Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -
Tum nay yeh kia sitam kia zabt say kaam lay lia
Tark e wafa kay baad BHi mera salaam lay lia
Rinda e KHaraab e nauSH kee bay adabi to deKHiay
Neeyat e mayakaSHi na kee haaTH maiN jaam lay lia
Sehan e CHaman maiN daf'atan Aakay palaT gayee bahaar
Ahal e junooN nay GHaaliban aql say kaam lay lia
Naama e SHauq paRh kay wo KHo gaye yak ba yak "Shakeel"
Moonh say tu kuCH na keh sakay dil say payam lay lia