Re: Poet of the month of Sept..Farhat Abbas Shah
Ahhhhhhhh…
kya likh diya shabbo tum nay…
its killing:sadaf:
Re: Poet of the month of Sept..Farhat Abbas Shah
Ahhhhhhhh…
kya likh diya shabbo tum nay…
its killing:sadaf:
Re: Poet of the month of Sept..Farhat Abbas Shah
samay samay ki Khalish main tera malaal rahe
judaiyoun main bhi youn aalam-e-visaal rahe
anaa ki jang main ham jeet to gaye lekin
phir us ke baad bahut der tak nidhaal rahe
raah-e junoun main yahi zaad-e-raah hotaa hai
ke justaju bade diwaanagi bahaal rahe
hasien raatain bhi mahakien tumhaari yaadoun se
kayde dinoun mien bhi pal pal teraa Khayaal rahe
tu ek baar zaraa kishtiyaun jalaa to sahi
hai kyaa majaal ke ek lamhaa bhi zawaal rahe
Re: Poet of the month of Sept..Farhat Abbas Shah
*Tum jo hote tu hamien kitna sahara hota *
*Hum ne auroun ko na youn dukh mein pokara hota *
*Jitni siddat se main wabasta tha tum se Farhat *
*Kis tarha mera tere baad guzara hota...........! *
*Mujh ko yeh soch hi kafi hai jalane k liye *
*main na hota tu koi aur tumhara hota *
*Aur hum baith k khamoshi se roye jate *
*Sham hoti kisi darya ka kinara hota *
*Dil se dekhi nahi jati thi khamoshi ghar ki *
*kis tarha ujrra hoa shehar gawara hota *
Tu ne socha hai kabhi kitna mohabat k baghair **
**Rooh farsaa dil-e-viraan ka nazara hota !!
Re: Poet of the month of Sept..Farhat Abbas Shah
LOL yaha bhikuch asa hi haal hai ![]()
Re: Poet of the month of Sept..Farhat Abbas Shah
shabbo aj hee saree hot hot fav ghazal post kar du ge ya kuch choro ge bhi kal k liay:faizy:
Re: Poet of the month of Sept..Farhat Abbas Shah
nice sharing sonia gggggggggg keep em coming ![]()
Re: Poet of the month of Sept..Farhat Abbas Shah
yara abhi to mai kuch karahi nahi rahi ![]()
Re: Poet of the month of Sept..Farhat Abbas Shah
…
agar "Ye"kuch nahin …tu jab kuch ho ga tu kya ho ga:bummer:
Re: Poet of the month of Sept..Farhat Abbas Shah
ankh bun jati hai sawan ki ghata sham kay badh
lout jata hai agar koi khafa sham kay badh
woh jo tal jati rahi sir say bala sham kay badh
koi to tha jo deta tha dua sham kay badh
a'ahain bharti hai shab-e-hijar yateemoo'n ki tarha
sard hojati hai har roz hawa sham kay badh
sham tak qaid raha kartay hain dil kay andar
dard hojatay hain saray hi reha sham kay badh
logh thak har kar sojatay hain lakin janaa'n
hum nay khush hokar tera dard saha sham kay badh
sham say pahlay tak lakh sulaye rakhin
jaag uthth'ti hai mohabaat ki ana sham kay badh
khwaab takra kar palat jatay hain bund ankhoo'n say
janay kis jurm ki kis ko hai saza sham kay badh
chand jub rokar sitaroo'n say galay milta hai
ek ajab rung ki hoti hai fiza'a sham kay badh
hum nay tanhaye say pocha milo gi kub tak
is nay bechani say foran hi kaha sham kay badh
mai agar khush bhi raho phir bhi meray senay mai
sogwari koi roti hai sada sham kay badh
tum gaye ho tu saya rung kay kapray pahnay
phirti rahti hai meray ghar mai qaza sham kay badh
lout ati hai meri shab ki ibadaat khali
janay kis arsh par rahta hai khuda sham kay badh
koi bhola huwa gham hai jo musalsal mujh ko
dil kay pataa'l say deta hai sada sham kay badh
mar deta hai ujar janay ka dohra ehsaas
kash ho koi kisi say na juda sham kay badh
Re: Poet of the month of Sept..Farhat Abbas Shah
Shidaata'in
betahasa hai tujhay yaad kya
aur bulaya bhi bohat hai tujh ko
sari ronaq hi teray dum say hai
aur teray bikhray huway gham say hai
jis qadar
mane taluq tera mehsoos kya
itni gehraye to roohoo'n mai huwa karti hai
jis qadar
teri zaat ko mane khud mai paya hai
itni yaktaye kaha milti hai
faslay wuqatain kho bettay hain
dooriy'an pheeki pari
itni shidaat say tujhay socha hai
itni shidaat say tujhay chaha hai
shidatain ishq ki miraj huwa karti hain
Re: Poet of the month of Sept..Farhat Abbas Shah
la haul e wala quwat. ye ninja master ab shayer bhi kehlatay hain.
