Re: Poet of the Month... Amjad Islam Amjad
aankhooN maiN jo khawab haiN un ko batiaN karnay do
hoonthooN se wo lufz kaho jo kajal kahta hia
moasam jo sandesaa laa'ya us ko parh tu lo
sun tu lo wo raaz jo pay'aasa sahil kahta hia
aati jati lahrooN se kia pooch rehi hia rait
badal ki dehleez pe taa'ray keoN kaR bethay haiN
jhaRnoo ne us geet ka mukhRa kesay yaad kia!
jis k haR bol maiN hum tum baa'taiN kartey haiN
rahguzaR ka moasam ka na baRish ka muhtaaj
wo dar'yaa jo haR ik dil k undeR rahta hia
khaa jata hai har ik shola waqat ka atishdaa'N
bus ik naqash "mohabat" hai jo baqie rahta hia
aa'nkhooN maiN jo khawab haiN un ko baa'taiN kaRany do
hoontooN se wo lufz kaho jo kaajal kahta hia