share some poetry, jahan ajeeb o ghareeb tamashon ka zikr ho.. jaise ke ye:
![]()
Restored attachments:
Re: Pagalon wali shayari
na soot na kapaas korii se laTTham laTThaa! ![]()
Re: Pagalon wali shayari
Re: Pagalon wali shayari
or app beth ker chips khatey rahein ![]()
Re: Pagalon wali shayari
Chips khatey rahey hum, mein aur mera pagalpun.
Re: Pagalon wali shayari
![]()
![]()
mae ney phir se galti kerdi
bhool gayi thi abhi apney pagal pan ke bare mae kuch arz kerti hun ![]()
Re: Pagalon wali shayari
Kisi K Chehry Ki Khushbu Ne Kar Diya Pagal
Phir Us K Baad Sama Ka Sama Hua Pagal
Jo Un Se Main Ne Kaha Zindagi Bana Lo Mujhe
To Us Ne Dheere Se Ik Lafz Keh Diya** Pagal** ![]()
Re: Pagalon wali shayari
![]()
Re: Pagalon wali shayari
Pagalon koi kia kar sakta hy.............Lagay raho.......:p
Re: Pagalon wali shayari
usshaaq k maanind kaee ehl-e-hawis bhi
pagal to nazar aatay hain, pagal nahi hotay
Re: Pagalon wali shayari
maiN paagal, meraa manvaa paagal
paagal bhai sab jag kii reet re!
Re: Pagalon wali shayari
yahan post karnay wala akhri pagal main hon,is k baad aur pagal abhi tak nahin aya
Re: Pagalon wali shayari
ek fil-badeeh paagaloN waali merii shaa’irii:
aasmaan meN chaand
chaand ke neeche bijli ke taar
taar pe baiThii chiRiyaa
ke neeche dharti
oopar aasmaan
beech meN laTkii bechaarii
chiRiyaa…jo hai pareshaan! ![]()
Re: Pagalon wali shayari
bilkul asli paglon wali shairy