Re: Pakistanis paying highest electricity bills in the region
bhai mere, agar Electricity Companies na chaaheN aur ise apnii kamaaii kaa zarii’a na banaayeN to bhalaa majaal hai koii bijli kii chorii kar le.
yeh sab mulaazim kii naak ke neeche ho rahaa hai. iskii sab se baRii vajah yeh hai k bijli ke rates is qadar ziyaada haiN k iimaandaarii se koii pay karnaa bhii chaahe to nahiiN kar saktaa. us pe sone pe suhaaga yeh k Electric Supply CompaniyaaN “andhe madd” meN hazaaroN rupaye kii billing zaalimaana andaaz meN kar baiThte haiN.