Pakistan: The True Heir Of Indus Valley Civilization – Analysis

Re: Pakistan: The True Heir Of Indus Valley Civilization – Analysis

Ibn e batuta on Hindustani aam

**’ Hindustan main ek mewa anb hota hai. iss ka darakht naarangi ke darakht se mushabah hota hai, lekin iss se bada aur patte bhi ziada hote hain.saya bhi nihayat ghana hota hai, lekin jo shakhs uske saye main sota hai kasalmand (sust) ho jata hai. aur uska phal aaloo bukhare se bada hota hai :hehe: pukhta hone se pehle sabz hota hai aur jab gir padta hai to uss main namak daal kar achar banate hain. issi tarah jaise hamare mulk main lemoo aur khatte ka achar banate hain. adrak aur mirch ka bhi achar banate hain aur khane ke sath khate hain. aur her niwale ke peeche thoda sa achar kha lete hain :smack:

jab khareef ke mosam main anb pakta hai to zard rung ka ho jata hai aur usko seb ki tarah khate hain. baaze us ko tarash kar khate hain, baaze chooste hain. iss main sheerinin ke sath kuch turshi hoti hai. guthli badi hoti hai aur guthli ko bote hain to darakht ho jata hai, jaise ke khatte ke beej boote hain.

**So this is what these Arabs knows about Hindustan. Atleast, we share aam aur aam ka achar with Hindustan :cb: