Re: -- Phool ki Hansee ...
*‘ Jab makaii (corn ) jalti hay to rakh honay kay bajai phool ki tarah khil jati hay ‘ * Hansay aur ronay main bohat thora hee faasla hota, jab insaan bohat zaiada hansay to aik waqt aata hay kay uss ki aankh say ansoo nikalna shuroo hojaatay hain ...
Hansnay aur ronay main itna hi Faasla hay jitna kay phool ki pankhari aur uss par giri shabnam main, agar phool ziaada khil uthay to phir shabnam gir jaati hay’ ...
Shukrann (bows himself on claps) & Regards,
Ata…
Main do saal say naheen roi. Haan hansti bohat hoon. Gham chupanay ka aik andaz hai. Apna gham doosaroon ko kiyon doon jab woh khud bhi ghamgeen hoon? Hai na...:)
Laikin logon ko mera hansna bhi acha naheen lagta. Bolna tou chaar saalon say chora howa hai.:(