Poet of the Month Faiz Ahmed Faiz

FAIZ AHMED FAIZ***
A Distinct Urdu Poet***

Jo rukay to koh -e- garaaN thay hum, jo chalay to jaaN say guzar gay
Reh -e- yar hum nay qadam qadam tujhay yaadgar bana diya

http://www.paklinks.com/gsmedia/files/50864/faiz.jpg

Date of Birth: February 13th, 1911
Place: Sialkot (Punjab), Pakistan

Faiz is a poet of beauty and love. His message is the reign of beauty and love in the country. The passion for enjoying the beauty of life, his deep attachment to love of self and the agony of the world, his love of humanity, his patriotism, his passion for revolution, his sense of justice, are all metaphors of the agony of love. That agony of love which is the soul of his imagination and feeling, on account of which he illuminates the beauty of both worlds with the desolation of his heart.

** Publications**
• Naqshe Faryadi, 1941
• Daste Saba, 1953
• Zindan Nama, 1956
• Mizan, a collection of literary articles,1956
• Daste-Tahe-Sang, 1965
• Sare-Wadiye Seena, 1971
• Shame-Shehr Yaran, 1979
• Merey Dil Merey Musafar, 1981
• Nuskha-Hai-Wafa, 1984
• Pakistani Culture, Urdu & English

** Awards**
The real award for a poet is the love and appreciation of his fans. Faiz stands among those who enjoy both at one and the same time. Besides he was awarded the Lenin Peace Prize in 1963, as the first Asian poet. Before his death in 1984 he was also a nominee for the award of Nobel Prize, but his
association in later life, with Yasser Arafat and the Palestinian Movement, and the Editorship of Lotus, deprived him of the award because the Zionist element in the controlling body of the Nobel Prize is strong.

http://www.paklinks.com/gsmedia/files/50864/kab_yaad.GIF

Re: Faiz Ahmed Faiz

Right now, my "emotions" and "limited sochaiN" only remind me this masterpiece that I had posted a few days back as well:

Yeh galiyoN kaY Aawarah be-kaar kuttay
kaY bakhsha gaya jin ko zoq-e gadaai

zamaanay ki phiTkaar sarmaaya unn ka
jahaN bhar ki dhutkaar unn ki kamaai

na Aaraam shab ko, na raahat saweray
ghalaazat maiN ghar, naaliyon maiN baseray

*jo bigRaiN tau ik doosray saY laRa dau
zara aik roTi ka tukRa dikha dau
*

yeh har aik ki thokaraiN khaanay waalay
yeh faaqoN say ukta kay mar jaanay waalay

yeh mazloom makhlooq gar sar uThaaye
tau insaan sab sarkashi bhool jaaye

yeh chahaiN tau duniya ko apna bana laiN
yeh AaaqaoN kee haddiyaaN tak chaba laiN
**
**koi in ko Ehsaas-e zillat dila day
koi in ki soi hui dum hilaa day

Re: Faiz Ahmed Faiz

http://www.paklinks.com/gsmedia/files/50864/teray_ghum_ko.GIF

Re: Faiz Ahmed Faiz

beautiful thread sheal :)

Nahin nigaah mein manzil to justuju hi sahi
nahin visaal mayassar to aarzoo hi sahi

na tan mein khoon faraham na ashk aankhon mein
namaaz-e-shauq to wajib hai be-wazu hi sahi

kisi tarah to jam-e-bazm maikade walo
nahin jo baadaa-o-sagar to haa-o-hoo hi sahi

gar intezar kathin hai to jab talak aye dil
kisi ke vada-e-farda ki guftagu hi sahi

dayaar-e-gair mein maharam agar nahin koi
to 'Faiz' zikr-e-watan apne ru ba ru hi sahi

Re: Poet of the Month Faiz Ahmed Faiz

wah sheal siso what a choice :k:
he is one of my most favorite poet :slight_smile:

Re: Poet of the Month Faiz Ahmed Faiz

^shukar hai Amjad Islam Amjad sahab ko break milee :snooty:

Re: Poet of the Month Faiz Ahmed Faiz

LOL woh hogye huway hain pahlay :stuck_out_tongue:

Re: Poet of the Month Faiz Ahmed Faiz


kab yaad mai teraa saath nahi kab haath mai teraa haath nahi
sad shukr ke apanii raato'n main ab hijr kii koii raat nahi

mushkil hai agar haalaat vaha'n dil bech aaye jaan day aaye
dil vaalo kuuchaa-e-jaanaa.N mai kyaa aise bhii haalaat nahi

jis dhaj se koii maqtal main gayaa woh shaan salaamat rahatii hai
ye jaan to aanii jaanii hai is jaan kii to koii baat nahi

maidaan-e-vafaa darbaar nah yaha naam-o-nasab kii puuchh kahaan
aashiq to kisii kaa naam nahi kuchh ishq kisii kii zaat nahi

gar baazii ishq ki baazii hai jo chaaho lagaa do Dar kaisaa
gar jiit gae to kyaa kahanaa haare bhii to baazi maat nahi

Re: Poet of the Month Faiz Ahmed Faiz

Good effort sheal baaji :bb:

Re: Poet of the Month Faiz Ahmed Faiz

Shukria Ali, Shab and BL

Re: Poet of the Month Faiz Ahmed Faiz

nice slection Sheal :)

