
6)
Sab unke hain jalway, main chalnay se pehlay
Saanson main, aankhon main, khaabon main, yaadon main
Aur is dil main unko chupa ke rakhon, tu chalon
Ae jaate hue lamhon, zara thehro, zara thehro
Movie: Border
7)
Phir dhadkan main tum bas jao, phir koi ghazal main gaon
Phir chaand main tumko main dekhon, phoolon main tumko paon
Jadoo bhari aankhon wali suno, tum aise mujhe dekha na karo
Movie: Dastak
8)
Tum mujhe bas yunhi pyaar karti raho
Tu khushi mere dar se kahan jaaye gi
Naam honton pe tera subh-o-shaam hai
Bandagi mere dil se kahan jaaye gi?
Movie: Aetbaar
9)
Mere saathi mere saajan, mere saath yunhi chalna
Badlay ga rung zamaana, par tum nahin badalna
Meri maang yunhi bharna, taare hazaar ban ke
Aaye ho meri zindagi main, tum bahaar ban ke
Movie: Raja Hindustani
10)
Jag ja ri guriya, misri ki puriya
Meethay lagen do naina
Naino main tere, hum hi basay thay
Hum hi basay hain, hai na?
Jo chahe le lo dashrat ka waada
Naino se kholo ji raina
Movie: Omkara