Re: Poet of the Month Faiz Ahmed Faiz
Re: Poet of the Month Faiz Ahmed Faiz
sach hai.n hamii.n ko aap ke shikave bajaa na the
beshak sitam janaab ke sab dostaanaa the
haa.N jo jafaa bhii aap ne kii qaayede se kii
haa.N ham hii kaaraaba.nd-e-usuul-e-vafaa na the
aaye to yuu.N to ke jaise hameshaa ke meharabaa.N
bhuule to yuu.N ke goyaa kabhii aashanaa na the
kyo.n daad-e-Gam ham ne talab kii, buraa kiyaa
ham se jahaa.N me.n kushtaa-e-Gam aur kyaa na the
gar fikr-e-zaKhm kii to Khataavaar hai.n ke ham
kyo.n mahv-e-madh-e-Khuubii-e-teG-e-adaa na the
har chaaraagar ko chaaraagarii se gurez thaa
varnaa hame.n jo dukh the bahut laadavaa na the
lab par hai talKhi-e-may-e-ayyaam varnaa "Faiz"
ham talKhi-e-kalaam par maa_il zaraa na the
Re: Poet of the Month Faiz Ahmed Faiz
Nice sharings ahmer n shab :k:
Re: Poet of the Month Faiz Ahmed Faiz
har haqiiqat majaaz ho jaaye
har haqiiqat majaaz ho jaaye
kaafiro.n kii namaaz ho jaaye
minnat-e-chaaraasaaz kaun kare
dard jab jaa.N navaaz ho jaaye
ishq dil me.n rahe to rusavaa ho
lab pe aaye to raaz ho jaaye
lutf kaa intazaar karataa huu.N
jor taa hadd-e-naaz ho jaaye
umr besuud kaT rahii hai 'Faiz'
kaash afshaa-e-raaz ho jaaye
Re: Poet of the Month Faiz Ahmed Faiz
terii ummiid teraa i.ntazaar jab se hai
na shab ko din se shikaayat na din ko shab se hai
kisii kaa dard ho karate hai.n tere naam raqam
gilaa hai jo bhii kisii se terii sabab se hai
huaa hai jab se dil-e-naasabuur beqaabuu
kalaam tujhase nazar ko ba.Dii adab se hai
agar sharar hai to bha.Dake, jo phuul hai to khile
tarah tarah kii talab tere rang-e-lab se hai
kahaa.N gaye shab-e-furqat ke jaaganevaale
sitaaraa-e-sahar ham-kalaam kab se hai
Re: Poet of the Month Faiz Ahmed Faiz
^ kaash sound system hota tu sun laiety :(
oh limited resources?? challaiN emotional naa hoN, hum text post kar detaY haiN aap kaY liye.. .errr .. I mean sub kaY paRhnaY kaY liye .... PaRhnaY kaY qaabil hai aur SAMAJHNAY kaY bhee :)
Chashm-e Na'm, Jaan-e Shoreeda kaafi naheeN
Tohmat-e Ishq posheeda kaafi naheeN,
*Aaj bazaar mein pa-bajolaaN challo *
Dast afshaaN challo, Mast-O-RaqsaaN challo
Khaak bar sar challo, khooN ba'd-aamaan challo
Raah takta hai sub Shahr-e-JanaaN, challo
Haakim-e Shahr bhee, Majmaa'-e Aam bhee,
Subha-e-nashaad bhee, Roz-e-naakam bhee
Teer-e-Ilzaam bhee, Sang-e-Dushnaam bhee,
Inn ka da'm saaz apnay siwaa kaun hai?
Shehr-e JanaaN maiN abb ba-Safaa kaun hai?
Dast-e-qaatil kay shaayaaN rahaa kaun hai?
