Yeh soch ke dai’re kabhi kam hua nahi kartay
Gham jo de koi apna woh sitam hua nahi kartay
Tanhai main baatein kartay hain ab to apnay Rab say hum
Ek **wohi **dost hamaray hum say khafaa hua nahi kartay
Rooth jae ga **woh **bhi kisi din hum say dar hai humein
Dil Khuda ka magar bashar jaisay chote hua nahi kartay
Bohat kathan rahoon say guzray, saath raha har kadam
Achay humsafar kabhi yun beech rah tanha kiya nahi kartay
Jab bhi kuch manga ataa kiya os ne humein
ek hum hi hain jo os ke agay dua kiya nahi kartay
![]()