New Ghazal) Apni Aadaat ki Gir'hoN ko nahIn kholooNga!!

kHudaa kHer kare yeh meri BhateejiaaN aaye din paida hui jaa rahi haiN:.aur mujhe patta h nahiN lolzz
shukriaa Aunty

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

Thanx

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif


**Be-kHudi le gai kahaaN ham ko
Der se intazaar hai apnaa
Jis ko tum Aasmaan kehte ho
So DiloN kaa gHubaar hai apnaa
**

[QUOTE]
Originally posted by Tassneef:
** arey iss age se meri muraad BoorhoN waali age nahIn balkeh NaujawaanoN waali age, jiss meiN insaan haseen kHwaab buntaa rehta hai..kissi ke kHaiyaaloN meiN kho jaata hai aur phir baateiN yaad nahIn rehtin aksar…bass aik chehraa yaad rehta hai..wo bhi an-dekhaa sa

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/wink.gif

ab samajh aai yeh waali age hehehehhe

Hmm to esha kehye na..Lekin Dost jee Hum to kohi haseen khuwaab nahin buntee…Aur na hi to kishi keh khaiyaaloN main kohay rehtay hai…Time nahin hai na in sab kamhoN keh liye… u know

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/wink.gif

kHwaaboN ke lyie waqtnahIn chaahyie hotaa hehehe aur wesse bhi KhawaaboN ko Insaan waqt nahIn deta balkeh khwaab kHud hi waqt nikaal lete haiN …hmm gehri Philosophy hai agar maiN shuruu hogaiya to mujehy yaqeenan Romantic Pghilosopher aur shaiyarr ki Digree zaroor mil jaaig araam se tafseel se baatoUNgaa ghar pohanch akr

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

lollzz


**Be-kHudi le gai kahaaN ham ko
Der se intazaar hai apnaa
Jis ko tum Aasmaan kehte ho
So DiloN kaa gHubaar hai apnaa
**

[QUOTE]
Originally posted by Tassneef:
**kHwaaboN ke lyie waqtnahIn chaahyie hotaa hehehe aur wesse bhi KhawaaboN ko Insaan waqt nahIn deta balkeh khwaab kHud hi waqt nikaal lete haiN …hmm gehri Philosophy hai agar maiN shuruu hogaiya to mujehy yaqeenan Romantic Pghilosopher aur shaiyarr ki Digree zaroor mil jaaig araam se tafseel se baatoUNgaa ghar pohanch akr

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

lollzz

Hmm han woh to main dekh rehi ho keh aghar aap eshe hi kehtay rehe to digree to aap ko mil hi jahay ghee..he he
Lekin mere khuwaab to mere liye waqt hi nahin nikhalte..to ab is main main kia kar sakhtee ho

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/frown.gif

Main to bilkul akheli ho…

[quote]
Originally posted by Nayab:
**

hmm..wesse kHud ko dhokaa de leti haiN aap

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hehe.gif

bcs kHwaab to Lashaoor ka Shaoor se raabta hote haiN..yani Lashaaor (aissa Ehsaas jo insaan zehan ke pass-e-Pardaa sochtaa hai jinka wujood nahiN hotaa ..aur jo Rabtaa Lashaaoor aur Shaaur ke darmiaan paida hotaa hai ussko kHwaab kehte haiN..kHwaab hazaaroN raNg meiN dekghe jaate haiN

sab se pehli Qism hai kHwaab ki jo har insaan aapne rozmarra ke kaam kaaj ke Baa’is filkr-e-Muaash mein dekhta hai jisko ham ** Soch**kehte haiN

Doosri Qism kHwaab ki wo hai, jinka Haqeeqat se wujood nahIn hota magar usske bawajood Insaan dekhta hai jo la-shauri taur per ,ghair-iraadi taur per Insaan ke Zehan meiN haweeda hote haiN (aksar aisse kHawaab such bhi saabit hote haiN)

aur iske Ilaawaa Agar kHwaab bohaat hi ziadaa Barhi Noiyaat ka ho to wo Kashf kehlaata hai..jo har Momin Insaan ko dikhaai deta hai ( ammoman Anbiaa per aisse Haqeeqi kHwab, yani kashf Naazil hote haiN
Aik Qism kHwaab ki Ilhaam Hoti hai (ilhaam ki bhi kai Aqsaam hoti haiN) magar kashf aur Ilhaamlaazmi nahIn hai keh sirf Anbiaa alaihisalaam per Naazil hooN, kiounkeh yeh aik raabta hai insaan ka kHuda ke saath wo to khudaa jisse chaahe uss se raabtakare

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

isski tafseel lambi hai maiN ..mazeed iss per tafseeli baat akr sakta hooN magar yeh Waqt MuzooN nahi hai iss baare meiN baat karne ka

So khwaab ki cheeda cheeda Tafseer maiN ne apne Zehan ke mutaabiq aap per waazeh ki hai ab dekh lijye in mein se konsi Qism aap per Fit beThti hai..lekin dont worry..kHwaab (haseen khawaab ) aap ko bataa kar nahiN aaingi kHud hi aajaingi..aur aap kHud Mehsoos akreingi keh kHwaab aane wale haiN..kioUNkeh inkaa Inhesaar aapki Soch per hota hai

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif


**Be-kHudi le gai kahaaN ham ko
Der se intazaar hai apnaa
Jis ko tum Aasmaan kehte ho
So DiloN kaa gHubaar hai apnaa
**

very nice tasneef ge

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif


MÙhb@t kÀ ÃnÒkhå SîÌSîÎã Hãï
KÆhî ý@$®Úb Káhï kîBàÎå H@ï

Hmmm achaa jee pher to hum intezaar karhay ghay keh humhe yeh khuwaab kab dekhne ko milhe ghay …

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

Aap neh to humhe khuwaab keh itne matlub bata diyeh hai ..

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

Thanks dost jee…Kabhi kabhi to sochtee ho keh aap ko itni bataon ka kaha seh pata chal jahta hai

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/confused.gif

Lekin wese achee baat to hai keh inshaan ko itna pata to hona chahiye..Humhari tarha nahin he he ..

Lekin hum is baat par bohot khush hai keh aap humhare dost hai …To kia howa aghar humhe itna pata nahin ..Humhare dost ko to pata hai ..he he ..kion dost jee

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif