ek udasi karti jaye gi sara’aet rooh mai
is qadar wabastgi achi nahi sham say
His poems on romance and love make a person wonder about his feelingsand ambitions. Farhat Abass Shah writes a mix of how loving and losing leaves a person hurt and destroyed, but at the same time does not forget the pleasant memories and feelings which come up - especially the feelings of everlasting hope.
tunay dekha hai kabhii ek nazar shaam kay baad
kitane chup-chaap se lagate hai.n shajar shaam ke baad
itane chup-chaap ke raaste bhii rahe.nge laa-ilm
chhoor jaayengay kissi roz nagar shaam kay baad
main nay aisay hi gunaah terii judaaye mai kiye
jaise tuufaan main koi chor de ghar shaam kay baad
shaam se pahalay vo mast apanii uranoo’n main rahaa
jis ke haatho.n mai the Tutay huay par shaam ke baad
raat biitii to ginay aablay aur phir sochaa
kaun thaa baais-e-aaGaaz-e-safar shaam kay baad
tuu hai suuraj tujhe maaluum kahaa.N raat kaa dukh
tuu kisi roz mere ghar mai utar shaam ke baad
laut aaye na kisi roz woh aavaaraa majaaz
khol rakhate hain isii aas pe dar shaam ke baad
jub koi meray hath mai taqdeer dekhta
mai jhuk kar apnay paoo’n mai zanjeer dekhta
ek khwaab tha bohat hi purana, jhatak diya
kub tak faqat khyal ki tasweer dekhta
koi jangle may ja thehray
koi basti may bas jayey
mohabbat sath hoti hai!
mohabbat khusbowoN ki lay
mohabbat mousamooN ka dhuN
mohabbat Absharoon kay nikheRtay paniyon ka munn
mohabbat jangloon may raqs karti morni ka tunn
mohabbat baRf parti sardiyoon may dhop banti hay
mohabbat chilchilatey gram sehrawon may thandi chawon ki manind
mohabbat ajnabi duniya maiN apney gawon ki manind
mohabbat dil !
mohabbat jaaan !
mohabbat Rooh ka dar'maan !
mohabbat morRi hai .
auR kabhi jo dil kay mandir may kahin par toot Jayey tou???
mohabbat Kanch ki Guriya?
fizaawon may kisi kay hath say Gar chhot jayey tou?????
mohabbat Aabla hay karb ka
auR phoot jayey tou .......????
mohabbat Rog hoti hay !
mohabbat Sog hoti hay !
mohabbat Shaam hoti hay !
mohabbat Raat hoti hay
mohabbat jhilmilati Aankh may barsaat hoti hay!
mohabbat Neend ki Rut may Haseen Khaboon kay rustoon par
sulagtey , Jaan ko Aatey, Ratjagoon ki Ghaat hoti hay
mohabbat Jeet hoti hay ?
mohabbat Maat hoti hay ?
mohabbat Zaaat hoti hay ?
***dil udaas rehta hai ***
***barishon k mosum mein***
*** zindagii pighaltii haii ***
***khwahishon k mosum mien***
*** waqt thehar jata hai ***
***mnuntaziR nigahon mien ***
***junglon k khatray hien ***
***bastiyon ki rahon mien ***
***ho sakay tu laut aana***
***pyaar ki panahon mien ***
***ishQ ka ajarah hai ***
***dil ki shahrahon mien ***
dard agar admi hota to
girebaa’n pakar kar kahtay is tarha rahtay hain bechai’n diloo’n kay andar?
is tarha kartay hain bemaro’n say
hum tumhay sehna sekhtay hain kuch tum bhi sehna sekho
thori si khushi ajaye to jal jatay ho
tum to sirf ek hi dukh pochtay ho
kon say dukh ki baat karay zara ye to bata
mosamoo'n, sard hawaoo'n ki maseehaye ka dukh
rah ki dhool mai bikhri huwi benaye ka dukh
sung kay sehar mai khud dukh say shanasaye ka dukh
ya kisi bhegti barsaat mai tanhaye ka dukh
kon say dukh ki baat karay kay dil ka dariya
itni tugyani ki zad mai hai kay kuch yaad nahi
kub hamay bhool gya kon say harjaye ka dukh
tum to bus ek hi dukh pochtay ho