Rakht-e-dil baaNdh lo, dil figaaro challo
Phir hum hee Qatl ho aayeN Yaaro! Challo
Re: Poet of the Month Faiz Ahmed Faiz
aa gayee fasl-e-sukooN chaak girebaaN waaloN
sil gaye hoNT koi zakh'm silay yaa na silay
dostoN baz'm sajaao kaY bahaar aayee hai
khil gaye zakh'm koi phool khilaY yaa na khilaY
Re: Poet of the Month Faiz Ahmed Faiz
aaj tanhaai kissi hamdam-e-daireeN kee tarah
karnaY aayee hai meri saaqi-gari shaam Dhalay
muntazir baiThaY haiN ham donoN, kaY maahtaab ubhray
aur teraa aks jhalaknaY lagaY har saaye talaY
Re: Poet of the Month Faiz Ahmed Faiz
bahaar aayee tau jaisay yakbaar
lauT aaye haiN phir a'dam say
**
**woh Khwaab saaray, shabaab saaray
jo teraY hoNtoN paY mar miTaY thaY
**
jo miT kaY har baar phir jiiye thaY**
nikhar gaye haiN gulaab saaraY
**
jo teri yaadoN saY mushk-buu haiN**
jo teraY ushshaaq kaa lahu haiN
**
ubal paRaY haiN azaab saaraY**
malaal-e-ahvaal-e-dostaaN bhee
**
Khumaar-e-aaghosh-e-mahvashaaN bhee**
Ghubaar-e-Khaatir kaY baab saaraY
**
teraY hamaare
sawaal saaraY, jawaab saaraY**
**
bahaar aayee tay khul gaye haiN****
naye siraY saY hisaab saaraY**
Re: Poet of the Month Faiz Ahmed Faiz
guloN maiN rung bharaY, baad-e-nau-bahaar chalaY
chalaY bhee aao kaY gulshan kaa kaarobaar chalaY
qafas udaas hai yaaro, sabaa se kuch tau kaho
kaheeN tau bah’r-e-Khudaa aaj zikr-e-yaar chalaY
**
kabhee tau sub’h teraY kunj-e-lub saY ho aaGhaaz
kabhee tau shab sar-e-kaakul saY mushk-baar chalaY
**
baRaa hai dard kaa rishtaa, ye dil Ghareeb sahi
tumhaaraY naam paY aayeN geY Ghamgusaar chalaY
**
jo hum paY guzri so guzri magar shab-e-hijraaN
hamaaraY ashk teri aaqibat saNvaar chalaY
**
huzoor-e-yaar huee daftar-e-junooN ki talab
girah maiN laY kaY girebaaN ke taar taar chalaY
**
maqaam, “Faiz” koi raah maiN jachaa hee naheeN
jo ku-e-yaar saY niklaY tau su-e-daar chalaY
Re: Poet of the Month Faiz Ahmed Faiz
bol kaY la'b aazaad haiN teraY
bol zabaaN ab tak teri hai
teraa sutvaaN jism hai teraa
bol kaY jaaN ab tak teri hai
dekh kaY aahaNgar ki dukaaN maiN
tuNd haiN sholaY, surKh hai aahan
khulnaY lagaY qufloN ke dahaanaY
phailaa har ek zanjeer kaa daaman
bol yeh thoRaa waqt bahut hai
jism-o-zubaaN kee maut se pehlaY
bol kaY sach zindaa hai ab ta'k
bol jo kuch kehnaa hai keh laY
Re: Poet of the Month Faiz Ahmed Faiz
dono jahaaN teri muhabbat maiN haar kaY
woh jaa rahaa hai koi shab-e-Gha;m guzaar kaY
weeraaN hai mai'kadah Khum-o-saaGhar udaas hai
tum kiyaa gaye kaY rooTh gaye din bahaar kaY
aik fursat-e-gunaah mili, woh bhee chaar din
dekhaY haiN ha'm naY hauslaY parwer-digaar kaY
duniyaa naY teri yaad saY begaanaa kar diyaa
tujh se bhee dil-fareb haiN Gham rozgaar kaY
bhoolaY saY muskuraa jo diye thaY woh aaj ‘Faiz’
ma't pooch walwalaY dil-e-naa-kardaakaar kaY
Re: Poet of the Month Faiz Ahmed Faiz
raat yooN dil maiN teri khoyee hui yaad aayee
jaisaY weeraanaY maiN chupkaY saY bahaar aa jaaye
jaisaY sehraa'oN maiN haulay saY challaY baad-e-naseem
jaisaY beemaar ko be-wajah qaraar aa jaaye
Re: Poet of the Month Faiz Ahmed Faiz
maiN naY samjhaa thaa kaY tu hai tau daraKhshaaN hai hayaat
teraa Gha'm hai tau Gha'm-e-dah’r kaa jhagRaa kiyaa hai
teri soorat saY hai aalam maiN bahaaroN ko sabaat
teri aaNkhoN kaY siwaa duniyaa maiN rakhaa kiyaa hai
tu jo mil jaaye tau taqdeer nigooN ho jaaye
