Re: Poet of the month of Sept..Farhat Abbas Shah
mane post kardi huwi hai ye
1st page dekhain ![]()
Re: Poet of the month of Sept..Farhat Abbas Shah
mane post kardi huwi hai ye
1st page dekhain ![]()
Re: Poet of the month of Sept..Farhat Abbas Shah
hum bhi kya ajab hai kay kari dhoop kay talay
sehra khareed laye hain barsaat baich kar
Re: Poet of the month of Sept..Farhat Abbas Shah
Aik Contribution Meri Taraf Se Bhi,
http://www.paklinks.com/gs/imagehosting/thumb_5193446db93e752f9d.gif
Umeed Hai Pasand Aye Gi..
Regards,
Re: Poet of the month of Sept..Farhat Abbas Shah
Aik Aur..
Aye Dil-e-Rai-gaan Udaas Udaas
Phir Rahay Ho Kahaan Udaas Udaas
Chaand Ek Umr Se Safar Men Hai
Aasmaan Aasmaan Udaas Udaas
Jab Bhi Dekhaa Hai Jhaank Kar Dil Main
Ho Gayaa Sab Jahaan Udaas Udaas
Zindagi Khel Hai Udaasi Ka
Hum Yahaan, Tum Wahaan Udaas Udaas
Kyaa Udaasi Siva Nahin Kuch Bhi
Aye Meray La-Makaan Udaas Udaas
Raat Phir Kyun Jaagte Ho Aakhir
Is Tarah Merii Jaan Udaas Udaas
Umeed Hai Pasand Aye Gi..
Regards,
Re: Poet of the month of Sept..Farhat Abbas Shah
very nice sharing SH,u’ve a great taste:bb:
Re: Poet of the month of Sept..Farhat Abbas Shah
kabhi tamana kay rastay par nikal paro to...
kabhi tamanay kay rastay par nikal paro to...
khyal rakhna
hawai'n, badal, fizaa'in, mousam, khyal
chehray badal badal kar tumhay milay gay
to lamha lamha badltay ranghoo'n kay shookh dhokay mai na ajana
kabhi jo charoo'n tarf tumharay
kiran kiran apna khwab sa badan nikharay
zameen par utray
to dundhlakoo'n mai sama na jana
kabhi jo ankhoo'n main chand hus hus kay chandani ka
khumar bhar day
to apni ankhain khla mai gawa na ana
kay ye na ho jo phir khwaab totay
dhanak dhanak ka sarab totay
to jism-o-jaan par azaab totay
aur tum bamushkil laraztay hathoo'n mai
kirchi kirchi badan sambhalay
kahi bulandi par charh kar rasti huwi nighahoo'n say
wapsi kay nishaan dhondoo
ujar gya jo jaha'n dhondoo
kabhi tamana kay rastay par nikal paro to khyal rakhna
kahi say khali palat kay ana bohat kathan hai
bohat kathan hai
Re: Poet of the month of Sept..Farhat Abbas Shah
thats great stuff :k:
Re: Poet of the month of Sept..Farhat Abbas Shah
Hawww… Meri Poems Ki Kisi Ne Koi Tareef Nahi Kari.. ![]()
Re: Poet of the month of Sept..Farhat Abbas Shah
Kisi ko achi nahi lagi hogi isliye ![]()
Re: Poet of the month of Sept..Farhat Abbas Shah
tum bhi ajab ho
my most fav :)
tum bhi ajab ho meri chaht kay naseeboo'n ki tarha
munsalik gham kay tasalsul ki gunhghari say
beqarari ki koi shakal agar hoti to woh tum hotay
ya kay bus mai hota
tum ajab ho meri ankhoo'n ki tarha
apni werani say bahir ki bayabani ko takti huwi
bhegi huwi
janay kis khadshay mai, soch mai khoye huwi
kuch soch kay ghabraye huwi
tum ajab ho
meray sheroo'n ki tarha
raat kay jagay huwy
dhoop mai kumlaye huway
hijar ki rahguzaroo'n ki tarha
bul mai bul khaye huway
door tak chaye huwi
zard ghataoo'n ki tarha
tum ajab ho mery khwaboo'n ki tarha
umar say ujray huwy bikhray huway ,tarsay
tum ajab ho meray nenoo'n ki tarha
barsay huway, barsay huway
Re: Poet of the month of Sept..Farhat Abbas Shah
meri passand kee poem tau soniaa_jee naY pehlaY hee post kar dee :)
Re: Poet of the month of Sept..Farhat Abbas Shah
jo mane ki woh nahi achi lagi ![]()
Re: Poet of the month of Sept..Farhat Abbas Shah
lol… i am not saying that… I am saying, if I were to post any poem of Farhat Abbas Shah.. I would have posted the one soniaa posted…
Laakh doori ho magar ehd nibhaataY rehnaa
Jub bhee baarish ho meraa soug manaataY rehna
iss zameen maiN, meri apni aik poem bhee thee naa : )
Re: Poet of the month of Sept..Farhat Abbas Shah
May Allah give stomachache to those who are not posting in my thread ![]()
Re: Poet of the month of Sept..Farhat Abbas Shah
asay dosro ki zameeno par qabza karna achi baat nahi :nono:
Re: Poet of the month of Sept..Farhat Abbas Shah
:aq:
Re: Poet of the month of Sept..Farhat Abbas Shah
Farhat Abbas Shah kaa aik sher jo mera Farhat Abbas shah saY ta'aruff kaa zariya bhee banaa :-)
Koi haath bhee naa milaaye gaa, jo gallaY milo geY tapaak saY
Yeh naye mizaaj kaa shehr hai, yahaaN FaasloN saY milaa karo
anyone has the FULL poem?
Re: Poet of the month of Sept..Farhat Abbas Shah
hum ko nahi maloom tha hai ishq ka aghaaz
yadoo'n mai kahi door nikal janay ka mousam
lagta hai kay chehray pay tery tehar gya hai
yak lakht kaye rung badal janay ka mousam
aye shehr-e-tasali teray mashkoor hai lakin
aya hi nahi dil kay sanbhal janay ka mousam
ye shehr-e-tamana bhi anookha hai kay is par
barsaat mai bhi rahta hai thal janay ka mousam
chehray pay agarcha hai meray subha ka ujala
ankhoo'n mai magar sham kay dhal janay ka mousam
Re: Poet of the month of Sept..Farhat Abbas Shah
Farhat Abbas Shah kaa aik sher jo mera Farhat Abbas shah saY ta'aruff kaa zariya bhee banaa :-)
Koi haath bhee naa milaaye gaa, jo gallaY milo geY tapaak saY Yeh naye mizaaj kaa shehr hai, yahaaN FaasloN saY milaa karo
anyone has the FULL poem?
Hmm i think i have this ghazal let me check hmm aj nahi kal :D