Poet of the Month Mohsin Naqvi

Re: Poet of the Month Mohsin Naqvi

Kabhi jo chair gaye yaad-e-raftgaa'n Mohsin
Bikhar gaye hain nigaahain kahaa' kahaan Mohsin

Hawa nay raakh urraye to dil ko yaad aaya
Kay jal bujhee'n meray khwabon ki bastiyaa'n Mohsin

Khandar hai ehd-e-guzishta na chhu na chhair isay
Khulein to band na hon is ki khirrkiyaaN Mohsin

Bujha hai kaun sitaara kay apni aankh kay saath
Huay hain saaray manaazir dhuaaN dhuaaN Mohsin

Nahi kay us nay ganwaaye hain maah-o-saal apnay
Tamaam umr kati yoon bhi raaegaaN Mohsin

Mila to aur bhi taqseem kar gaya mujh ko
Sameittna theeN jisey meri kirchiyaaN Mohsin

Kahin se us ne bhi tora hai khud say rabt-e-wafa
Kahin se bhool gaya main bhi daastaaN Mohsin

Re: Poet of the Month Mohsin Naqvi

KaRay safar maiN agar rasta badalna tha
Tu ibtada maiN meray saath hee na chalna tha

Kuch is leay bhi tu sooraj zameeN pa utra hai
PahaRoN pa jami baraf ko pighalna tha

Utar kay dil main lahoo zehar ker gaya Aakhir
Woh saanp jisko meri AasteeN maiN palna tha

Yeh kia keh tohmataiN Aatish fishaaN kay sir AaiN?
Zameen ko yuN bhi KHazana kabhi ugalna tha

MaiN laGHziSHoN say aTay raastoN pa CHal nikla
Tujhay ganwa kay mujhay phir kahaN sambhalna tha

Usee ko subh e musafat nay CHoor ker Dala
Woh Aaftaab jisay dopahar main DHalna tha

Ajab naseeb tha Mohsin keh baad e marg mujhay
CHiraaGH bun kay KHud apni lehad pa jalna tha

Re: Poet of the Month Mohsin Naqvi

Mere Naam Se Pehle...

*abh ke us ki ankhon mien *
** besabab udaasi thi **
** abh ke us ke chehray per **
** dukh tha...behawasi thi **

** abh ke yun mila mujh se **
** yun ghazal suni...jese **
** mein bhi na_shanasa hoon **
** wo bhi ajnabi jesse **

** zard khaal o khad uss ke **
** sogawar daman tha **
** abh ke uss ke lahjay mein **
** kitna khudra pan tha **

** wo ke umer bhar jis ne **
** shahr bhar ke loogon mien **
** mujh ko hum sukhan jana **
** khud se mehrban samjha **
** mujh ko "Dilruba" likha **

** abh ke sada kaghaz per **
** surkh roshnai se **
** us ne talkh lahjay mein **
** mere naam se pehle! **
** sirf "Bewafa" likha**

Re: Poet of the Month Mohsin Naqvi

hamri jaan par dohra aazaab hai mohsin
kay dekhna nahi hum ko sochna bhai

:konfused:

Re: Poet of the Month Mohsin Naqvi

:rolleyes: :halo: :rolleyes:

http://www.paklinks.com/gs/imagehosting/950346b4c4ff8836a.gif

Re: Poet of the Month Mohsin Naqvi

Ek pal maiN zindagi BHar kee udaasi dey gaya
Wog juda hotay huay kuch PHool baasi dey gaya

Noch ker shaakhoN kay tan say KHuSHk pattoN ka libaas
Zard mousim baanjh rut ko bey libaasi dey gaya

Subah kay taray, meri pehli dua teray leay
Tu dil e bay sabr ko taskeeN zara see dey gaya

Log malboN maiN dabay saaye bhi dafnanay lagay
Zalzala ahl e zameeN ko badhawasi dey gaya

Tund jhonkay kee ragoN main ghol ker apna dhuwaaN
Ek diya andhi hawa ko khud SHanasi dey gaya

Lay gaya Mohsin woh mujh say abr bunta AasmaaN
Os kay badlay main zameeN sadyoN piyasi dey gaya

Re: Poet of the Month Mohsin Naqvi

KHuSHi mili tu kaee dard mujh say rooTH gaye
Dua karo keh maiN say udaas ho jaaoN

Re: Poet of the Month Mohsin Naqvi

Thahar jaao ke hairaanii to jaaye
tumhaarii shakl pahachaanii to jaaye

shab-e-Gam tuu hii mahamaa.N ban ke aajaa
hamaare ghar kii viraanii to jaaye

zaraa khul kar bhii ro lene do ham ko
ke dil kii aag tak paanii ho jaaye

balaa se to.D Daalo aa_iino.n ko
kisii suurat ye hairaanii to jaaye

Mohsin Naqvi

Re: Poet of the Month Mohsin Naqvi

tu mera naam na pocha kar

mai teri zaat ka hisa ho
mai teri soch mai shamil ho
mai teri neend ka kisa ho
mai teray khaab ka hasil ho

mai teri yaad ka mehwar ho
mai teri saans ka jhoonka ho
tu manzar hai, mai pas-e-manzar ho
mai lamha ho mai jazba ho
jazbay ka koi naam nahi hota
tu mera naam na pocha kar

Re: Poet of the Month Mohsin Naqvi

very creative poem by Mohsin..:k:

PS: aap kaa naam kiyaa hai C C? :halo:
*

Re: Poet of the Month Mohsin Naqvi

One of my favorites: :)

Ma'arika abb kay hua bhee tau phir aisaa hoga
Teray dariya pay meri piyaas ka pehraa hoga