Re: Poet of the Month Faiz Ahmed Faiz


ye kis Khalish ne phiR is dil meiN aashiyaanaa kiyaa
phir aaj kis ne suKhan ham se gaayebaanaa kiyaa

gam-e-jahaaN ho,ruKh-e-yaaR ho ke dast-e-uduu
salook jis se kiyaa hamane aashiqaanaa kiyaa

the khaak-e-raah bhii ham log qahar-e-tuufaaN bhi
sahaa to kyaa na sahaa aur kiyaa to kyaa na kiyaa

khushaa ke aaj har ik mudda_ii ke lab par hai
vo raaz jis ne hame.n raa.Nd-e-zamaanaa kiyaa

vo hiilaagaR jo vafaa juu bhii hai jafaa Khuu bhii
kiyaa bhii "Faiz" to kis but se dostaanaa kiyaa

Re: Poet of the Month Faiz Ahmed Faiz

dasht-e-tanhaa_ii me.n ai jaan-e-jahaa.N larzaa.N hai.n
terii aavaaz ke saaye tere ho.nTho.n ke saraab
dasht-e-tanhaa_ii me.n duurii ke Khas-o-Khaak tale
khil rahe hai.n tere pahaluu ke saman aur gulaab

uTh rahii hai kahii.n qurbat se terii saa.Ns kii aa.Nch
apanii Khushbuu me.n sulagtii hu_ii maddham maddham
duur ufaq par chamakatii hu_ii qatraa qatraa
gir rahii hai terii dil_daar nazar kii shabnam

us qadar pyaar se ai jaan-e jahaaN rakkhaa hai
dil ke ruKhsaar pe is vaqt terii yaad ne haath
yuu.N gumaa.N hotaa hai garche hai abhii subah-e-firaaq

Dhal gayaa hijr kaa din aa bhii ga_ii vasl kii raat

Re: Poet of the Month Faiz Ahmed Faiz

Re: Poet of the Month Faiz Ahmed Faiz

^ kaash sound system hota tu sun laiety :(

s**abhi kuch hai teRaa diyaa huaa sabhi raahateiN sabhi kalfateiN

kabhi sohabateiN kabhi furqateiN kabhi duuriyaa'N kabhi qurbateiN *
*

**ye suKhan jo ham ne raqam kiye ye haiN sab varaq teri yaad ke
ko_ii lamhaa subah-e-visaal kaa, ka_ii shaam-e-hijR ki qurbateiN *
*

**jo tumhaarii maan leiN naasihaa to rahegaa daaman-e-dil meiN kyaa
na kisii uduu kii adaavateiN na kisi sanam kii muravvateiN *
*

**chalo aao tum ko dikhaaye.N ham jo bachaa hai maqtal -e-shahar meiN
ye mazaar ahal-e-safaa ke haiN ye haiN ahal-e-sidq kii turbateiN *
*

**merii jaan aaj kaa Gam na kaR ke naa jaane kaatib-e-vaqt ne
kisi apne kal meiN bhi bhuul kaR kahiN likh rakhii ho masarrateiN *
*

Re: Poet of the Month Faiz Ahmed Faiz

Ab Kay Yoon Dil Ko Saza Di Hum Nay
Us Ki Her Baat Bhula Di Hum Nay

Eik Eik Phool Bohat Yaad Aaya
Shakh-E-Gul Jab Woh Jala Di Hum Nay

Aaj Tak Jis Pay Woh Shermatay Hain
Baat Woh Kab Ki Bhula Di Hum Nay

Sheher-E-Jahan Rakh Say Abad Hua
Aag Jab Dil Ki Bujha Di Hum Nay

Aaj Phir Yaad Bohat Aaya Woh
Aaj Phir Us Ko Dua Di Hum Nay

Koi To Baat Hia Us Main FAIZ
Her Khushi Jis Pay Luta Di Hum Nay

Its my contribution for this Threat ...... I love Faiz Saab Poetry

Re: Poet of the Month Faiz Ahmed Faiz

Meri most fav nazm..

Mera Dard Naghma-e-Bay-Sada
Meri Zaat Zarra-e-Bay-Nishaan

Meray Dard Ko Jo Zubaan Milay
Mujhay Apna Naam-o-Nishan Milay

Meri Zaat Ka Jo Nishaan Milay
Mujhay Raaz-e-Nazm-e-Jahan Milay

Jo Mujhay Ye Raaz-e-Nihaan Milay
Meri Khaam'shi Ko Bayaan Milay

Mujhay Kainaat Ki Sarvari
Mujhay Daulat-e-Do'Jahaan Milay

:)

Re: Poet of the Month Faiz Ahmed Faiz

One Short Poem..

Uss Ne Kaha Aao
Uss Ne Kaha Thehro
Mus'kao Kaha Uss Ne
Merr Jao Kaha Uss Ne

Main Aaya,
Thehra,
Muskaya
Aur Merr Bhi Gaya!

--

Re: Poet of the Month Faiz Ahmed Faiz

Aik Ghazal,

:slight_smile:

Re: Poet of the Month Faiz Ahmed Faiz

kamaraa'n hosakay gay aj na kal
jalwa gah wasal ki shamain
woh bhuja bhi chukay to kya?
chand ko gul karay to hum janay