Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -
Aksar shair hazraat apnay naam kay aakhir main apnay shahr/qasbay ka naam bhi likhtay hain, jaisa keh Akbar Allahabadi ka taaluq Allahabad say tha, Jiger Muradabadi ka talluq Muradabad say tha, Hafeez Jalandhri ka talluq Jalandhar say hai, Majrooh Sultanpuri ka talluq Sultanpur say hai isi tarah Shakeel Badayuni sahab Badayun say talluq kee bina per Badayun likhtay thay naam kay aakhir main. Ummed hai baat samajh mai aa gayee hogee. ![]()