Re: Poet Of The Month Ahmed Faraz
koi tou saawan aisa ho jo uskay sang barsay Faraz~
Tanha tou meri aankhain har roz barasti hain
Re: Poet Of The Month Ahmed Faraz
koi tou saawan aisa ho jo uskay sang barsay Faraz~
Tanha tou meri aankhain har roz barasti hain
Re: Poet Of The Month Ahmed Faraz
**haath uThe hain magar lab pe duaa ko_ii nahiin
kii ibaadat bhii vo jis kii jazaa ko_ii nahiin
ye bhii vaqt aanaa thaa ab to gosh har aavaaz hai
aur mere barbaad-e-dil mein sadaa ko_ii nahiin
aa ke ab tasliim kar le.n tuu nahii.n to main sahii
kaun maanegaa ke ham mein bevafaa ko_ii nahin
vaqt ne vo Khaak u.Daa_ii hai ke dil ke dasht se
qaafile guzare hai.n phir bhii naqsh-e-paa ko_ii nahiin
Khud ko yuun mahasuur kar baiThaa huun apanii zaat mein
manzilein chaaron taraf hai raastaa ko_ii nahiin
kaise raasto.n se chale aur kis jagah pahu.Nche 'Faraz'
yaa hujuum-e-dostaan thaa saath yaa ko_ii nahiin**
Re: Poet Of The Month Ahmed Faraz
~Noha~
Ab Kis Ka Jashan Manatay Ho Uss Dais Ka Jo Taqssem Howaa
Ab Kis K Geet Sunatay Ho Uss Tan Man Ka Jo Do-neem Howaa
[taqseem=divided ... do-neem=cut in two]
Uss Khwaab Ka Jo Reza Reza Un Aankhoon Ki Taqdeer Howaa
Uss Naam Ka Jo Tukrraa Tukrraa Galyoo'n Main Bay-Tauqeer Howaa
[rezaa-rezaa=pieces ... be-tauqeer=disrespect]
Uss Parcham ka Jis Ki Hurmat Bazaaroo'n Main Neelaam Howee
Uss Mitt'tee Ka Jis Ki Hurmat Mansoob Udoo K Naam Howee
[parcham=flag ... hurmat=respect/honour.. neelaam=auction]
[mansoob=nominated/appointed...uduu=enemy]
Uss Jang Ko Jo Tum Haar Chukay Uss Rasm Ka Jo Jaari Bhi Nahee'n
Uss Zakham Ka Jo Seenay Pey Na Tha Uss Jaan Jo Vaari Bhi Nahee'n
[jang=war....vaarnaa=to offer in sacrifice]
Uss Khoon Ka Jo BadQismat Tha Rahoo'n Main Bahaya Tan Main Raha
Uss Phool Ka Jo BayQeemat Tha Aangan Main Khila Ya Ban Main Raha
[ban=jungle]
Uss Mashraq Ka Jis Ko Tum Nay NeyZay Ki Aanee Marham Samjhaa
Uss maghrib Ka Jis Ko Tum Nay Jitna Bhi loota Kam Samjhaa
[mashriq=east..neyzaa=spea..aanee=spear's point]
[marham=salve/ointment...maGarib=west]
Un Masoomoo'n Ka Jin K Lahoo Say Tum Nay Farozaa'n Raatain Kee'n
Yaa Un MAzloomoo'n Ka Jis Say Khanjar Ki Zaubaa'n Main Baatain Kee'n
[farozaa.N=illuminate...mazaluum=oppressed]
Uss Maryam Ka Jis Ki Effat Lott'tee Hay Bharay Bazaroo'n Main
Uss Eesa Ka Jo Qatal Hay Aur Shamil Hay Gham Khwaaroo'n Main
[iffat=chastity]
In Noha-garoo'n Ka Jin Nay Humain Khud Qatal Kiya Khud Rotay Rahay
Aisay Bhi Kaheen Dam-saaz Hovay Aisay Jallad Bhi Hotay Hain
[nohagar=mourner...dam_saaz=supporting.. jallaad=executioner (cruel)]
Un Bhookay Nangay Dhanchoo'n Ka Jo Raqs Sar e Bazar Karain
Yaa Un Zalim Qaz'zaaqoo'n Ka Jo Bhais Badal Kar Waar Karain
[Dhaa'nchaa=skeleton..raqs=dance...qazzaaq=dacoit]
Yaa Un Jhootay Iqraaroo'n Ka Jo Aaj Talak Aifaa na Hovay
Yaa Un Baybas Laachaaroo'n Ka Jo Aur Bhi Dukh Ka Nishaana Hovay
[aifaa=to fulfill]
Es Shahi Ja Jo Dast Badast Aa'ee Hay Tumharay His'say Main
Kyun Nang e Watan Ki Baat Karo Kiya Rak'kha Hay Es Qis'say Main
[shahi =.royal]
Aankhoon Main Chupaaya Ashkoo'n Ko Hontoo'n Main Wafa K Bol Liyay
Es Jashan Main Bhi Shamil Hoon No'hoon Say Bhara kashkol Liyay
[nohaa=lamentation...kashkol=beggar's bowl]
***
Re: Poet Of The Month Ahmed Faraz
*Aankhon mein sitaray tau kae shaam se utray
Per dil ki udaasi na dar-o-baam se utray
Kuch rang tau ubhray teri gul pairhani ka
Kuch zang tau aayenga-e-ayaam se utray
Hotay rahay dil lamha bal lamha teh-o-baala
Woh zeena ba zeena bare araam se utray
Jab tak tere qadmoon mein farukash hain sabukash
Saqi khat-e-baadla lab-e-jaam se utray
Be-tama nawazish bhi nahe sang diloon ki
Shayad woh mere ghar bhi kisi kaam se utray
Auroon ki qaseeday faqat aaward thay jaanan
Jo tujh pe kahay shair woh ilhaam se utray
Ay jaan-e-Faraz ay mere har dukh ke maseeha
Har zehar zamaanay ke tere naam se utray ...*
Re: Poet Of The Month Ahmed Faraz
Re: Poet Of The Month Ahmed Faraz
*Arz-e-gham kabhi us ke rubaru bhi hojaye
Shairi tau hoti hai guftagu bhi hojaye
Zakhm-e-hijar bharne se yaad tau nahee jaati
Kuch nishaan tau rehtay hain dil rafi bhi hojaye
Rind hain bharay baithay aur maikada khaali
Kya banay jo aisay mein aik 'Ho' bhi hojaye
Mein idhar tan-e-tanha aur udhar zamaana hai
Waye gar zamanay ke sath tu bhi hojaye
Pehli na muradi ka dukh kahain bisarta hai
Baad mein agar koi surkh ru bhi hojaye
Deen-o-dil tau kho baithay ab Faraz kya gham hai
Koo-e-yaar mein ghaarat aabru bhi hojaye ...*
Re: Poet Of The Month Ahmed Faraz
***Woh mujh se kaise mila juda kaise hogaya 'Faraz'
Socha thaa yeh sawaal na socha karenge hum ...***
Re: Poet Of The Month Ahmed Faraz
*Is se pehlay ke bewafa hojayain
Kyon na ay dost hum juda hojayain
Tu bhi heeray se ban gaya patthar
Hum bhi kal jaanay kya se kya hojayain
Tu ke yakta thaa be-shumar huwa
Hum bhi toofaan tau ja-ba-ja hojayain
Hum bhi majboreyoon ka uzar karain
Phir kaheen aur mubtila hojayain
Hum agar manzilain na ban paaye
Manziloon tak ka raasta hojayain
Dair se soch mein hain parwaanay
Raakh hojayain ya hawa hojayain
Ishq bhi khail hai naseeboon ka
Khaak hojayain kimiyaa hojayain
Ab ke gar tu milay tau hum tujhse
Aise liptain teri qabaa hojayain
Bandagi hum ne chor di hai 'Faraz'
Kya karain log jab Khuda hojayain ...*
Re: Poet Of The Month Ahmed Faraz
~~ Kya dhoond rahe ho tum ab is dil ki raakh mein Faraz ... Unwaan jis ka tum thay woh afsaana hi jal gaya ~~