yooN na thaa, maiN ne faqat chaahaa thaa yooN ho jaaye
aur bhee dukh haiN zamaanaY maiN muhabbat ke siwaa
raahataiN aur bhee haiN wi'sl kee raahat kaY siwaa
mujh saY pehli see muhabbat meraY mehboob na maaNg
unginat sadiyoN kaY taareek bahimaanaa ti'lism
resham-o-atlas-o-kam-Khwaab maiN bunwaaye huaY
jaa-ba-jaa biktaY huaY koochaa-o-baazaar maiN jism
Khaak maiN lithRaY huaY Khoon maiN nehlaaye huaY
lauT jaati hai udhar ko bhi nazar kiyaa kijiye
ab bhee dil-kash hai teraa hus'n magar kiyaa kijiye
aur bhee dukh haiN zamaanaY maiN muhabbat ke siwaa
raahataiN aur bhee haiN wi'sl kee raahat kaY siwaa
mujh saY pehli see muhabbat meraY mehboob na maaNg
Re: Poet of the Month Faiz Ahmed Faiz
iss tarah hai kay har aik peR koi mandir hai
koi ujRaa huaa, benoor puraanaa mandir
DhooNDhtaa hai jo Kharaabi kay bahaanay ka'b say
chaak har baam, har aik dar kaa da'm-e-aaKhir hai
aasmaaN koi purohit hai jo har baam talay
jism par raaKh malay, maathay pay sindoor malay
sar-nigooN baiThaa hai chup-chaap na jaanay ka'b say
iss tarah hai ke pas-e-pardaa koi saahir hai
jiss nay aafaaq pay phailaayaa hai yooN seh’r ka daam
daaman-e-waqt say paiwast hai yooN daaman-e-shaam
ab kabhi shaam bujhay gee na andheraa hogaa
ab kabhi raat Dhalay gee na saweraa hogaa
aasmaaN aas liye hai kay yeh jaaduu TooTay
chup ki zanjeer kaTay, waqt kaa daaman chhooTay
day koi shanKh duhayi, koi paayal bolay
koi bu't jaagay, koi saaNvlee ghooNGhat kholay
Re: Poet of the Month Faiz Ahmed Faiz
wow that’s something new for me … beautiful :k:
Re: Poet of the Month Faiz Ahmed Faiz
Dil-E-Musafir
udas maat ho
dile musafir udas maat ho
hawa agerche phuwar daman mein bher ke layee haibey kali ki
faza agerche kisee khamoshi se muzmahel hai
nigah mein koee raah hade nigah taak bey panah khali hai
din sawali hai . raat kaali hai
sham roti hai
man bhigoti hai
aas bhi gerche bas khayali hai' bas khayali hai......
udas mat ho
magar tu phr bhi udas maat ho
udas maat ho
agerche lamhon ki sard puron pe hijr likha hua hai berson
agerche wakti khushi ke seene pe mustakil dard mal gaya hai dua ki sarson
agerche ehsas ki ragon mein
koee andhera sa jam gaya hai-khayal mein wakt tham gaya hai
aabhi koee intezar ankhon se kam gaya hai
sitam gaya hai na koee ranj o alam gaya hai(na sabr ke ser ka kham gaya hai)
yeh saab tumhare hi pairahan hain
abhi se yun belibas maat ho
dile musafir
udas maat ho
aabhi to ankhon mein ansoon ki buhat jaga hai
abhi to raton ke jangalon mein masafaton ki buhat jaga hai
abhi to ahon k kafle mein buhat nami hai
abhi to har shay ki zindagee mein buhat kami hai
aabhi se yun khud shanas maat ho
udas maat ho
dile musafir
udas maat ho
Re: Poet of the Month Faiz Ahmed Faiz
bahaar aayee tau jaisay yakbaar
lauT aaye haiN phir a'dam say
woh Khwaab saaray, shabaab saaray jo teraY hoNtoN paY mar miTaY thaY
jo miT kaY har baar phir jiiye thaY nikhar gaye haiN gulaab saaraY
jo teri yaadoN saY mushk-buu haiN jo teraY ushshaaq kaa lahu haiN
ubal paRaY haiN azaab saaraY malaal-e-ahvaal-e-dostaaN bhee
Khumaar-e-aaghosh-e-mahvashaaN bhee Ghubaar-e-Khaatir kaY baab saaraY
teraY hamaare ** **sawaal saaraY, jawaab saaraY
bahaar aayee tay khul gaye haiN
naye siraY saY hisaab saaraY
One of my favorites.
Re: Poet of the Month Faiz Ahmed Faiz