Naye Qafiye Radeef Kahan Sey Layein

Naye Qafiye Radeef Kahan Sey Layein
Lafzoon K Naye Hareef Kahan Sey Layein

Na Sanum Badley, Na Janoon e ishq badla
Husn ki Nayi Tareef Kahan Sey Layein

Na “Mir” Hein Na “Ghalib” ki roh hi zinda
Rabt ko Sabab e Khafeef Kahan Sey Layein

Shahoun ki Mehfilein na Umrao k raqs
Adab ki wesi tasneef Kahan Sey Layein

Tehzeeb so rahi hei jab kafn Ordh k
dil mei ehsas e lateef Kahan Sey Layein

Sir-Shari-e-Khudi mei woh “Iqbal” ka Shikwa
Woh himatein hum Naheef Kahan Sey Layein

Re: Naye Qafiye Radeef Kahan Sey Layein

Kahana se layain … Kahaan se layain … Kahaan se layain …

Wah wah, bahut khoob …
Mein Amal se pooch kar bataunga ke yeh sab kuch aap ko kahaan se milega … :smiley:

btw, good one and thanks for sharing … :k:

Re: Naye Qafiye Radeef Kahan Sey Layein

Un Sey Sab apni apni kehtey hein
mera matlab ada karey koi ;d

Shukriya Janab…

Jee mei intazar karoun ga
kahin Habib Jalib wala haal na ho jaye k…

“Wada Shikan ko dekhtey Wakt e Saher hoa” =P

Re: Naye Qafiye Radeef Kahan Sey Layein

Amal kia pehlay isi business main tha :open_mouth:

nice sharing :k:

Re: Naye Qafiye Radeef Kahan Sey Layein

very nice sharing :k:

Re: Naye Qafiye Radeef Kahan Sey Layein

Faixan bohat khoobsoorat ghazal hey. Khaasi mukhtalif :):k: … thanx for sharing it with us :slight_smile:

Re: Naye Qafiye Radeef Kahan Sey Layein

Ji, lekin ab: “Jo beich’tey the dawa-e-dil…wo dukaan apni barrhaa gaey” :slight_smile: Ab ye na poochye ga kahaaN gaey? :smiley:

Re: Naye Qafiye Radeef Kahan Sey Layein

Kuch naye ki zaroorat nahi hey Arif aur Faixan… wo gana to suna ho ga aap logoN ne:

SadyoN sey dunya meiN
aek hi to qissa hey
aek hi to larrki hey
aek hi to larrka hey

… jab kirdaar sadyoN puraaney heiN, to naey qaafye aur radeef ki kya zaroorat hey? :slight_smile:

Re: Naye Qafiye Radeef Kahan Sey Layein

aajkal shairi naa paid hoti jaa rahi aap ne aajkal ke shairon kaa bohat alaa naqsha kheencha hai :k:

Re: Naye Qafiye Radeef Kahan Sey Layein

zaroorat hai naa ab koii cyber heer and cyber ranjha majnoon kaa kissa hona chaiye aise hi jaise hawaii ishq ke naam sey

Re: Naye Qafiye Radeef Kahan Sey Layein

Qissey to bohat heiN...har teesra aadmi ranjha hey aur har doosri larrki heer ... :)

Re: Naye Qafiye Radeef Kahan Sey Layein

Mujhay lagga yeh kisi mazloom shair ka pur-zoor ehtajaj hay... koi uskay tamam qafiyee aur radeef lay bhaga hay aur woh GS per aa ker shikayat ker raha hay...

Re: Naye Qafiye Radeef Kahan Sey Layein

wah wah ... kya kehnay ... dil jeet leya badhshaoo .... Thand paa ditti jay kalejay ich :D

Re: Naye Qafiye Radeef Kahan Sey Layein

oh heer rajhnay nahi honday :poh khuch aur hi hotay hain :chai:

Re: Naye Qafiye Radeef Kahan Sey Layein

Ji, koi dukhi aatma hi hey shaed…shaer to be’chaara peidaaeshi dukhi hota hey :teary1:

Re: Naye Qafiye Radeef Kahan Sey Layein

Aadhi punjabi, aadhi Urdu…kya biryaani banaai hey aap ney :smiley: Arif, lagta hey hameiN malyalam meiN baat karni parrey gi :smiley:

Re: Naye Qafiye Radeef Kahan Sey Layein

U mean UZ is malyali ?

Re: Naye Qafiye Radeef Kahan Sey Layein

I did not say that :nono: UZ ko malwari ka pata chal gaya to aap apni kheir manana :smiley:

Re: Naye Qafiye Radeef Kahan Sey Layein

Yeh tau baja irshaad farmaaya aap ne, chalain UZ se maafi ke talabgaar hain hum ...

Re: Naye Qafiye Radeef Kahan Sey Layein

malyalam mujhe her giz nahi pata magar malwaari kaya hota hai :emmy: