Poet of the Month Mohsin Naqvi

Re: Poet of the Month Mohsin Naqvi

*abhii kyaa kahe.n abhii kyaa sunaaye.n *
*ke sar-e-fasiil-e-sukuut-e-jaa.N *
*kuf-e-roz-o-shab pe sharar numaa *
*vo jo harf jarf charaaG thaa *
*use kis havaa ne bujhaa diyaa *

*kabhii lab hile.nge to puuchhanaa *

*sar-e-sahar-e-ahad-e-visaal-e-dil *
*vo jo nikahato.n kaa hujuum thaa *
*use dast-e-mauj-e-firaaq ne *
*tah-e-Khaak kab se milaa diyaa *

*kabhii gul khile.nge to puuchhanaa *

*abhii kyaa kahe.n abhii kyaa sunaaye.N *
*yuu.N hii Khvaahisho.n ke fishaar me.n *
*kabhii be-sabab kabhii beKhalal *
*kahaa.N kaun kis se bichha.D gayaa *
*kise kis ne kaise ga.Nvaa diyaa *

*kabhii phir mile.nge to puuchhanaa *

Re: Poet of the Month Mohsin Naqvi

*hamaaraa kyaa hai ke ham to chiraaG-e-shab kii tarah *
*agar jale bhii to bas itanii raushanii hogii *
*ke jaise tund andhero.n kii raah me.n juganuu *
*zaraa sii der ko chamake chamak ke kho jaaye *
*phir is ke baad kisii ko na kuchh sujhaa_ii de *
*na shab kaTe na suraaG-e-sahar dikhaa_ii de *
*hamaaraa kyaa hai ke ham to pas-e-Gubaar-e-safar *
*agar chale bhii to bas itanii raah tay hogii *
*ke tez havaao.n kii zard maa_il naqsh-e-qadam *
*zaraa sii der ko ubhare ubhar ke mit jaaye *
*phir us ke baad na raastaa na rah_guzar mile *
*hadd-e-nigaah talak dasht-e-bekinar mile *
*hamaarii simt na dekho ke ko_ii der me.n ham *
*qabiilaa-e-dil-o-jaan judaa hone vaale hai.n *
*base basaaye huye shahar apanii aa.Nkho.n ke *
*misal-e-khaanaa-e-viiraan uja.Dane vaale hai.n *
*havaa kaa shor ye hii hai to dekhate rahanaa *
*hamaarii umar ke Kheme.n ukha.Dane vaale hai.n *

Re: Poet of the Month Mohsin Naqvi

**Thahar jaao ke hairaanii to jaaye
tumhaarii shakl pahachaanii to jaaye

shab-e-Gam tuu hii mahamaa.N ban ke aajaa
hamaare ghar kii viraanii to jaaye

zaraa khul kar bhii ro lene do ham ko
ke dil kii aag tak paanii ho jaaye

balaa se to.D Daalo aa_iino.n ko
kisii suurat ye hairaanii to jaaye
**

Re: Poet of the Month Mohsin Naqvi

**ye dil ye paagal dil meraa kyo.n bujha gayaa aavaaragii
is dasht me.n ik shahar thaa vo kyaa huaa aavaaragii

kal shab mujhe be-shakl sii aavaaz ne chau.Nkaa diyaa
mai.n ne kahaa tuu kaun hai us ne kahaa aavaaragii

ik tuu ki sadiyo.n se mere ham_raah bhiii ham_raaz bhii
ik mai.n ki tere naam se naa_aashnaa aavaaragii

ye dard kii tanhaa_iyaa.N ye dasht kaa viiraa.N safar
ham log to uktaa gaye apanii sunaa aavaaragii

ik ajanabii jho.nke ne jab puuchhaa mere Gam kaa sabab
saharaa kii bhiiigii ret par mai.n ne likhaa aavaaragii

le ab to dasht-e-shab kii saariii vusate.n sone lagii.n
ab jaaganaa hogaa hame.n kab tak bataa aavaaragii

kal raat tanhaa chaa.Nd ko dekhaa thaa mai.n ne Khvaab me.n
'Mohsin' mujhe raas aayegii shaayad sadaa aavaaragii

