Be kinar jazbon ko kab kinar milta hia
be qarar sochon ko kab qarar milta hai
be diyar logon ko kab diyar milta hai
aj kis liey tum ne yeh sawal pochey hain
aik pal ko sochoto
be khaber parindon ko
kab hawayin deti hain
khushboon ka sandesa
ajnabi jazeeron ka kab pata batati hain
un ko un ke honey ka kab yaqeen dilati hain
tum ne jo bhi pocha hai
hum jawab dene ka
hoosla ager rakhtey
muztarib hi kiyun hotey
Re: Nazm,,
Simply Amazing....
Thanx for sharing... :-)
Re: Nazm,,
Another good short Sara......
Re: Nazm,,
*Shukriya,,,, *
Re: Nazm,,
oye hoye ....... chai gai haaain jee aap .......... zabardust ......
usy apny frdan ki fiker thi woh jo mera wakify haal tha
woh jo us ki subhy arooj thi wohi mera wakty zawal tha
kahan jao gy mujhy chor ker main yeh poch poch ker thak gaya
woh jawab na mujhko dy saki woh to khud sarapa swal tha
dumy wapsi usy kiyahuwa na woh roshini na woh tazgi
woh sitara kasy bikher giya jo aap apni misal thi
woh mili to sadion k bad bhi mery lab per koi gila na tha
usy meri chup ny rula diya jisski guftgu main kamal tha
mery saath lag k woh roo di mujhy faqat woh itna keh saka
jissy janta tha main zindgi woh to sirf wahm o khiyal tha
Re: Nazm,,
*Buhat shukriya Sannan ji,,, *
Ankh ke gird matami halqey
Saye jesey jaley hoye gher ke
Re: Nazm,,
wah wah maza aa gya
Unn key Aankhoon Ko Kabhi Ghor say daikha hay Faraz
Sonay Waloon Key Tarah , Jagnay waloon Jaisee
Re: Nazm,
**Apko buhat mazey aa rahey hain…
**
"Jis aankh mai koi chehra na koi akse talab
wo ankh jal ke bujhey bhi to koon dekhta hai
Re: Nazm,
Meray Sukhan Ka Qareena Dabo Gia Mujh Ko
Kah Jiss Ko Bhi Haal Sunaya ussay Fasana Laga
![]()
Re: Nazm,,
ha ha ha,,,, yeh to pehley sochna chahiye tha na,,,,,
Wo tera gham tha ke taseer merey lehjey ki
ke jis ko haal sunatey usey rula detey
Re: Nazm,,
Unn key Aankhoon Ko Kabhi Ghor say daikha hay Faraz Sonay Waloon Key Tarah , Jagnay waloon Jaisee
sannan zara hum ne bhi aap k ashaar ka jawab dia hi **
**larai larai maaaf karo ALLAH ka ghar saaf karo:)
dekhay he nahi jaatay aansu teri aankhon main
hum tujh se gila kar kar k,ab kitnay pareshan hain
Re: Nazm,
**sannan ye jawab kaisa hi aaisa bhi hota hi hahahaha hum say baat karo to maanain:) **
haaye aadaab e mohabat k takazay saagar
lab hilay,aur shikayat ne dam toor dia
Re: Nazm,,
Ahha,,,, Sannan ji,, meri team mazboot ho gayi hai ab tooo,, **
**shukriya lonly ji
Re: Nazm,,
ovel all SARA SANNAN AAP DONO AAB YE TAKRAAR BAND KARAIN I THINK ENOUGH SHAIR PE SHIAR PHAIKA JA CHUKA HI HAHA:) THEEK HI N SARA G **
**N sannan g dono ki sharing kamaalki hi:) thx
Re: Nazm,
Being lonely kay naam
…
**
daikha jo teer kha kay kameeN gah ki taraf
Apnay He Doostoon say mulaqat Ho gai ![]()
:(**
Re: Nazm,,
ha ha ha,, Sannan ji,,,
Hum se pocho zeher ka teyaq hai kia
hum ne asteen mai sanp paley hain
Re: Nazm,,
:mudhosh
Tumhain Kaha Tha Kah Apna Bun Kay Fareeb Daita Hay Yeh Zamana
Tumhain Kaha Tha Kah Aasteenoon main saanp platay hain Soch Laina
Kaisa hay sara ji
Re: Nazm,,
Kia bat hai apki,,,,,,,,,
Aiye dil tujhey dushman ki bhi pehchan kahan hai
To halqae yaran mai bhi muhtat raha ker
Re: Nazm,,
Acha Jee ....
To Dashn-e-Nafrat Hi Ko Lahrata Raha Hay
Tonay Kabhi Dushman Say Lipat Kar Naheen Daikha
Re: Nazm,,
ahhh,, kia batain,, ab apko,,,,
Wo dushmane jan jan se piyara bhi kabhi tha
Ab keseykahin koi humara bhi kabhi tha