Re: Poet Of The Month-April 08- Shakeel Badayuni -
Personally I "LOVE" this ghazal !
Un Say Umeed-e-Runumaai Hai
Kya Nigaahon Ki Maut Aayi Hai
Dil Ne Gham Say Shikast Khaai Hai
Umer-e-Rafta TeriI Duhaaii Hai
Dil Ki Barbaadiyon Pay Naazaan Hon
Fatah Paa Kar Shikast Khaai Hai
Meray Maa-abad Nahi Hai Dair-o-Haram
Ehtiyaatan Jabeen Jhukaai Hai
Wo Hawa Day Rahay Hain Daaman ki
Haaye Kis Waqt Neend Aayi Hai
Khul Gaya Un Ki Aarzoo Main Ye Raaz
Zeest Apni Nahi Paraai Hai
Duur Ho Ghunchay Meri Nazar Say
Tu Nay Meri Hansi Churaai Hai
Gul Fasurdaa Chaman Udaas Shakeel
Yun Bhi Aksar Bahaar Aayi Hai
BEing loNely !!! sid !!!