[Mohsin=beneficient/generous; raas aanaa - to like]**

Re: Poet of the Month Mohsin Naqvi

Ghazloon Ke dhanak oorh mairay shoola badan too
Hai maira sukhan tu.... maira mozooh e sukhan too


Kaliyoon ke tarhaan phoot sar e shaakh e tamana
Khushboo ke tarhaan phail chaman ta ba chaman too

Nazil hoo kabhi zehan pay ayaat ke sourat
Ayaat mein dhal ja kabhi jabril dehan tooo

Aab kiyon na sajaoon mein tujhay deeda o dil mein
Lagta hai andhairay mein sawairay ke kiran too

Pehlay na koye ramz e sukhan tee na kinaya
Aab nuqta e takmeel e hunar, mehwar e fun too

Yeah kam tu nahi tu maira mayaar e nazar hai
Aye dost mairay wastay kuch aur na ban too

Mumkin hoo tu rehnay dai mujhay zulmat e jaan mein
Dhoonday ga kahaan chandini ratoon mein kafan too

Re: Poet of the Month Mohsin Naqvi

Aaj ke shaam__ maray dil main charaghiaan hai bohat
shoorash-a-dard pus-a-chaak giraibaan hai bohat
yaad-a-yaariaan say munawar hain dur-o-bam-a-hayaat
fikar-a-aariash-a-dildar durkhshiaan hai bohat
runjash-a-dilzudgiaan hud say bari jatee hai
bukashish-a-gurdish-a-dooraan be faraviaan hai bohat
aaj ke shaam samaity howay gumgushta naqoosh
zeena zeena maray seenay main utar aayee hai
moosam a hubas hai aisa kay muasar ab tu
shoorash-a-hulqa-a-ahbab na tunhai hai
khood main simtoon tu bikharnay ke khulish dustee hai
khood say bahar be na shuharat hai na ruswaii hai
karwatiaan durad badalta hai pus-a-lumha-a-shooq
aahatiaan daman-a-aaghaz main anjaam ke hain
maray chahary pay dahaktay hai rukh-a-dahar kay rung
maray maathay pay khirashiaan ghum-a-aayam ke hain
maray hoontoon pay duaan ke lakeeriaan hain
maray seenay main sabhi saaitiaan Ilham ke hain
mari dukhtee hoi aankhoon main magar aaj ke shaam
*jitnee shamiaan be farooziaan hai taray naam ke hain *

Re: Poet of the Month Mohsin Naqvi

Tairay badan say choo kar jo idhar bhee aata hai
Misaal e rung woh jhoonka, nazar bhi aata hai **
**tamaam shab jahaan jalta hai ik udaas diya
Hawa ke raah mein ik aisa ghar bhi aata hai

woh mujh ko toot kay chahay ga, choor jaye ga
Mujhay khabar thee ussay yeah hunar bhi aata hai

Ujaar ban mein utarta hai aik jugnoo bhi
hawa kay sath koi humsafar bhi aata hai

Wafa ke koun see manzil pay uss nay choora tha
Keh woh tu yaad humain bhool kar bhi aata hai

Jahaan Lahoo kay samandar ke hud theharti hai
Waheen Jazeera e laal o guhar bhi aata hai

Challay jo zikar farishtoon ke parsaye ka
Tu zair e behas muqaam e bashar bhi aata hai

Abhi sinaan ko sambhalay rahain adoo mairay
Keh in safoon mein kaheen maira sar bhi aata hai

Kabhi kabhi mujhay milnay bulandiyoon say koye
Shoa e subah ke sourat utaar bhi aatar bhi aata hai

Issi liyeah mein kissi shaab na soo saka mohsin
Woh mahtaab kabhi baam par bhi aata hai..

Re: Poet of the Month Mohsin Naqvi

jab bhi hansnay kay zamanay aye
zakham phir yaad puranay aye

bar'ha un ko manaya tu humain
rooth janay kay bahanay aye

phir mujhay toot kay chaha uss nay
phir bicharnay kay zamanay aye

muskara kar humain milnay wallay
zindagi bhar ko rulanay aye

kitni mehroom theen neendain un kee
khawb bhi jin ko jaganay aye

tairi chahat nay theharnay na diya
rah mein kitnay thikaanay aye

tu nahi hai tu hawa ka jhoonka
ghar ke zanjeer hilanay aye

dil bujha hai na jalay hain khaimay
aap kiyon jashan mananay aye ?

