Ye Masa’il e Tasawwuf, ye tera bayan Ghalib
Tumhe hum wali samajhte agar badaa khuwar na hota
Please Share your favourite Ghazal, extart from letters of Chacha Ghalib in this thread ![]()
Ye Masa’il e Tasawwuf, ye tera bayan Ghalib
Tumhe hum wali samajhte agar badaa khuwar na hota
Please Share your favourite Ghazal, extart from letters of Chacha Ghalib in this thread ![]()
Re: Poet of the Month - Mirza Ghalib
Whenever Ghalib is mentioned, One incident comes in my mind, that is after fall of delhi, the british personnel asked him "are you muslim" he answered "half", "what does half mean" asked the british personnel, to which he replied "I drink wine but I don't eat pork:D
Re: Poet of the Month - Mirza Ghalib
**dil-e-naadaa.N tujhe huaa kyaa hai
aaKhir is dard kii davaa kyaa hai
****ham hai.n mushtaaq aur vo bezaar
yaa ilaahii ye maajaraa kyaa hai
*mai.n bhii muu.Nh me.n zabaan rakhataa huu.N
*kaash puuchho ki muddaa kyaa hai
****jab ki tujh bin nahii.n koii maujuud
phir ye ha.ngaamaa, ai Khudaa kyaa hai
****ye parii cheharaa log kaise hai.n
Gamazaa-o-ishvaa-o-adaa kyaa hai
****shikan-e-zulf-e-ambarii kyo.n hai
nigah-e-chashm-e-surmaa saa kyaa hai
****sabazaa-o-gul kahaa.N se aaye hai.n
abr kyaa chiiz hai havaa kyaa hai
****hamako unase vafaa kii hai ummiid
jo nahii.n jaanate vafaa kyaa hai
****haa.N bhalaa kar teraa bhalaa hogaa
aur darvesh kii sadaa kyaa hai
****jaan tum par nisaar karataa huu.N
mai.n nahii.n jaanataa duaa kyaa hai
***mai.n ne maanaa ki kuchh nahii.n 'Ghalib'
muft haath aaye to buraa kyaa hai *
Re: Poet of the Month - Mirza Ghalib
Bazeecha-e-atfal hai dunia meray agay
Hota hai shab o roz tamasha meray aagay
Eik khail hai o rung suleman meray nazdeek
Eik baat hai Ajaz masiha meray aagay
Juz naam nahi sourat aalam mujhay manzoor
Juz waham nahi hasti ashya meray aagay
Hota hai nihan gird main sehra meray hotay
Ghista hai jabeen khak pay darya meray aagay
Mat pocho k kia haal hai mera teray peechay
Tu daikh k kia rung hai tera meray aagay
Such kehtay ho khud bain o khud ara hon, na kion hon
Baitha hai but aaeenay seema meray aagay
Phir daikhya andaz gul afshani meray aagay
Nafrat ka guman guzray hai main rashak say guzaar
Kion kar kahon lo naam na un ka meray aagay
Iman mujhay rokay hai jo khinchay hai mujhay kufar
Kaaba meray peechay hai kalisa meray aagay
Re: Poet of the Month - Mirza Ghalib
***Dard minnat kashe-e-dawa na hua,
main na achha hua, bura na hua,
jama karte ho kyon raqeebon ko,
ek tamasha hua gila na hua,
Hum kahan qismat aazmaane jaayein,
tu hi jab khanjar aazmaa na hua,
Kitne shireen hai tere lab ke raqeeb,
gaaliyaan khake bemaza na hua,
hai khabar garm unke aane ki,
aaj hi ghar mein boriya na hua,
Kya wo namarood ki khudayi thi,
bandagi mein mera bhala na hua,
Jaan di, di hui usi ki thi,
haq to yun hai ke haq ada na hua,
Zakhm gar dab gaya lahoo na thama,
kaam gar ruk gaya rawaan na hua...
Rahazani hai ke dil sitanee hai,
leke dil, dil sitaan rawaan na hua,
Kucch to padhiye ke log kehte hai,
aaj 'ghalib' gazal sara na hua...***
Re: Poet of the Month - Mirza Ghalib
kion na janat may mila lain dozakh ko ya RAAB
sair k wastay thori si fiza or sahee
Re: Poet of the Month - Mirza Ghalib
mujjay tou bus yahi ata hai Ghalib chacha ka:
*ye ishq nahi asaan bus itna samajh lijiay
ik aag ka darya hai aur dob k jana hai
*
wah wah
Re: Poet of the Month - Mirza Ghalib
mujjay tou bus yahi ata hai Ghalib chacha ka:
*ye ishq nahi asaan bus itna samajh lijiay ik aag ka darya hai aur dob k jana hai * wah wah
i dont think yeh ghalib ka shair hai...........
Re: Poet of the Month - Mirza Ghalib
ghalib bura na maan gar naaseh bura kahay.....
aisa bhi koi hai sb acha kahain jisay ......
Re: Poet of the Month - Mirza Ghalib
i dont think yeh ghalib ka shair hai...........
**yeh Jigar Muradabadi kaa she'r hai
**
Re: Poet of the Month - Mirza Ghalib
^ooh i am sooo sorry..lol..thanx for the correction KKF :)
Re: Poet of the Month - Mirza Ghalib
^ooh i am sooo sorry..lol..thanx for the correction KKF :)
**welcome...it's OK! :)
haiN aur bhii dunyaa meN suKhan_war bahot achchhe
kahte haiN k "Ghaalib" kaa hai andaaz-e-bayaaN aur!****
be_shak!
**
Re: Poet of the Month - Mirza Ghalib
yes so truee
Re: Poet of the Month - Mirza Ghalib
**welcome...it's OK! :)
haiN aur bhii dunyaa meN suKhan_war bahot achchhe kahte haiN k "Ghaalib" kaa hai andaaz-e-bayaaN aur!****
be_shak!
**
rekhta ke tum hi ustaad nahiN ho GHalib
kahte haiN agle zamane meN koi Meer bhi tha
Re: Poet of the Month - Mirza Ghalib
**jab tum ho shahr meN, hamen kia Gham? ja uTheNge
le aayeNge baazaar se ham jaa kar dil o jaaN aur!
Ghalib chaachaa, Bi Tameezan ke paas bahot se naa-kaarah dil paRe hoNge…ek unhiiN se le leN…baazaar jaane kaa kiuN kashT farmaa rahe haiN?
![]()
mazaaq bar-taraf, Ghaalib ne ek dil_chasp nukta uThaayaa hai. ![]()
**
Re: Poet of the Month - Mirza Ghalib
rekhta ke tum hi ustaad nahiN ho GHalib
kahte haiN agle zamane meN koi Meer bhi tha
bahot Khoob...ek ma'mooli sii tasHeeH farmaa leN...she'r meN asl lafz hai **'reKhte'**** na k 'reKhta'...:)**
Re: Poet of the Month - Mirza Ghalib
acknowledged ![]()
roman may phir aisay tu hota he hai ![]()
Re: Poet of the Month - Mirza Ghalib
Bas ke Dushwaar Hai Har kaam Ka Asaan Hona
Aadmi Ko Bhi Mayessar Nahin Insaan Hona
Ki Mere Qatl Ke baad Usne Jafaa Se Tauba
Haaye Us Zoode Passhemaan ka Pashemaan Hona
Haif Us Chaar Girah Kapray Ki Qismat Ghalib
Jis Ki Qismat Main Ho Aashiq ka Garebaan Hona
Re: Poet of the Month - Mirza Ghalib
Kaabe Kis Munh Se jaaogay Ghalib
Sharm Tum Ko Magar Nahin Aati
Hum Ko Maaloom Hai Jannat Ki Haqeeqat Lakin
Dil Ko Khush Rakhne Ko Ghalib Yeh Khayal Accha hai
Re: Poet of the Month - Mirza Ghalib
Aaina kyu na doon ke tamasha kahe jise
Aisa kaha se laau ke tujhasa kahe jise
Hasrat ne la rakha teri bazm-e-khayal me
Guldasta-e-nigaah suveda kahe jise
Phoonka hai kisne goshe mohabbat mein aye khuda
Afasuun-e-intazar tamanna kahe jise
Sar par hajum-e-dard-e-garibi se daliye
Wo ek musht-e-khak ke sahara kahe jise
Hai chashm-e-tar me hasarat-e-diidar se niha
Shauq-e-ina gusekhta dariya kahe jise
Darakar hai shiguftan-e-gul haye aish ko
Sub_h-e-bahar paba-e-miina kahe jise
“ghalib” bura na man jo vaiz bura kahe
Aisa bhii koii hai ke sab achchha kahe jise