September is a month to avoid poetry section.
Re: Poet of the month of Sept..Farhat Abbas Shah
maiN teri judaa'ee ka sitam jhail he laita
is raat agar chaand sitaray na bichartey
ik doojay se kuch dard ki taqseem tu rahti
jeevan maiN agar dard k maa'ray na bichartey
is toar se yaadoo N ki bhi surat niqal aa'ti
hum bhool gaa'ey hotey jo paya''rey na bichartey
Re: Poet of the month of Sept..Farhat Abbas Shah
tu kashti'ooN maiN rahay maiN kinaRa banoo'N
tumhaiN jahaN bhi zaRorat ho maiN sahaRa banoo'N
tu chaat pay aa'ey tu shab bhaR maiN chaand bun jaa'oon
safaR pe niqlay kabhi tuu tu maiN sitaa'ra banoo'N
maiN roshni ki taRha teRay rukh pe lahraa'ooN
maiN teRi aankh maiN chamkooN koi stira banoo'N
tu muj ko dejh k khil jaa'ey phool phool kali'ooN sa
maiN teray waa'stey khushiooN ka aa'staara banoo'N
kahiN bhi tuj ko bhatknay na dooN kisi bhi tarha
maiN har andheray maiN teray lee'ay ishara banoo'N
Re: Poet of the month of Sept..Farhat Abbas Shah
gumnaam daryaa'ooN maiN safaR keoN nahi kaRtey
ujRay huwey logooN pe nazaR keoN nahi kaRety
ye khawab ye khushiooN bharay hanstey huwey khawab
ye khawab meRay dil pe asaR keoNnahi kaRtey
shubhooN se haiN magloob tu phiR za'uum hai kesaa
raatoN pe haiN ghalib tu sehaR keoN nahi kaRtey
keoN aap uthatey ho udaasi ka ye asbaab
shaamooN k gulamoN ko khabaR keoN nahi kaRtey
Re: Poet of the month of Sept..Farhat Abbas Shah
:halo:
is mai lahaulawala wali kya baat hai ![]()
Re: Poet of the month of Sept..Farhat Abbas Shah
kabhi jaroo'n mai zehar utar liya
kabi laboo'n kay pechay marliya
is dar say kay dukh ki shedaat mai
kahi nikal na jaye ahh piya
mera shaam salona shah piya
hamay jangal jangal bhatka dou
hamay suli suli latka dou
jo jee say chah yaar karo
hum par jo gaye teri rah piya
mera shaam salona shah piya
kahi rooh mai pyaas pukaray gi
kahi ankh mai a'as pukaray gi
kahi khoon kahi dil bolay ga
kabhi ana maqtal ga'h piya
mera sham salona shah piya
teri shakal basarat ankhoo'n ki
tera lams rayazaat ankhoo'n ki
tera naam laboo'n ki adat hai
meri ek ek saans gawah piya
mera sham salona shah piya
hamay maar gaye teri chah piya
Re: Poet of the month of Sept..Farhat Abbas Shah
kya huwa ![]()
Re: Poet of the month of Sept..Farhat Abbas Shah
Re: Farhat Abbas Shah
jadon koee meray hath di takdeer dekhda
main jhuk k aapnay pairaan di janjeer dekhda
ik khawaab si mera puraana, jhatak ditta
kadon tak sirf khyaalan di tasweer dekhda
-tr. Tanzan Senzaki