Re: Poet of the Month SAGAR SIDDIQUI
GHAZAL
Eik wa'da hai kisi ka jo wafa hota nahi
Varna in taaroN bhari raatoN mein kya hota nahi
Jee mein aata hai ulaT dein un k chehre se naqaab
Hausla karte hain lekin hausla hota nahi
Shamma jis ki aabru par jaan de de jhoom kar
Wo patanga jal to jaata hai fana hota nahi
Ab to muddat se rah o rasm-e-nazaara band hai
Ab to un ka toor par bhi saamna hota nahi
Har bhikaari pa nahi sakta maqaam-e-khwaajgi
**Har kas o naakas ko tera gham ata hota nahi**