Poet Of The Month Ahmed Faraz

Re: Poet Of The Month Ahmed Faraz


havaa ke zor se pindaar-e-baam-o-daar bhii gayaa
chiraaG ko jo bachaate the un kaa ghar bhii gayaa

pukaarate rahe mahafuuz kishtiyo.n vaale
mai.n Duubataa huaa dariyaa ke paar utar bhii gayaa

ab ehatiyaat kii diivaar kyaa uThaate ho
jo chor dil me.n chhupaa thaa vo kaam kar bhii gayaa

mai.n chup rahaa ki is me.n thii aafiyat jaa.N kii
ko_ii to merii tarah thaa jo daar par bhii gayaa

sulagate sochate viiraa.N mausamo.n kii tarah
ka.Daa thaa ahad-e-javaanii magar guzar bhii gayaa

jise bhulaa na sakaa us ko yaad kyaa rakhataa
jo naam dil me.n rahaa zehan se utar bhii gayaa

phaTii-phaTii hu_ii aa.Nkho.n se yuu.N na dekh mujhe
tujhe talaash hai jis kii vo shaKhs mar bhii gayaa

magar falak kii adaavat usii ke ghar se na thii
jahaa.N 'Faraz' na thaa sail-e-Gam udhar bhii gayaa

Re: Poet Of The Month Ahmed Faraz


Jab Tera Dard Merey Saath Wafa Karta Hae
Ek Samandar Meri Aankhon Sey Baha Karta Hae

Uss Ki Batain Mujey Khushboo Ki Tarah Lagti Hain
Phool Jaisey Koi Sehra Main Khila Karta Hae

Merey Dost Kii Pehchan Yahi Kaafi Hae
Woh Har Ek Shakhs Ko Daanista Khafa Karta Hae

Aur Tou Koi Sabab Uss Ki Muhabbat Ka Nahi
Baat Itni Hae Kay Woh Muj Se Jafa Karta Hae

Jub Khizan Aai Tu Laot Aaye Ga Woh Bhi Faraz
Woh Baharon Main Zara Kum Mila Karta Hae ..!!!

Re: Poet Of The Month Ahmed Faraz

http://www.hallagulla.com/urdu/photo/data/1765/izhar_by_ahmed_faraz.jpg

Re: Poet Of The Month Ahmed Faraz

سنا ہے لوگ اسے آنکھ بھر کے دیکھتے ہیں
سواس کےشہر میں کچھ دن ٹھہرکےدیکھتےہیں

سنا ہے ربط ہے اس کو خراب حالوں سے
سو اپنے آپ کو برباد کر کے دیکھتے ہیں

سناہے درد کی گاہک ہے چشم ناز اس کی
سوہم بھی اس کی گلی سےگزرکےدیکھتے ہیں

سناہےاس کو بھی ہےشعروشاعری سےشغف
سو ہم بھی معجزے اپنے ہنر کے دیکھتے ہیں

سنا ہے بولے تو باتوں سے پھول جھڑتے ہیں
یہ بات ہے تو چلو بات کر کے دیکھتے ہیں

Re: Poet Of The Month Ahmed Faraz

اگرچہ زور ہواؤں نے ڈال رکھا ہے
مگر چراغ نے لو کو سنبھال رکھا ہے

محبتوں میں تو ملنا ہے یا اجڑ جانا
مزاجِ عشق میں کب اعتدال رکھا ہے

ہوا میں نشہ ہی نشہ فضا میں رنگ ہی رنگ
یہ کس نے پیرہن اپنا اچھال رکھا ہے

بھلے دنوں کا بھروسا ہی کیا رہیں نہ رہیں
سو میں نے رشتہ غم کو بحال رکھا ہے

ہم ایسے سادہ دلوں کو وہ دوست ہو کہ خدا
سبھی نے وعدہ فردا پہ ٹال رکھا ہے

حسابِ لطفِ حریفاں کیا ہے جب تو کھلا
کہ دوستوں نے زیادہ خیال رکھا ہے

بھری بہار میں اک شاخ پر کھلا ہے گلاب
کہ جیسے تو نے ہتھیلی پہ گال رکھا ہے

فراز عشق کی دنیا تو خوبصورت تھی
یہ کس نے فتنہ ہجر و وصال رکھا ہے

Re: Poet Of The Month Ahmed Faraz

**Tewar thay berukhi key andaaz dosti kay

woh ajanabi tha lekin lagata tha aashna sa

Hum dasht thay kay dariya, hum zahar thay kay amrit

naahaq tha zonum hum koh jub woh nahin tha pyasa **
**

Hum ne bhi us koh dekha kal shaam ittefaaqan

apna bhi haal hai ab logo 'Faraz' kaa saa **

Re: Poet Of The Month Ahmed Faraz

http://i38.tinypic.com/i1m9uf.png

Re: Poet Of The Month Ahmed Faraz


Ab Kay tajdeed wafa ka nahi imkan jana
yaad tuj ko kiya dilaye tera paiman jana

Yun hi moosam ki aada dekh kay yaad aya hay
kis kader jal badal jathay hay insan jana