Uss ki aaNkhaiN teray chehray pay bahut bolti haiN
Us nay palkoN saY tera jism taraasha hoga

Kitnay jugnu issi khuwaahish pay meray saath chalaY
Koi rasta teray ghar ko bhee tau jaata hoga

Main bhee apnay ko bhulaaye huay phirta hun bahut
**
Aaina us nay bhi kuch roz na daikhaa hoga**


Raat jal thal meri aankhoN maiN utar aaya thaa
Soorat-e-ab'r koi toot kay barsaa hoga

Ya masheehaayi ussay bhool gai hai *Mohsin*
Ya phir aisa hai--mera zakh'm hi gehra hoga

Re: Poet of the Month Mohsin Naqvi

waah nice mane pahlay kabhi nahi parhi ye :naraz:

Re: Poet of the Month Mohsin Naqvi

mera naam CC nahi hai :smilestar:

Re: Poet of the Month Mohsin Naqvi

tau iss maiN naraaz honaY waali kiyaa baat hai???
meri passand hai.. iss liye :(?

mujhaY aap kaa naam naheeN maaloom : )

Re: Poet of the Month Mohsin Naqvi

agar CC nahee tu BB hoga :stuck_out_tongue:

Re: Poet of the Month Mohsin Naqvi

mata-e-sham-e-safer bestion main chorh aayai
bujhay charagh hum apnay gheron main chorh aayai

bicherh k tujh say chalay hum to ab k youn bhi houa
k teri yaad kahien raston main chorh aayai

hum apni derbedri k mushahiday akser
naseeheton ki terah kumsinon main chorh aayai

kharaj-e-seel-e-bala is say berh k kia ho k log
khulay makan bher barishon main chorh aayai

ghiray hain leshker-e-aeda main aur sochetay hain
hum apnay teer to apni safon main chorh aayai

hawa hi din main perinday urhayai phirtti hay
hawa hi phir say unhay ghonslon main chorh aayai

kisay khaber hay k zekhmi ghizal kis k liyai?
nishan lahou k ghenay jungalon main chorh aayai

hamaray baad bhi roneq rehay gy muqtel main
hum ahl-e-dil ko berhay hoslon main chorh aayai

urhain gay kia woh perinday jo apnay rizq samait
safer ka shoq bhi toutay peron main chorh aayai

sada sukhi rehain chehray woh hum jinhay Mohsin
bhujay gheron ki khuli khirhkion main chorh aayai

2 Likes

Re: Poet of the Month Mohsin Naqvi

Yeh pichlay ishq ki baatein hein
jab aankh mein khwaab damaktay thay
jab dil mein daagh chamaktay thay
jab palkein sheher ke rastoon main
ashkon ka noor lutatee thein
jab saansein ujlay chehron ke
tan-man mein phool sajati thein
sochon mein bhanvar par jaatay thay
jab aik talatum rehta tha

apnay be-ant khayalon mein
har ehad nibhaanay ki kasmain
khat khoon se likhnay ki rasmain
jab aam thein hum dil walon mein
ab apni ujree ankhoon mein
jitni roshan si raatein hein
us umer ki sab soughaatein hein
jis umer ke khwaab khayaal huye
woh pichlii umer thi beet gaii
woh umer beetay saal huye

ab apni deed ke rastay mein
kuch rang hai guzray lamhon ka
kuch ashk ki baraatein hein
kuch bhoolay bisray chehray hein
kuch yaadon ki barsaatein hein
yeh sab pichlay ishq ki baatein hein

Re: Poet of the Month Mohsin Naqvi

Kab tulak shab kay andhairay mein sehar ko tarsay
Woh musafir jo bharay shehar mein ghar ko tarsay

Aankh thehray howay paani say bhi katraati hai
Dil woh reh'roo keh samandar kay safar ko tarsay

Mujh ko uss qehat kay mosam say bacha rub e sukhan
Jab koi ehal e hunar, arz e hunar o tarsay

aab kay iss toor musalat howa andhaira har soo
Hijar ke raat mairay deeda e tar ko tarsay

Umar itni tu ataa kar mairay fun ko khaliq...
Maira dushman mairay marnay ke khabar ko tarsay

Uss ko paa kar bhi ussay dhoond rahi hain ankhain
Jaisay paani mein koie seep gohar ko tarsay

na'shana'saye kay mousam ka asar tu daikho!
Aaina khaal o khad e aania gar ko tarsay

Aik dunia hai kay basti hai tairi ankhoon mein
Woh tu hum thay jo tairi ik nazar ko tarsay

Shoor e sur'sar mein jo sar sabaz rahi hai mohsin
Mousam e gul mein wohi shaakh samar ko tarsay

Re: Poet of the Month Mohsin Naqvi

Nayee tarhan say nibhaaney ki dil nay thaani hai
Wagarna tujh say mohabbat bohot puraani hai

Khuda wo din na dikhayee keh mai kisi say sunon
Keh tu nay bhi gham-e-duniya say haar maani hai

Zameen ay reh kar sitaarey shikaar kartey hain
Mizaaj ahl-e-mohabbat ka asmaani hai

Humein azeez ho kyonkar na shaam-e-gham keh yehi
Bichadney waaley---teri aakhri nishaani hai

Uttar paraey ho toh darya pay poochna kaisa?
Keh saahilon say udhar--- kitna taiz paani hai

Bohot dinon mai teri yaad orh kar utri
Yeh shaam kitni seheri hai---kia suhaani hai

Main kitni der usay sochta rahun Mohsin
Keh jaisay uska badan bhi koi kahaani hai

Re: Poet of the Month Mohsin Naqvi

v nice shab bajee:)