Poet Of The Month -July 07- Abdul Hameed Adam

Re: Poet Of The Month -July 07- Abdul Hameed Adam

***pahle pahle un ko yooNhi dekhta rahta tha maiN
baat to koi nahiN thi dekhta rahta tha main
dekhte rahne se mere woh buhat masroor the
apne husn-e-dilbari se aap hi mas-hoor the

unko khush karne ki khaatir aah bhar leta tha maiN
gaahe gaahe apne dil par haath dhar leta tha main

baagh meN har roz taqreebann khainch aate the woh
ban sanwar kar mujh se daad-e-husn le jaate the woh

woh samajhte the ke unke roop par marta hooN maiN!
laalchi hoon iktisaab-e-roshni karta hooN maiN

mudda iss khail ka kya tha faqat ik dil lagi
un ko khush karne meN pinhaaN thi meri apni khushi

kar ke khush fahmi meN un ko mubtla hansta tha maiN
saadgi par un ki dil meN bar mala hansta tha maiN

ab magar tafreeh-o-khush waqti ki soorat aur hai
dil ki haalat aur hai rang-e-tabiyat aur hai

jab nazar aati nahiN gulzaar meN unki jhhalak
thokreN khaati hain sodaayi nigaaheN door tak

un ko diwaana bana kar mujh ko wahshat ho gayi
dil lagi ki thi magar sach much mohabbat ho gayi