Re: Pakistan at brink of Civil War
Joke about "bhaag dor":
ek jungle mai, lomri (fox) sher (lion) ko kehti hay "sahib aap bohot dinon se mehnat kar rahay hayn kuchh din aaram kar lijiye", sher sochta hay baat to theek hay, phir kehta hay "mai paRos walay jungle may jaa raha hoon kuchh dinon ke liye".
sher ke jatay hi lomri bandar ke paas pohonch jati hay kehti hay "badshah salamat chhutti per hayn, un ke baad sab se aqalmand aap hi hayn, aap is jungle ki bag-dor sambhal lijiye", bandar maan jata hay, thori der mai lomri pooray jungle mai ailan karwa deti hay ke bandar badshah hay jungle ka.
kuchh din baad sher wapis aata hai dekhta hay har taraf bandar ka charcha hay, foran samajh jata hay ke ye zaroor lomri ki harkat hay, seedha lomri ke ghar ki taraf jata hay. lomri ko pata chal jata hay ke sher aa gaya hay aur us ke ghar ki taraf jaa raha hai, bhagi bhagi bandar ke paas jati hay aur kehti hay ke sher mere bachon ko khaa jaye ga, bandar thori der kuch sochta hai phir darakht ki ek shaakh se doosri shaakh phir teesri shaakh pe chalang lagata hay (jaisay koi jaadoo kar raha hay), idhar se udher bhagta hay phir wapis aa ker lomri se kehta hay ke jaao ab dekho.
lomri jaati hay phir wapis aa ker kehti hay ke sher to abhi bhi lomri ke ghar ki taraf jaa raha hai, lomri roti hay "khuda ke liye kuchh kijiye warna sher mere bachon ko khaa jaye gaa".
bandar phir is shaakh se us shaakh pe, idhar se udhar, udhar se idhar, phir aa kar kehta hay lomri ko ke jao ab dekho.
lomri jaati hai, dekhti hay, phir wapis aa kar roti hay "haaye sher mere ghar mai ghus gaya hay, woh mere bachon ko kha jaye gaa, aap ne kuchh na kiya mere liye".
bandar kahta hay "itni to bhag dor ki mai ne, aur kia karta?"
This is what our ministers are doing "itni bhaag dor".