pata nahi !

ik waqt tha gs per enter hotay heee dhara dharr thread or post kerna shuroo ker dayte thee

ab subah say kitna dafa new thread ki wondow khol ker band ker chukee hoon
kuch bhi zyahan main nahi araha …chand reply keye hain woh bhi aisai jaisai abhi abhi lafzoon ko istimaal kerna seekha ho

aisa kio hay ? : (

Re: pata nahi !

Fikar na karain, bass zikar kartay rahain ji, ham yahan wapis apni tashreef padhaar chukay hain, so ab aap ko khirkiaan hamesha khuli rakhni hongi aur roshandaan bhi in case of emergency escape :-D

ps: welcome back, yeah u were missed :-p

Re: pata nahi !

I think apkay damagh ko zang lag gaya hai :halo:

oooooo wots this All views abt???just saw it…

Re: pata nahi !

Dimagh ko zang lag gaya ? smacked

kitni dafa kaha tha kay dimagh ko pani say dhonay kay baad forunn towel say wipe kia karo, ab hawa lag gai aur zang lag gaya na... ab baitho aisay hi...

thero... kisi mechanic ko day kar iss ki polishing karwalo, wo taizaab daal kar saara zang nikaal daiga aur phir aap ka dimagh phir say chalnay lagayga...

Re: pata nahi !

^^ haan thats a good idea but i think woh phir sai window close kar k chali gain hain

Re: pata nahi !

lagta hay taizab nay unka demagh hee pighla dala, ab karlo gul.

Re: pata nahi !

agar mujhy damaghee masla hee hay to phir pagal khanay chalay jana chaeyey

yahan hoshmandoon ki duniya main kon berdasht keray ga : S

Re: pata nahi !

^--
Hosh walon ko khabar kia... bay-khudi kia cheez hay
Ishq kijiay phir samjhiyay, dil-lagi kia cheez hay :-p

ps: don't do it :@

Re: pata nahi !

aur abb tau yeh waqt aa gaya hai kaY yeh bhee bhool gayee ho, woh thread sirf Cafe maiN kholti theeN tum :cb:

Re: pata nahi !

tum nahi aap kehtay hay smashing him

Cafe bana anjaana :frowning:

Re: pata nahi !

bohat dair ker dee mehrbaan samjhatay samjhatay …: (

na cafe na all vews ..bat FRds ki hotee hay jidher woh udher hum !

ATA > mere quoting per mat sir peetna ..k mujhay app ka wala tareeqa abhi tuk nahi aya : (

Re: pata nahi !


glad to see you here :)

Re: pata nahi !

Meharbaan ki W11 miss hogai thi keemari par :-( ... cycle par aaya wo shayr khaa gaya... chuptay chupaatay aik bakri par baith kar poohncha tha isi liay dair howi, lekin shukar hay time par pohanch gaya :$

aur haan aap dimagh par zor na dalain, aap kabhi nahi seekh sakteen wo :@:@:@

Re: pata nahi !

^
koi bat nahi main aysay ahsan kertee rehte hoon app zair -e-baar na hoyee muhtram : P

Re: pata nahi !

Mujhay daikh kar sab hi khush hojaatay hain hamesha say ...sachi :$

Re: pata nahi !

aaj kal har qisam ka bar haraam hay :-p

Re: pata nahi !

nahi time per nahi pohnchay …paani ser say guzar gaya hay or Ankhoon main ther gaya hay

aisai dostooN ka kia faida jo waqt per pohnchnay k ley ik 2nd hand foxy bhi na lay sakain

sahee kehtay hain log..GHREEB logoon say dote kernay main khasra hee khasara hay

ab main sirf ameeeroon say bat keroon gee …; )

Re: pata nahi !

meri foxi... 5 hathi chura kar lay gaayy thay :-(

ab aap k liay mujhay ameer bhi banna hoga ? :s
dosti inteqaam laiti hay, dostoN ki jaan laiti hay ... :s

Re: pata nahi !

hatioon ka zoq itna bura nahi ho sakta ..plz khamkha un ko badnaam na karain

mere ley nahi is duniya main rehnay k ley to banna pery ga ..gareebon ki koi zindgee nahi …

Re: pata nahi !

ham gurbat ko qatam karnay k liay sab gareebon ko khatam kardaingay...
hathi aap k kon hain jo itna dil aaraha hay un par? :-p

main nay chand ki chandni say dosti ki hay, ab mujhay iss TuNNia say kooch nee laina daina :-p