Poet of the Month... Amjad Islam Amjad

Re: Poet of the Month... Amjad Islam Amjad

**Kon si cheez dil kay bus main nahi
Dil magar apni dastaras main nahi

kab say aankhain talashti hain ussay
Ek din jo kisi baras main nahi

Daikh li jantari zamanay ki
Wasl ka din kisi baras main nahi

Nara-sayee ki dhund kay uss par
eshq main kia hay, ju hawas main nahi


**