Re: Poet of the Month- Parveen Shakir -
*Justajuu khoye huon kii umr bhar karte rahe
Chaand ke hamraah ham har shab safar karte rahe *
*Raaston kaa ilm thaa ham ko na simton kii Khabar
Shahar-e-naamaaluum kii chaahat magar karte rahe *
*Hum ne Khud se bhii chhupaayaa aur saare shahar se
Tere jaane kii Khabar dar-o-divaar karte rahe *
Wo na aayegaa hamein maalum thaa us shaam bhii
Intazaar us ka magar kuchh soch kar karte rahe
*Aaj aayaa hai hamein bhii un udaanon kaa Khayaal
Jin ko tere zaum mein be-baal-o-par karte rahe. *
By:Parveen Shakir