Zindagi teri atha the so teray nam ki hay
Hum nay jaisay be basar ki tera ahsan jana

Dil yeh kehtha kay sahid hu fasurda tu bi
Dil ki kiya bath karay dil tu hay nada jana

Awal awal ki muhabat kay nashay yaad tu kar
Bay piye bi tera chehra tha gulistan jana

Akhir akhir tu yeh alam hay kay ab hoosh nahi
Rage meena sulag utti kay rage jan jana

Mudatoo say yehi alam kay na tawaqqoo na umeed
Dil pukhare he chala jatha hay jana jana

Ab kay kuch aise sajee mehfil yaran jana
Serba zano hay koi sarba gareeban jana

Her koi apanay he awaz say kanp ott tha hay
Her ko apnay hi saye say harasan jana

Jis ko dekho wahi zanjeer wafa laghtha hay
sher ka sher hay dahile zandan jana

Hum bi kiya sada thay hum nay bi samaj rakha tha
Ghame Dawran say juda hay Ghame jana jana

Hum kay rooti huwai ruth ko bi mana lethay thay
Hum nay dekha hi nahi tha moosame hijran jana

Hoosh aya tu sabi khwab thay raiza raiza
Jisay urthay huway awraqe pareshan jana

Ab Kay tajdeed wafa ka nahi imkan jana
yaad tuj ko kiya dilaye tera paiman jana

Re: Poet Of The Month Ahmed Faraz


Ab Kay tajdeed wafa ka nahi imkan jana
yaad tuj ko kiya dilaye tera paiman jana

Yun hi moosam ki aada dekh kay yaad aya hay
kis kader jal badal jathay hay insan jana

Zindagi teri atha the so teray nam ki hay
Hum nay jaisay be basar ki tera ahsan jana

Dil yeh kehtha kay sahid hu fasurda tu bi
Dil ki kiya bath karay dil tu hay nada jana

Awal awal ki muhabat kay nashay yaad tu kar
Bay piye bi tera chehra tha gulistan jana

Akhir akhir tu yeh alam hay kay ab hoosh nahi
Rage meena sulag utti kay rage jan jana

Mudatoo say yehi alam kay na tawaqqoo na umeed
Dil pukhare he chala jatha hay jana jana

Ab kay kuch aise sajee mehfil yaran jana
Serba zano hay koi sarba gareeban jana

Her koi apanay he awaz say kanp ott tha hay
Her ko apnay hi saye say harasan jana

Jis ko dekho wahi zanjeer wafa laghtha hay
sher ka sher hay dahile zandan jana

Hum bi kiya sada thay hum nay bi samaj rakha tha
Ghame Dawran say juda hay Ghame jana jana

Hum kay rooti huwai ruth ko bi mana lethay thay
Hum nay dekha hi nahi tha moosame hijran jana

Hoosh aya tu sabi khwab thay raiza raiza
Jisay urthay huway awraqe pareshan jana

Ab Kay tajdeed wafa ka nahi imkan jana
yaad tuj ko kiya dilaye tera paiman jana

Re: Poet Of The Month Ahmed Faraz

*
Reh chuke marg-e-tamanna pe bhi ek umer 'Faraz'

Ab jo zinda hain tau shairoon ke bharam se apne ...

*

Re: Poet Of The Month Ahmed Faraz

*Woh gaya tau saath hi legaya sabhi rang utaar ke shehar ka
Koi shaks thaa mere shehar mein kisi door paar ke shehar ka

Chalo koi dil tau udaas thaa, chalo koi aankh tau nam rahi
Chalo koi dar tau khula raha shab-e-intezaar ke shehar ka

Yeh jo mein ne taaza ghazal kahi, so hai nazar ehal-e-firaaq ki
Ke na mil saka koi naama-bar mujhe mere yaar ke shehar ka

Sau mataa-e-jaan ko leye huwe palat aye tere garifta dil
Kisay baichtay ke mila nahe koi aitbaar ke shehar ka

Mere tarz-e-naghma sarai se koi baghbaan bhi tau khush nahe
Yeh mera mizaaj hai kya karun ke hon mein bahaar ke shehar ka

Kisi aur dais ki oarr ko suna hai 'Faraz' chala gaya
Sabhi dukh samait ke shehar ka sabhi qarz utaar ke shehar ka ...

