Ahmed Faraz was considered one of the greatest modern Urdu poets of the last century. Faraz is his ‘takhallus’, whereas his real name is Syed Ahmad Shah. Ahmed Faraz died in Islamabad on August 25, 2008.
Ahmed Faraz, who has been compared with Faiz Ahmed Faiz, holds a unique position as one of the best poets of current times, with a fine but simple style of writing.Even common people can easily understand. Ethnically a Hindko speaking Pashtoon, Ahmed Faraz studied Persian and Urdu at the Peshawar University. He later became lecturer at the Peshawar University
**Kaho To Laut Jate Hain
Abhi To Baat Lamhon Tak He, Saalon Tak Nahi Aai
Abhi Muskaanon Ki Nobat Bhi Naalon Tak Nahi Aai
Abhi To Koi Majboori Khiyaalon Tak Nahi Aai
Abhi To Gard Peroon Tak Hay, Baalon Tak Nahi Aai
Kaho To Laut Jate Hain
Chalo Ek Faisla Karne Shajar Ki Aut Jate Hain
Abhi Kajal Ki Dori, Surkh Galon Tak Nahi Aai
Zubaan Danton Talak Hai Zehr Piyaalon Tak Naheen Aai
Abhi To Mushk-E-Kustori Ghazaloon Tak Nahin Aai
Abhi Rodad-E-Beunwaan Humaray Darmian He, Duniya Waaloon Tak Nahin Aai
Kaho To Lout Jatan Hain
Chalo Ik Faisala Karnay Sharjer Ki Out Jatan Han
Abhi Nazdeek Hein Ghar Aur Manzil Door He Apni
Mubada Naar Ho Jayay Ye Hasti Noor Hai Apni
Kaho To Lout Jatay Han
Chalo Ik Fasala Karnay Shajar Ki Out Jatan Han.
Ye Rasta Piyar Ka Rasta,
Rasan Ka Daar Ka Rasta,
Bohat Dushwar He Jaana
Keh Is Rastay Ka Her Zarra Bhi Ik Kohsar He Jana.
Kaho To Lout Jatay Hain
Meray Baray Na Kuch Socho
Mujhay Tay Karna Ata He
Rasan Ka Daar Ka Rasta
Ye Asaiboon Bhara Rasta
Ye Andhi Ghaar Ka Rasta
Tumhara Narm O Nazuk Hath Ho Gr Mere Haathon Me
To Me Samjhoon Ga, Ke Jasay Do Jahan Hain Meri Muthi Me
Tumhara Kurb Ho To Mushkilain Kafoor Ho JaYen
Ye Undhay aur Kalay Rastay Pur Noor Ho JaYan
Tumhary Gaisoowun Ki Chaoon Mil Jayay, To Suraj Se Ulajhna Baat He Kia He
Utha Lo Apna Saya To Meri Ouqat Hi Kia He
Mujhe Maloom Hei Itna Keh Dayem Zandagi Posheeda He In Char Kadmoon Me
Bohat Si Ra-Hatan Muzmir Hain In Dushwar Rastoon Man
Meray Baray Na Kuch Socho
Tum Apni Bat Batlaoo
Kahoo To Chaltay Rahtay Hain…
Hum jo toote to is tarah toote
jaise hathon se girr k pathar par
koi shafaaf aaiina toote
jaise palkon se toot tha aansoo
jaise seene main ik kamaan toote
jaise umeed ki nazuk daali
barg mosam main na gahaan toote
jaise aankhon main khwab ki doori
waqt e takmeel se ulajh jaye
jaise pairon tale zameen nikle
jaise sar par yeh asmaan toote
jaise ik shaakh pe bharosa kia
is pe jitne thay aashiyaan toote
jaise wehshat se hosh aa jaye
jaise ta dair main dheyaan toote
ab jo raiza howay to sochte hain
kis nay dekha tha tootna apna
hum jo toote to raayegaan toote
karuu.N na yaad agar kis tarah bhulaao use
Gazal bahaanaa karuu.N aur gun_gunaaao usay
vo Khaar-Khaar hai shaaKh-e-gulaab kii maanind
mai.n zaKhm-zaKhm huu.N phir bhii gale lagaaao usay
ye log tazakare karate hai.n apane logo.n se
mai.n kaise baat karuu.N aur kahaa.N se laao usay
magar vo zuud_faraamosh zuud ranj bhii hai
ke ruuTh jaaye agar yaad kuchh dilaao usay
vahii jo daulat-e-dil hai vahii jo raahat-e-jaa.N
tumhaarii baat pe ai naasiho ganwaoo'N usay
jo ham_safar sar-e-manzil bichhar rahaa hai 'Faraz'
ajab nahii. ki agar yaad bhii na aaOu usay
karuu.N na yaad agar kis tarah bhulaao use
Gazal bahaanaa karuu.N aur gun_gunaaao usay
vo Khaar-Khaar hai shaaKh-e-gulaab kii maanind
mai.n zaKhm-zaKhm huu.N phir bhii gale lagaaao usay
ye log tazakare karate hai.n apane logo.n se
mai.n kaise baat karuu.N aur kahaa.N se laao usay
magar vo zuud_faraamosh zuud ranj bhii hai
ke ruuTh jaaye agar yaad kuchh dilaao usay
vahii jo daulat-e-dil hai vahii jo raahat-e-jaa.N
tumhaarii baat pe ai naasiho ganwaoo'N usay
jo ham_safar sar-e-manzil bichhar rahaa hai 'Faraz'
ajab nahii. ki agar yaad bhii na aaOu usay
Itnay chup kyooN ho rafeeqan-e-safar kuchh to kaho
dard se choor huey ho ke qaraar ayaa hai
bhar gaya hijr ka zakhm ke jee haar chaley
bujh gaya shoq ke paigham-e-nigar aya hai
na.ummidii ki thakan hai ke khumar-e-shab-e-wasl
jaan sulagti hai ke chehrooN pe nikhaar aaya hai
kitni ujjdi hui rutt hai, sukooN hai na junooN
itni befaiz hui baad-e-bahaari kesay
na kaheeN noHa-e-jaaN hai, na kaheeN naghma-e-dil
kuchh to bolo shab-e-dard guzaari kesay
sar.ba.zaano ho kyooN chaak graibaaN walo
baazi raah-e-talab main jeet ke haari kesay
*
Har koi dil ki hatheli pe hay sehra rakhay
Kis ko sairaab kare woh kis ko pyaasa rakhay
**
Umer bhar kaun nibhaata hai ta'alluq itna
Ay meri jaan ke dushman tujhe Allah rakhay**
Hum ko acha nahe lagta koi hum-naam tera
Koi tujh sa ho tau phir naam bhi tujh sa rakhay
Dil bhi pagal hai ke us shaks se waabasta hai
Jo kisi aur ka honay de na apna rakhay
Kam nahe tama ibadat bhi tau hirs-e-zarr se
Fuqar tau woh hai jo deen na duniya rakhay
Hans na itna bhi faqeeron ke akele-pan per
Jaa ... Khuda meri tarah tujh bhi tanha rakhay
Yeh qana'att hai, ataa'att hai ke chaahat hai 'Faraz'
Hum tau raazi hain woh jis haal mein ho jaisa rakhay ...