New Ghazal) Apni Aadaat ki Gir'hoN ko nahIn kholooNga!!

**Assalam-o-alaikum Dosto aapki khidmat meiN aik nai Ghazal lekar Haazir hooN arz kartaa hooN

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

**

**Apni Aadaat ki Gir’hoN ko nahiN kholooNga
MaiN Shikayaat ki Gir’hoN ko nahiN kholooNga

Lams hai in meiN Mohabbat ke kissi Lamhe kaa
MaiN kabhi Haat ki Gir’hoN ko nahiN kholooNga

Yeh tere Naam ki Tassbeeh meraa Shauq bhi hai
maiN Ibaadaat ki Gir’hoN ko nahiN kholooNga

Tu meri Zaat se Ilzaam bohat Baandhe gaa
Main teri Zaat ki Gir’hoN ko nahiN kholooNga

Koi Ilzaam bhi aaye to Jawaaban “Tassneef”
MaiN Sawaalaat ki Gir’hoN ko nahiN kholooNga**

App ke Iz’haar-e-Raaye ka Muntazir

**Aye Shor e Qayaamat ham sote hee na reh jaa’yeN
is Raah se guzre to ham ko bhee jagaa jaanaa
**

[This message has been edited by Tassneef (edited July 06, 2002).]

Buhat Khoob … X C Lent

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

ô¿ô
.~.
Rude Boyz Rulez

Bohot khoob

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

Humhesha ki tarha

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/wink.gif

Shukriaa SunnyBoy

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

aap ki Mohabbat hai warna nacheez iss qaabil kahaN

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

**Dekh leNge Fitna-e-mehshar ko bhee
Ab to Chaadar taan kar sote haiN ham!

**

Thanx Nayaaab

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

hameshaa ki tarah yeh gHazaal bhi aapko Pasand aai ..Hameshaa ki tarah iss martaba bhi aapki Karam-Nawaazi hai yeh. Hameshaa ki tarah iss baar bhi aap ne Meri pazeeraai ki..Hameshaa ki tarah iss martaba bhi yeh banda-e-nacheez aap ka tah-e-dil se Mashkoor hai

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hehe.gif

jazaakallah

**Dekh leNge Fitna-e-mehshar ko bhee
Ab to Chaadar taan kar sote haiN ham!

**

[QUOTE]
Originally posted by Tassneef:
** Thanx Nayaaab

He he aap bhi na dost jee..kafhe teez hai..aghar humhesha hum esha ki karte hai ..to aglee baar nahin karhay ghay..Beshaak humhe aap keh ashaar achay laghay

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/wink.gif

He he

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

NICE thanks for sharing

thnx

[This message has been edited by Tassneef (edited July 07, 2002).]

Haahahahaa nahin baaba nahin Shart main nahiN lagaata agar aap ne hameshaa ki tarah meri tareef na ki to maiN hameshaa ki tarah acHa kaisse likh sakooNga, hamesha aap tareef akrti hain to hameshaa main acha likhta hoon ab hamesha jab aap tareef nahin karengi to hameshaa ura likhooNga bolo aap ko dost ka hamesha ka nuqsaan manzoor ya aap kaa hameshaa ka tareef karna manzoor

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/wink.gif

**Dekh leNge Fitna-e-mehshar ko bhee
Ab to Chaadar taan kar sote haiN ham!

**

~pochteY ho wo kidheR gaya
daRd buN kaR
meRay dil maiN uteR gaya~

[QUOTE]
Originally posted by Tassneef:
**
Haahahahaa nahin baaba nahin Shart main nahiN lagaata agar aap ne hameshaa ki tarah meri tareef na ki to maiN hameshaa ki tarah acHa kaisse likh sakooNga, hamesha aap tareef akrti hain to hameshaa main acha likhta hoon ab hamesha jab aap tareef nahin karengi to hameshaa ura likhooNga bolo aap ko dost ka hamesha ka nuqsaan manzoor ya aap kaa hameshaa ka tareef karna manzoor

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/wink.gif

Hmmm he he nahin nahin hum aap ka nuqsaan nahin hone dhay ghay

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

Hum tareef hi kar diya karhay ghay…AB aap keh har ashaar tareef karne keh hotay hai…to tareef to karni hi chahiye na

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/wink.gif

[quote]
Originally posted by Nayab:
**

hehe Thanxx ..wesse sirf tareef hi nahIn agar koi naqs nazar aaye to wo bhi

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

**Dekh leNge Fitna-e-mehshar ko bhee
Ab to Chaadar taan kar sote haiN ham!

**

Shukiriaa Nikammi Sahibaa

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

**Dekh leNge Fitna-e-mehshar ko bhee
Ab to Chaadar taan kar sote haiN ham!

**

[QUOTE]
Originally posted by Tassneef:
** hehe Thanxx ..wesse sirf tareef hi nahIn agar koi naqs nazar aaye to wo bhi

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

Acha jee aghar kabhi kohi eshi baat ho ghee to zaroor kahe ghay …

Baat yaad rehe ghee

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

[quote]
Originally posted by Nayab:
**

hhhehee Baat yaad rahegi, Wesse keya yaad-daasht hai masallah warna iss Age mein insaan ko aksar yaad nahiN rehta hiihhihihi

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hehe.gif

**Dekh leNge Fitna-e-mehshar ko bhee
Ab to Chaadar taan kar sote haiN ham!

**

arey iss age se meri muraad BoorhoN waali age nahIn balkeh NaujawaanoN waali age, jiss meiN insaan haseen kHwaab buntaa rehta hai..kissi ke kHaiyaaloN meiN kho jaata hai aur phir baateiN yaad nahIn rehtin aksar…bass aik chehraa yaad rehta hai..wo bhi an-dekhaa sa

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/wink.gif

ab samajh aai yeh waali age hehehehhe

**Dekh leNge Fitna-e-mehshar ko bhee
Ab to Chaadar taan kar sote haiN ham!

**

Nice Tassneef

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

I liked this one

“Lams hai in meiN Mohabbat ke kissi Lamhe kaa
MaiN kabhi Haat ki Gir’hoN ko nahiN kholooNga”

Shukriaa Sehar Sahibaa

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

**Dekh leNge Fitna-e-mehshar ko bhee
Ab to Chaadar taan kar sote haiN ham!

**

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

bhoot achay Tasneef uncle

A True Friend Is The One Who Holds Ur Hand And Touches Ur “HeArT”

WaFa