*

Re: Poet Of The Month Ahmed Faraz

وہ بت جو دشمن دیں تھا بقول ناصح کے
خیال سجدہ جب آیا تو در اسی کا رہا

Re: Poet Of The Month Ahmed Faraz

Woh Butt jo dushmanE deeN tha ba-qowl naaseh k
SawalE sajdah jubb aaya toh dar usii ka rahaa
----------------------------------------------------------


Jo kuch kaheN toh dareedah dahan kaha jaaye
ye shahr kya hai yahaN kya sukhan kaha jaaye


Bazid hai teeshaE khooneiN liye huwe koii shakhs
K gorkan ko bhi abb kohkan kaha jaaye
**
Agar hujoom sadaaoN k dekhna chahoo
Toh shart ye hai k pahlaa sukhan kaha jaaye

Chiraagh bujhte hi rahte hain par jo abb k huwa
Usay hawaaoN ka deewana pan kaha jaaye

Ajeeb rasm hai jo sadrE anjuman hai Faraaz
Woh chaahta hai usE anjuman kaha jaaye**



Re: Poet Of The Month Ahmed Faraz

Re: Poet Of The Month Ahmed Faraz

Re: Poet Of The Month Ahmed Faraz

**
**
ہوئی ہے شام تو آنکھوں میں بس گیا پھر تُو

کہاں گیا ہے میرے شہر کے مسافر تُو

بہت اُداس ہے اک شخص تیرے جانے سے

جو ہو سکے تو چلا آ اُسی کی خاطر تُو

میری مثال کہ اک نخلِ خشکِ صحرا ہوں

تیرا خیال کہ شاخِ چمن کا طائر تُو

میں جانتا ہوں کہ دنیا تجھے بدل دے گی

میں مانتا ہوں کہ ایسا نہیں بظاہر تُو

ہنسی خوشی سے بچھڑ جا اگر بچھڑنا ہے

یہ ہر مقام پہ کیا سوچتا ہے آخر تُو

فراز ، تُو نے اسے مشکلوں میں ڈال دیا

زمانہ صاحبِ زر اور صرف شاعر تُو ‫!

Re: Poet Of The Month Ahmed Faraz

Khwaab Martay Nahi

=================================

Khwaab Martay Nahi

Khwaab Dil Hain Na Aankhain Na Saansaa'in Keh Jo

Reyza Reyza Hovay Tou Bikhar jaingey

Jism Ki Maut Say Yeh Bhi Mar jaingey

** Khwaab Martay Nahi**

Khwaab Tou Roshni Hain Na'vaa Hain Hawa Hain

Jo Kaalay Pahaarroo'n Say Ruktay Nahi

Zulm K Dozakhoo'n Say Bhi Phuktay Nahi

Roshni Aur Navaa Aur Hawaa k Aalam

Maqtaloo'n Main Pohanch Kar bhi Jhuktay Nahi

Khwaab Tou Harf Hain

Khwaab Tou Noor Hain

Khwaab Tou Suqraat Hain

Khwaab Mansoor Hain

=============================

Re: Poet Of The Month Ahmed Faraz

beautiful :k:

Re: Poet Of The Month Ahmed Faraz

*

==========================

*Barsoo'n K baad Daykha Aik Shakhs Dilruba Saa *

Ab Zehen Main Nahi Hay Par Naam Thaa Bhala Saa

Abroo khichay khichay Say Aankhain Jhuki Jhuki See

Baatain Ruki Ruki See Lehjaa Thakaa Thakaa Saa

AlFaaz Thay K Jugnoo Aawaaz K Safar Main

Ban Ja'ey Jaungaloo'n Main Jis Tarah raasta Saa

Khwaaboo'n Main Khwaab Uss K Yaadoon Main yaad Uss Ki

Neendoo'n Mian Ghul Gaya Ho Jesay K Rat -Jaa Saa

*Pahlay Bhi Log Aa'ey Kitnay He Zindagi Main *

Woh Har Tarah Say Lakin Auroo'n Say Tha Judaa Saa

Aglee Muhabbatoo'n Nay Woh Na Muradiyaan Dee'n

Taazaa Rafaaqato'n Say DIL Tha Dara Dara Saa

Kuch Yeh K Mud'dato'n Say Hum Bhi Nahi Thay Ro'ay

Kuch Zeher Main Bujha Tha Ahbaab Ka Dilaasaa

Phir Youn Howaa K Sawa Aankhoon Main Aa Basay Thay

Phir Youn Howa K Jesay Dil Bhi Tha Aablaa Saa

Ab Sach Kahain Tou Yaaro Hum Ko Khabar Nahi Thee

Ban Jaiga Qayamat It Waa'qi'aa Zara Saa

Tayver Thay Dosti K Andaa Dosti K

Woh AJnabi Tha Laykin Lagta Tha Aashna Saa

Hum Dasht Thay K Darya Hum Zeher Thay k Amrit

Nahaq Tha Zo'num Hum Ko Jab Woh Nahi Tha Pyasaa

Hum Nay Bhi Uss Ko Dekha Kal Shaam It'tifaqan

Apna Bhi Haal Hay Ab Logoo'n Faraaz Ka Saa

========================================



Re: Poet Of The Month Ahmed Faraz

http://i51.tinypic.com/maw67a.jpg