issi umeed pay jagoo yaroo !
aab woh kis waqat na janay aye

raas aya jinhain sehra mohsin
un ke kismat mein khazanay aye

Re: Poet of the Month Mohsin Naqvi

Request repeat #1

Re: Mohsin Naqvi

iska kyaa matlab hai?
request repeat #1

Re: Poet of the Month Mohsin Naqvi

Bhari bahaar main ab kay ajeeb phool khilay?
Na apnay zakham hee mehkay na dil kay chaak silay

Kahan tak koi dhoondhay musaafiron ka suraaGH
BichaRnay waalon ka kia hai, milay milay na milay?

Ajeeb qahat ka mousim tha ab kay basti maiN
Keay hain baanjh zameenoN say baarishoN nay gilay

Yeh haadisa sar e saahil rula gaya subko
Bhanwar main Doobnay waloN kay haath bhi na hilay

Sinaa kee nok kabhi shaakh e daar per Mohsin
SukhanwaroN ko milay hain mushaqqatoN kay silay

Re: Poet of the Month Mohsin Naqvi

Yeh kisnay humsay lahoo ka Khiraaj phir maanga?
Abhi tu soye thay maqtal ko surKhuroo ker kay!

Re: Poet of the Month Mohsin Naqvi

Kya baat hey :k: This thread is going great guns :slight_smile:

Re: Poet of the Month Mohsin Naqvi

oh Really ap ko idher udher bhi dekhnay ki fursat hia Amazaing :smiley:

Re: Poet of the Month Mohsin Naqvi

Keh sakti ho aap :~)

Re: Poet of the Month Mohsin Naqvi

Funkaar hai toh haath pay sooraj saja kay la
Bujhta hua diya na muqaabil hawa kay la

Darya ka inteqaam dabo day na ghar tera
Saahil say roz roz na kankar utha kay la

Samaan wafa kay baandh magar soch soch kar
Is ibteda mai yun na sakhat inteha kay la

Thori si aur mauj mai aa, ayee hawa-e-gul
Thori si uskay jism ki khushboo chura kay la

Gar sochna hai ehl-e-mashiyaat kay hauslay
Maida'n say ghar mai ek mayyat utha kay la

Mohsin ab uska naam hai sab ki zabaan par
Kis nay kaha tha usko ghazal mai saja kay la

Re: Poet of the Month Mohsin Naqvi

Ab aye meray ehsaas-e-junoon--kia mujhey daina?
Darya usay bakhsha hai toh sehra mujhey daina

Tum apna makaan jab karo taqseem toh yaaron!
Girti hui deewar ka saaya mujhey daina

Jab waqt ki murjhaai hui shaakh sambhaalo
Us shaakh say toota hua lamha mujhey daina

Tum mera badan orhh kay phirtay raho-lakin
Mumkin ho to ek din mera chehra mujhey daina

Choo jayee hawa jis say toh khushboo teri ayee
Jaatey huay ek zakhm to aisa mujhey daina

Ek dard ka mela hai--laga hai dil-o-jaan mein
Ek rooh ki awaaz ka rasta mujhey daina

Ek taaza ghazal azn-e-sukhan maang rahi hai
Tum apna mehekta hua lehja mujhey daina

Wo mujh say kahin badh kay musibat mein tha Mohsin
Reh reh kay magar uska dilaasa mujhey daina

Re: Poet of the Month Mohsin Naqvi

:-/ *

Re: Poet of the Month Mohsin Naqvi


Bichar kay kabhi mujh say tonay ye socha hai
part 2

kuch is qadar bhi to asaa'n nahi hai ishq tera
ye zehar dil mai utar kar hi to raas ata hai

mai tujh ko pakay bhi khoya huwa sa rahta ho
kabhi kabhi to tunay mujhay theek samjha hai

mujhay khabar hai kay kya hai judaioo'n ka azaab
kay mane shaakh say gul ko bichartay dekha hai

mai muskura bhi para ho to khu khafa hain ye logh
kay phool toti huwi qabar par bhi khilta hai

usay ganwa kay zinda ho mai is tarha Mohsin
kay jasay taiz hawa mai chiragh jalta hai

Re: Poet of the Month Mohsin Naqvi

:rolleyes: