Poet Of The Month June -Jigar Muraad Abadi

Re: Poet Of The Month June -Jigar Muraad Abadi-

ishq ko be-naqaab hona tha
aap apna jawab hona tha

teri aankhon ka kuch qasur nahin
haan mujhi ko Kharab hona tha

dil ki jis par hain naqsh-e-rangaa rang
us ko saada kitab hona tha

hamney nakamiyon koh dhuund liya
aakhirash kamayab hona tha

Re: Poet Of The Month June -Jigar Muraad Abadi-

**Baraabar se bachkar guzar jaane vaale **
Ye naale nahin be-asar jaane vaale

**Muhabbat men ham to jiye hain jiyenge **
Vo honge koi aur mar jaane vaale

**Mere dil ki betaabiyaan bhi liye jaa **
**Dabe paaon muunh pher ke jaane vaale **

**Nahin jaante kuch ke jaanaa kahaan hai **
**Chale jaa rahe hain magar jaane vaale **

**Tere ik ishaare pe saakit khade hain **
**Nahin kah ke sab se guzar jaane vaale **

Re: Poet Of The Month June -Jigar Muraad Abadi-

Asalam o Alikum very nice thread sid u done good job main yahan ek link send kar rahi hoon jahan aap jigar muraad Abedi ki poetry unki he awaz main sun saktey ho i hope u all like this
http://urdulife.com/mushaira/poet.cgi?jm_jigar_muradabadi

Re: Poet Of The Month June -Jigar Muraad Abadi-

:k: Bhot khubsoorat poem hai

Re: Poet Of The Month June -Jigar Muraad Abadi-

Asalam U Alaikum !

Woh kafir aashna na aashna yoon bhi hai aur yoon bhi
humari ibtada ta-intaha yoon bhi hay aur yoon bhi
ta’ajub kiya agar rasm_e wafa yoon bhi hay aur yoon bhi
k husn_o ishq ka har masala yoon bhi hay aur yoon bhi
kaheen zarra kaheen sehra kaheen qatra kaheen driya
mohabbat aur us ka silsila yoon bhi hay aur yoon bhi
wo mujh sey pochtey hain aik maqsad meri hasti ka
bataoo.n kya k mera mudda’aa yoon bhi hay aur yoon bhi
hum un sey kiya kahain wo janain un ki maslihat janey
humara haal_e dill tu barmala yoon bhi hay aur yoon bhi
na paa lena tera aasaa.n na kho dena tera mumkin
musibat main ye jaan_e mubtala yoon bhi hay aur yoon bhi

BeInG loN3ly !!! SiD !!!

Re: Poet Of The Month June -Jigar Muraad Abadi-

wah wah :slight_smile: :k:

Re: Poet Of The Month June -Jigar Muraad Abadi-

Mujhey bhi ye wali poem pasand hey:-)

Re: Poet Of The Month June -Jigar Muraad Abadi-

nice sid good collection

Re: Poet Of The Month June -Jigar Muraad Abadi-

Tujhee say ibtidaa hai tou hee ik din intiha hogaa
Sadaa-e-saaz hogee aur na saaz-e-besadaa hogaa

Humain maloom hay ham se suno meh'shar main kiya hogaa
Sab us ko dekhatay hongay vo hum ko dekhtaa hogaa

Jahannum ho ki jannat ho,jo bhee faislaa hogaa
Ye kiya kam hai humaraa aur us kaa saamna hogaa

Nigaah-e-qahar par hee jaan-o-dil sab kho'ay baiThaa hai
Nigaah-e-mehar aashiq par agar hogee to kyaa hogaa

Yay maana bhej dayga ham ko mahashar se jahannum main
Magar jo dil pay guzary gee vo dil hee jaantaa hogaa

Samajhtaa kiya hai tuu divaanagan-e-ishq ko zaahid
Yay ho ja'ingay jis jaanib usee jaanib Khudaa hogaa

"Jigar" kaa haath hogaa hashr main aur daaman-e-hazrat
Shikaayat ho ki shikvaa jo bhii hogaa barmalaa hogaa

Re: Poet Of The Month June -Jigar Muraad Abadi-

:k: Inshallah :smiley:

Re: Poet Of The Month June -Jigar Muraad Abadi-

Asalam U Alaikum !

Meri Zindagi To Guzri Tere Hijar K Saharay
Meri Maut Ko Bhi Pyaray Koi Chaiye Bahana

Mein Woh Saaf He Na Kehdon Jo Hai Farq Tujh Mein Mujh Mein
Tera dard, Dard e Tanha,Mera Gham,Gham e Zamana

Mere Dil K Tootnay Par Hai Kisi Ko Naaz Kya Kya
Mujhe Ay Jigar Mubarak Yeh Shikast e Fatihana !

bEInG LoN3lY !!! SiD !!!

Re: Poet Of The Month June -Jigar Muraad Abadi-

Asalam U Alaikum !

Duniya K Sitam Yaad Na Apni He Wafa Yaad
Ab Mujhko Nahi Kuch Bhi Mohabat K Siwa Yaad

BeInG lOn3ly !!! SId !!!

Re: Poet Of The Month June -Jigar Muraad Abadi-

DonT sToP shAring :naraz:

Re: Poet Of The Month June -Jigar Muraad Abadi-

^ :salute: here something from my side but in urdu version as i love to read and post in Urdu Version rather than in ROman Urdu :bummer:


Re: Poet Of The Month June -Jigar Muraad Abadi-

**one more **


Re: Poet Of The Month June -Jigar Muraad Abadi-

**Kuch is adaa se aaj vo pahluu-nashiin rahe **
Jab tak hamaare paas rahe ham nahin rahe

**Imaan-e-kufr aur na duniya va diin rahe **
Ái ishq shaadbaash ke tanha hamiin rahe

**Ya Rab kisi ke raaz-e-mohabbat ki khair ho **
Dast-e-junuun rahe na rahe aastiin rahe

**Jaa aur koi zabt ki duniya talaash kar **
Ai ishq ham to ab tere qaabil nahin rahe

**Mujh ko nahin qubuul do aalam ke vas’ten **
**Qismat mein kuu-e-yaar ki do gaz zamiin rahe **

**Dard-e-Gam-e-firaaq ke ye sakht marhale **
Hairaan huun main ke phir bhi tum itne hasiin rahe

**Is ishq ki talaafii-e-maafaat dekhna **
Rone ki hasraten hain jab aansu nahin rahe

Re: Poet Of The Month June -Jigar Muraad Abadi-

[QUOTE]
*Dard-e-Gam-e-firaaq ke ye sakht marhale *
**Hairaan huun main ke phir bhi tum itne hasiin rahe

**

[/QUOTE]

Who knows sakht thay ya narm :D

Re: Poet Of The Month June -Jigar Muraad Abadi-

Mujhay day rahee'n hain tasalliyaa'n
Vo har ek taazaa payaam say
Kabhii aakay manzar-e-aam par
Kabhii hatt kay manzar-e-aam say

Na Gharz kisii say na vaastaa,
Mujhay kaam apanay hii kaam say
Tere zikr say, terii fikr say,
Tayri yaad say, tayri naam say

Mayray saqiyaa, mayray saqiyaa,
Tujhay marhabaa, tujhay marhabaa
Tou pila'ay jaa, tuu pila'ay jaa,
Isii chashm-e-jaam ba jaam say

Tayri subh-o-aish hai kyaa balaa,
Tujhay ae falak jo ho hauslaa **
**kabhii kar lay aakay muqaablaa,

*Gham-e-hijr-e-yaar kii shaam say *

Re: Poet Of The Month June -Jigar Muraad Abadi-

Nice all of you maza aa raha hai itni selected cheezein parhnay mein thanks !

Re: Poet Of The Month June -Jigar Muraad Abadi-

Phir break lag gayi :naraz: