Poet of the Month for Allama Iqbal Day

Re: Poet of the Month.... Allama Iqbal

**Thaa Takhaiiyu'L jo humsafar mera
AasmaaN par huvaa guzar mera

uRtaa jaataa thaa, aur naa thaa koie
Jaan-nay waalaa charkh par mera

Taaray hairat say dekhtay thay mujhay
Raaz-e-sarbastaa thaa safar mera

****Halqa-o-Subh-o-shaam say niklaa
Iss puraanay nizaam say nikla

****Kiyaa sunaaouN tumhaiN irem kiyaa hai
Khaatim-e-Aarzu-e-deedah-o-gosh

Shaakh-e-Tuba pay naghma rez taiiyu'r
bay hijaabaanaa Hoor jalwah farosh

Saaqiyaan-e-Jameel Jaam-e-ba dust
peenay waalouN main shor-e-noshaa nosh

Dooor jannat say aankh nay dekha
Aik taareek khaanaa-e-sard-o-kh'mosh

Taale'y Qais-O-Gaysu'-e-Laila
uss kee taareekiyouN say dosh ba dosh

khun'k aisa kay jiss say sharmaa kar
kur-rah-e-zamhareer hau roposh

Main nay poochi jo kaifiyat uss kee
Hairat aNgez thaa jawaab-e-sarosh

yeh muqaam-e-khun'k jahannum hai
Naar say Noor say tahi aaghosh

Sholay hotay haiN musta'aar uss kay
Jinn say larzaaN haiN mard-e-Ibrat kosh

***Ahl-e-Duniya yahaaN jo aatay haiN
Apnay aNggaar saath laatay haiN
*