One of India’s most influential Urdu poets, Jigar Muradabadi has been called, “perhaps the greatest traditional shaiir of the 20th century.” Remembered for his flamboyant and cavalier persona, Muradabad played a strong role in the success of Majrooh.
Humko Mita Sake Ye Zamaane Mein Dam Nahi.n
Humse Zamaanaa Khud Hai Zamaane Se Hum Nahi.n
Merii Zubaan Pe Shikavaa-e-ahl-e-sitam Nahi.n
Mujhko Jagaa Diyaa Yehii Ehsaan Kam Nahi.n
Yaa RAB! Hujuum-e-dard Ko De Aur Vus’atein
Daaman To Kya Abhi Meri Aankhein Bhi Nam Nahi.n
Zaahid Kuch Aur Ho Na Ho Maihaane Mein Magar
Kya Kam Ye Hai Ki Shikavaa-e-dair-o-haram Nahi.n
Shikavaa To Ek Chair Hai Lekin Haqiqatan
Tera Sitam Bhi Teri Inaayat Se Kam Nahi.n
Marg-e-Jigar Pe Kyo.n Teri Aankhein Hain Ashk-rez
Ik Saanihaa Sahi Magar Itni Aham Nahi.n
Re: Poet Of The Month June -Jigar Muraad Abadi-
Aadmi aadmi say milta hai
dil magar kum kisi say milta hai
bhool jaata hoon main sitam uskay
woh kuch is saadgi say milta hai
aaj kya baat hai ke phoolon ka
rung teri hansi say milta hai
milkay bhi jo kabhi nahin milta
Toot kar dil usi say milta hai
Kaar-o-baar-e-jahaan sanwartay hain
hosh jab bhi khudi say milta hai<!-- google_ad_section_end -->
Re: Poet Of The Month June -Jigar Muraad Abadi-
being lonely are you from india :)
Re: Poet Of The Month June -Jigar Muraad Abadi-
mujhe de rahi haiN tasaliyaa'N vo har ek tazaa payaam se
kabhi aake manzar-e-aam par kabhi haT ke manzar-e-aam se
na Garaz kisi se na vastaa mujhe kaam apne hi kaam se
tere zikr se teri fikr se teri yaad se tere naam se
mere saqiyaa mere saqiyaa tujhe marhabaa, tujhe marhabaa
tu pilaaye ja tu pilaaye ja, isi chashm-e-jaam ba jaam se
teri subh-o-aish hai kya bala, tujhe ae falak jo ho hausla
kabhi karale aake muqabila, Gam-e-hijr-e-yaar ki shaam se
Re: Poet Of The Month June -Jigar Muraad Abadi-
aaNkhon meIN bus k dil me.n samaa kar chale gaye
Khvaabidaa zindagii thii jagaa kar chale gaye
chehare tak aastiin vo laakar chale gaye
kyaa raaz thaa ki jis ko chhipaakar chale gaye
rag rag me.n is tarah vo samaa kar chale gaye
jaise mujh hii ko mujhase churaakar chale gaye
aaye the dil kii pyaas bujhaane ke vaaste
ik aag sii vo aur lagaa kar chale gaye
lab thar-tharaa ke rah gaye lekin vo ai "Jigar"
jaate huye nigaah milaakar chale gaye
Aqls
May 30, 2007, 6:02am
6
Re: Poet Of The Month June -Jigar Muraad Abadi-
what a wonderful thread..
full points to u ,Being lonely and kinara
Re: Poet Of The Month June -Jigar Muraad Abadi-
agar na zoharaa-jabiino.n ke daramiyaa.N guzare
to phir ye kaise kaTay, zindagii kahaa.N guzare
junuu.N ke saKht maraahil bhii terii yaad ke saath
hasii.n hasii.n nazar aaye, javaa.N javaa.N guzare
merii nazar se terii justajuu ke sadqay me.n
ye ik jahaa.N hii nahii.n saika.Do.n jahaa.N guzare
isii ko kehtay hai.n jannat isii ko dozaKh bhii
vo zindagii jo hasiino.n ke daramiyaa.N guzare
bahut haseen sahii suhabate.n gulo.n kii magar
vo zindagii hai jo kaa.NTo.n ke daramiyaa.N guzare
bahut aziiz hai mujh ko u.nhii.n kii yaad "Jigar"
vo haadasaat-e-mohabbat jo naagahaa.N guzare
Re: Poet Of The Month June -Jigar Muraad Abadi-
daastaan-e-Gam-e-dil unako sunaa_ii na ga_ii
baat biga.Dii thii kuchh aisii ki banaa_ii na ga_ii
sab ko ham bhuul ga_e josh-e-junuu.N me.n lekin
ek terii yaad thii aisii ki bhulaa_ii na ga_ii
ishq par kuchh na chalaa diidaa-e-tar kaa jaaduu
usane jo aag lagaa dii vo bujhaa_ii na ga_ii
kyaa uThaayegii sabaa Khaak merii us dar se
ye qayaamat to Khud un se bhii uThaa_ii na ga_ii
Re: Poet Of The Month June -Jigar Muraad Abadi-
kaam aaKhir jazbaa-e-beiKhtiyaar aa hii gayaa
dil kuchh is suurat se ta.Dapaa un ko pyaar aa hii gayaa
is tarah Khush huu.N kisii ke vaadaa-e-fardaa pe mai.n
dar-haqiiqat jaise mujh ko aitabaar aa hii gayaa
haa_e kaafir dil kii ye kaafir junuu.N-a.ngeziiyaa.N
tum ko pyaar aaye na aaye mujh ko pyaar aa hii gayaa
jaan hii de dii Jigar ne aaj paa-e-yaar par
umr bhar kii beqaraarii ko qaraar aa hii gayaa
Re: Poet Of The Month June -Jigar Muraad Abadi-
SiD. DiL to kar raha tha k or b poems share karon. Lekin Filhaal thora BZ hon
Waisay Nice thread this one. I really like the poetry of this guy, JIGAR.
And i hope 2 read some good stuff here. :k:
Re: Poet Of The Month June -Jigar Muraad Abadi-
wah
Re: Poet Of The Month June -Jigar Muraad Abadi-
ik lafz-e-mohabbat kaa adanaa saa fasaanaa hai
simaTe to dil-e-aashiq phaile to zamaanaa hai
ye kis kaa tasavvur hai ye kis kaa fasaanaa hai
jo ashk hai aa.Nkho.n me.n tasbiih kaa daanaa hai
ham ishq ke maaro.n kaa itanaa hii fasanaa hai
rone ko nahii.n ko_ii ha.Nsane ko zamaanaa hai
vo aur vafaa-dushman maane.nge na maanaa hai
sab dil kii sharaarat hai aa.Nkho.n kaa bahaanaa hai
kyaa husn ne samajhaa hai kyaa ishq ne jaanaa hai
ham Khaak-nashiino.n kii Thokar me.n zamaanaa hai
vo husn-o-jamaal un kaa ye ishq-o-shabaab apanaa
jiine kii tamannaa hai maranaa kaa zamaanaa hai
yaa vo the Khafaa ham se yaa ham the Khafaa un se
kal un kaa zamaanaa thaa aaj apanaa zamaanaa hai
ashko.n ke tabassum me.n aaho.n ke tarannum me.n
maasuum mohabbat kaa maasuum fasaanaa hai
aa.Nkho.n me.n namii sii hai chup-chup se vo baiThe hai.n
nazuk sii nigaaho.n me.n naazuk saa fasaanaa hai
hai ishq-e-junuu.N-peshaa haa.N ishq-e-junuu.N-peshaa
aaj ek sitamagar ko ha.Ns ha.Ns ke rulaanaa hai
ye ishq nahii.n aasaa.N itanaa to samajh liije
ek aag kaa dariyaa hai aur Duub ke jaanaa hai
aa.Nsuu to bahot se hai.n aa.Nkho.n me.n 'Jigar' lekin
bindh jaaye so motii hai rah jaaye so daanaa hai
Re: Poet Of The Month June -Jigar Muraad Abadi-
dard ba.Dakar fugaa.N na ho jaaye
ye zamii.n aasamaa.N na ho jaaye
dil me.n Duubaa huaa jo nashtar hai
mere dil kii zubaa.N na ho jaaye
dil ko le liijiye jo lenaa hai
phir ye saudaa giraa.N na ho jaaye
aah kiije magar latiif-tariin
lab tak aa kar dhuaa.N na ho jaaye
Re: Poet Of The Month June -Jigar Muraad Abadi-
[QUOTE]
Yaa RAB! Hujuum-e-dard Ko De Aur Vus'atein
Daaman To Kya Abhi Meri Aankhein Bhi Nam Nahi.n
[/QUOTE]
Wah :)
[QUOTE]
Shikavaa To Ek Chair Hai Lekin Haqiqatan
Tera Sitam Bhi Teri Inaayat Se Kam Nahi.n
[/QUOTE]
subhaanAllah subhanAllah
Re: Poet Of The Month June -Jigar Muraad Abadi-
Re: Poet Of The Month June -Jigar Muraad Abadi-
Nice Poems. Deep Ocean :k:
ab to jaatay hein maykaday say MEER
phir milein gay agar khuda laaya …
I’LL b Back
Re: Poet Of The Month June -Jigar Muraad Abadi-
thanks aabla :)
Re: Poet Of The Month June -Jigar Muraad Abadi-
bahot khuubsurat thread hae ye. sab ki postings...wah kya kehne!! :)
Re: Poet Of The Month June -Jigar Muraad Abadi-
Thanks every one :) keep sharing !
abla m gona share awsome selected ghazl's from ma dairy tonight jus want sum time to edit em on note pad :)
No Kinara M not from India !Aaj kal bara time hai aap k pass shayari k liye !lol :P
Re: Poet Of The Month June -Jigar Muraad Abadi-
Jigar ki shokh shayari hits directly to the heart :A Big hAND FrOr ThIs lEganD