Re: Poet of the Month Mohsin Naqvi
mata-e-sham-e-safer bestion main chorh aayai
bujhay charagh hum apnay gheron main chorh aayai
bicherh k tujh say chalay hum to ab k youn bhi houa
k teri yaad kahien raston main chorh aayai
hum apni derbedri k mushahiday akser
naseeheton ki terah kumsinon main chorh aayai
kharaj-e-seel-e-bala is say berh k kia ho k log
khulay makan bher barishon main chorh aayai
ghiray hain leshker-e-aeda main aur sochetay hain
hum apnay teer to apni safon main chorh aayai
hawa hi din main perinday urhayai phirtti hay
hawa hi phir say unhay ghonslon main chorh aayai
kisay khaber hay k zekhmi ghizal kis k liyai?
nishan lahou k ghenay jungalon main chorh aayai
hamaray baad bhi roneq rehay gy muqtel main
hum ahl-e-dil ko berhay hoslon main chorh aayai
urhain gay kia woh perinday jo apnay rizq samait
safer ka shoq bhi toutay peron main chorh aayai
sada sukhi rehain chehray woh hum jinhay Mohsin
bhujay gheron ki khuli khirhkion main chorh aayai