Re: Pakistani_Americans: A great Community
haan agar aik bhe ghuddar ho gya tu poori qoom ko sehna paray ga :)
Humari TahreeK .. konsi Mir Jafaroon or Sadiqoon se khali hai ? Jis General Tiger niazi ne Mulk ki izzat dushmon ke haath neelam kardi thee . ushay tu humne 21 tooppon ki salamiii mein dafna'ya hai ....
Jis shaaksh ne apni zaatiii annaa kay chakar or AmeerUL momin banay kay zo'am mein mulak ko is dhaaraY pay laa kahra kia hai .. jahan har dosra firqay ka admi , pahlay walay kay leay kafir hai .. ushay aj be ap logg mard-e-momin kahtay hain ...
Habib jaleeb once said ..
wohii haalat hai Faqeeron kay
din phiray hain faqaT ameeron kay
Haar bilawal hai desh ka makroez
paaonn Nangay hain BayNaziroon kay
Ap kay Vazeeray Dhakla farmatay hain ' Siyaatast daoon ki jaan oo ko kahtra hai '
jo baycharay Gareeb roz 100 , 150 martay hain .. unki jaan ka kissi ko khyal nahe ..
kia wafadari hai mulk se bahi . Subhan ALLAH:)